Safar Ka Mahina Aur Badshaguni Ki Haqeeqat In Islam

ShereKhudaHazratAli.com

Safar Ka Mahina Aur Badshaguni Ki Haqeeqat In Islam | Facts About The Month Of Safar:

Kya Aap Jante He?

Safar Ka Mahina Accha Hai Ya Bura?

Islamic Calendar Me Safar Ek Mahine Ka Naam Hai, Kuch Logo Ka Esa Manna Hai Ke Ye Mahina Bahut Manhoos Hai, Isme Aafat/Balaen Naazil Hoti He, Aur Iske Liye Wo Kuch Jhooti Riwayato Ki Bhi Daleel Dete Hain, Iske Alawa Kaha Jata Hai Ke Is Mahine Me Shadi Nahi Karna Chahiye, Safar (Travelling) Nahi Karna Chahiye, Kuch Accha Ya Naya Kaam Nahi Shuru Karna Chahiye, Is Mahine Ki 13 Taarikh Ko Bura Maana Jata Hai, Aakhri Budh Ko Accha Ya Bura Maana Jata Hai, Is Mahine Ke Aakhri Budh Ko Kuch Log Baag-Bageeche Jaate He Aur Ek Jhuti Riwayat Pesh Karte He Ke Is Din Sarkar E Madina (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) Ki Bukhar Se Tabiyat Acchi Hui Thi To Baag-Bageeche Gaye The, Isliye Hum Bhi Jayenge. Aur Is Tarah Ki Bahut Si Man-Ghadat Baate Hum Logo Me Feli Hui He. Ab Iski Quran Aur Hadees Ki Roshni Me Hakikat Kya Hai, Wo Samajhte Hain.
[ads-post]
Hakikat Baat Ye Thi Ke Arab Ke Log Zamana-E-Jaaheliyat Me (Islam Aane Se Pehle ) Is Mahine Ko Bura Samajhte The, Aafat /Balaon Wala Samajhte The, Manhoos Samajhte The. Lekin Huzoor Sarkare Madina (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) Ke Tashreef Laane Ke Baad, Aapne Sahi Baat Logo Tak Pahuchai. Aapne Farmaya (Ye Ek Hadees Hai, Jisme Zyada Baate He, Lekin Uski Ek Baat Me Huzoor (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) Ne Farmaya Ke Safar Kuch Nahi Hai, Is Baat Se Aapka Matlab Ye Hai Ke Ye Koi Manhoos Mahina Nahi Hai, Na Hi Isme Balaen Naazil Hoti Hain.
[Bukhari/Muslim]

Safar Ke Mahine Ko Nahusat Wala, Aafat Balaon Wala Hone Ki Shariyat Me Koi Daleel Nahi. Islam Me Koi Nahusat Wala Din Ya Mahina Nahi Maana Jata. Saare Mahine Barabar He, Ha Rahmato Barkato Ke Hisab Se Unke Darje Kam Zyada Ho Sakte Hain, Jese Ramzan Me Rahmate/Barkate Zyada Nazil Hoti Hain, Lekin Nahusat Ke Hisab Se Kisi Ko Kam Zyada Bolna Islam Ke Usool Ke Khilaf Hai.

Isliye Is Mahine Me Safar Kiya Kijiye, Shadi Kiya Kijiye, Khushi Wale Kaam, Naye Kaam Kiya Kijiye.

Hazrat E Moula E Kayenat  Aliye Murtaza رضی اللہ عنہ Aur Hazrat E Fatema Zahra رضی اللہ عنہا Ki Shadi Is Mahine Me Hui. Agar Is Mahine Me Shadi Karna Mana Hota To Kya Hamare Pyare Nabi Huzoor  (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ) Esa Karte?

Allah Hume Sahi Samajh Ata Farmaye...
Aameen

Related Hadees:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.