Hazrat Muhammad ﷺ Quotes in Roman Urdu, Hindi | Aqwal E Zareen In Urdu

ShereKhudaHazratAli.com

Hazrat Muhammad ﷺ Quotes in Roman Urdu, Hindi | Aqwal E Zareen In Urdu | Farman e Mustafa Jane Rehmat ﷺ | Short Hadees Sharif | SMS:

Allah ke Diye hue Rizq par Qina’at Kijiye:

Huge Collection of Prophet Muhammad Quotes in Urdu, Hindi, Hazrat Muhammad Quotes Urdu, Hindi, Motivational Islamic Quotes, Hadees, Hadis, Hadith, Short Hadees, Islamic Messages, Islamic Status, sunnah hadith, prophets of islam sayings, Beautiful Madina Munavvara Images and More.

Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Wo Shaks kamyab ho gaya jo Islam laya aur use Baqadre kifayat Rizq diya gaya aur phir diye hue Rizq par Qina’at karne ki Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne use Toufeeq di."
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2426]
* Qina’at – Thodi cheez par khush rehna, Jo mil jaye us par Razi rehna.
* Baqadre Kifayat- Zarurat bhar Rozi Mil gayi.

Sawaal : Takabbur Kya Hai?
Jawaab: Khudko Afzal Aur Dusaro Ko Haqeer Jaanane Ka Naam Takabbur Hai.

Al-Quran: Aur Yaad Karo Jab ALLAH Ne Farisht’aon Ko Hukm Diya Ki Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke, Aur Wo Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya.

(Al-Bakrah, 34 – Kanzool Imaan)

Hadees: Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmaate Hai Ke, “Takabbur Haq Ki Mukhaalifat Aur Logon Ko Haqeer Jaan’ne Ka Naam Hai”.

(Sahih Muslim , Kitab-Ul-Imaan , Baab : Tahrim-Ul-Kabir Hadith No-91)

Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hain Usko ALLAH Khoob Jaanta Hai.

(Muslim Sharif)

Wo Shaksh Kis Tarha Takabbur Kar Sakta Hai, Jo Mitti Se Bana Ho, Mitti Me Milne Wala Ho Aur Mitti Me Keede-Makore Ki Gizah Ban’ne Wala Ho.

- Hazrat Abu’bakar Radi Allahu Ta’ala Anhu

Nek Khaslatain 360 Hain:
Hadees:
Ek Roz Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Allah-Ta'aala Jab Kisi Bande Se Bhalayi Ka Irada Farmata Hain To (360) Khaslaton Me Se Ek Khaslat Usme Paida Farmata Hain! Jiski Wajahse Wo Banda Jannat May Dakhil Hojata Hain! Hazrat Abu Bakr Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Un 360 Nek Khaslaton Mayse Koi Khaslat Mujh May Bhi Hain?

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Abu Bakr! Tumeh Mubarak Ho Ki Wo Saari Ki Saari Nek Khaslatain Tum May Maujudh Hain !

(Sawahik-A-Muharrika Pg-44)

Sabak: Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi Allahu Anhu Ki Bahot Badi Shaan Hain! Wo Yakinan Jannati, Balki Jannatiyon Ke Sardar Hain! 360 Khaslaton Se Jab Ek Khaslat Bhi Jannat May Le Jati Hain To Jis Jaat Pak May 360 Puri Ki Puri Nek Khaslatain Ho Uske Jannati Hone May Shak Wa Shuba Karne Wala Kyon Na Badh-Bakht Hoga ?


Giraa Huwa Khana Kha Lena Sunnat Hai:
RasoolAllah SallAllahu alaihi wasallam ghar tashreef laaye Toh ROTI ka tukdha gira huwa dekha toh Aap SallAllahu ALaihi wasallam Ne usse uthaa kar Saaf Kiya aur khaaliya aur farmaya: Ey Aisha (Radi Allahu Anha) izzat daar cheez ki izzat karo, Jab ALLAH kisi Qaum ka Rizq cheen leta hai toh wapas nahi karta.
(Hadith no.1142, Ibne Majah,jild no, 2)

Kamil Wuzu:
Hazrat Usman Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki - Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "Jo Behtarin Wuzu Kare, To Uske Badan Par Se Tamam Gunah Dhul Jate Hai. Yahan Tak Ke Uske Nakhun Ke Niche Ke Gunah Dhul Jate Hai.

Hazrat Umar Bin Khattab Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Rivayat Hai Ke:Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Wassalam Ne Farmaya Ke "Tum Me Se Koi Khub Kamil Wuzu Kare, Fir Ye Padhe..


(Kalma E Shahadat)

"Ashadu'alla Ilaha Illallahu Wa Ashadu Anna Muhammadan Abdahu Wa Rasuluhu."

To Uske Liye Jannat Ke Aantho (8) Darwaze Khul Jate Hai,Wo Jis Darwaze Se Chahe Us Darwaze Se Dakhil Ho Sakta Hai.

[Mishkat Shareef Part-1 Page-38]
[Jannat Ki Kunjiya Page-50]

Hazrat Abu Huraira (Radi Alllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool Allah (Sallallahu A’laihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Uss Shaksh Ki Namaz Nahi Jiska Wuzu Nahi Aur Uss Shaksh Ka Wuzu Nahi Jisne Iske Shuru Me Bismillah Na Parhi Ho.”

[Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees 101]

Kya Aap Jante Hain?

Sawal: Sabse Pahla Badsha Jisne Sooli Ki Saza Di. Kaun Hai Aur Kisko Di ?
Jawab: Firauon Pehla Badshah Hai Jisne Haath Pair Katne Aur Sooli Ki Saza Di, Un Jadu Garon Ko Jo Hazrat Moosa Alaihissalam Par Imaan Laye The.
[Khaza-E Nul Irfan,P 9,R 5]

Sawal: Sabse Pehle Duniya Me Kaunsa Janwar Bimar Huwa?

Jawab: Woh (Sher) Janwar Bimar Huwa Jo Kashtiye Nooh Me Sawar Tha, Ye Sher Pahla Janwar Hai Jo Duniya Me Bimar Huwa.

Abi Ibn Hatim Ki Riwayat Hai Ke Rasoolallah Swallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Hazrat Nooh Alaihissalam Jab Tamam Janwar Ko Apni Kashti Me Sawar Kar Chuke To Logon Ne Kahake Sher Ki Maujoodgi Me Baqi Janwar Kaise Aaram Se Rah Sakenge. Tab Allah Pak Ne Sher Par Bukhar Daldiya Jisse Woh Chupchap Baitha Raha,Isse Pehle Zameen Par Ye Bimari Nahi Thi.


Sawal: Rooh Qabz Karne Ke Liye "Malkal Maut" Kitne Farishton Ko Apne Saath Le Kar Aate Hain?

Jawab: Momin Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye Malkal Maut Apne Hamraah "Rahmat" Ke 6 Lakh Farishte Laate Hain Aur Kafir Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye 6 Laakh "Azab" Ke Farishte Unke Saath Hote Hain. Allahu Akbar
[Ma'rijun Nubuwwa,Jild-3 , Safa No 105]

Sawal: Us Farishte Ka Kya Naam Hai Jo"Qiyamat" Ke Din Zameen Ko Lapete Ga?

Jawab: Us Farishte Ka Naam "Riyafeel" Hai Jo Qiyamat Ke Din Tamam Zameen Ko Lapete Ga.
[Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild -1 Safa No -60]

Sawal: Woh Kaunsa Farishta Hai Ke Jiske Mathe Par Saara "Quran" Likh Diya Gaya Hai?

Jawab: Woh Hazrt Israfeel Alaihissalam Hain Ke Jinki Peshani Par Poora Quran Likh Diya Gaya Hai.
[Tafseer Naimi,Jild-2 Safa No-309]

Sawal: Woh Kaunsa Farishta Hai Jo Qiyamat Ke Din Logon Ko Maidan-E Mahshar Ki Taraf Bulayega ?

Jawab: Woh Hazrat Israfeel Alaihissalam Hain. Ba'z Ne Kaha Hai Ke Nidaa To Hazrat Jibreel Alaihissalam Denge, Aur Soor Hazrat Israfeel Alaihissalam Phoonke Ge.
[Savi Jild - 3 , Safa No 65]

Sawal: Jannat Ke Khazin Farishte Ka Kya Naam Hai?

Jawab: Jannat Ke Farishte Ka Naam "Rizwan" Alaihissalam Hai.

Sawal: Dozakh Ke Khazin Farishte Ka Naam Kya Hai?

Jawab: Dozakh Ke Khazin Fariste Ka Naam "Malik" Alaihissalam Hai.
[Al Ittiqan Fi Ulumul Quran,Jild-1,Safa No-60]

Sawal: Qayamat k din Ek sawal yeh bhi poocha jayega ke apni ungliyon k Naam batao?

Jawab: apne. Hath ki chhoti ungli (finger) se start kare.
(1) Aameen.
(2) Amaanat.
(3) Jannat.
(4) Shahaadat.
(5) Farz.

5 Jagah Hasna 25 gunah k barabar he:

(1) Qabrastan me
(2) Janaze k piche
(3) Majlis me
(4) Tilawat e Quran me
(5) Masjid me

Jumerat Ko Darood Sharif Padhne ki Fazilat:

Tajdaare Harmain, Sarware Konain Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka Farmane Rahmat Nishan Hai: "Jab Jumerat ka Din Aata hai Allah T'ala Farishto ko Bhejta hai Jin ke Pas Chandi ke Kagaz aur Sone ke Qalam hote hai Woh Likhte Hai, Kaun Youme Jum'erat Aur Shabe Jumah Mujh Par Kashrat se Durud e Pak Padhta Hai.
[Kanzul Ummal, J-1, S-250, #2174]

Jumma Ko Darood Sharif Padhne ki Fazilat:

Nabiyo ke Sultaan, Rahmate Aalmiyaan, Sarkaare Do Jahan Sallallaho Alayhi Wa sallam ka Farmaane barkat nishaan hai, “Jishne mujh par roze Jummah do sou (200) baar Darood Pak padha us ke do sou (200) saal ke gunah maaf honge.
[Kanzul Ummal, Jild 1, Safaa:256, Hadish: 2238]


An Islamic Collection of Aqwal E Zareen Hazrat Muhammad, aqwal e zareen in urdu also called as hadis sharif or hadees e nabvi, short islamic quotes and more

Rizq Me Ziyadati or Tamaam Musibato Se Bachne Ki Dua:

Hadees: Hazrat Abu Huraira radi Allah Se Riwayat He Ke Rasul Allah Sallallaho Alayhi Wasllam Ne Mujhe Takeed Ki Ke Is Duwa Ko Padha Karo Kyun Ke Ye Duwa Jannat Ke Khazano Me Se He or Is Duwa Se Allah 70 Qisam Ki Taklifo Ko Door Karta He Jin Me Se Adna or Choti Taklif Tang Dasti «Gurbat» Ko Door Karna He Wo Dua Ye He...

Laa Hawla Wala Quwwata Illa Billa Wala Malja Wala Manja Minallallahi Illa Ilayhi
( Ref : Tirmizi Shareef, Mishkaat Shareef )

Aaj Hamara Sab Se Bara Problem Gareebi He or Rasul Allah Farmate He Ke Allah Is Ke Zariye Tumhari Choti Taklif Gareebi Ko Door Kar Dennge To Zara Socho Agr Hum Is Duwa Ko Rozana Parhe To Allah Hamari Kitni Bari Bari Mushkilo Ko Door Farma Dega.

Khane Par Ayatul Kursi Ki Tilawat Ki Fazilat:

Hadees: Hazrate Aaisha (Radiallahu Ta’ala Anha) Se Riwayat Hai Ke, Ek Baar Ek Sahabi Ne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Baargah Me Aakar Kaha Ke, ‘Mere Yaha Kisi Chiz Me Barkat Nahi Hai’

Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya “Tum Apne Khane Par Ayatul Kursi Tilawat Nahi Karte Ho. Jis Khane Ki Cheez Par Tum Ayatul Kursi Ki Tilawat Karoge, Allah Ta’ala Uss Me Barkat Ata Farmaega”.

[Tafseer Dar Manshoor, Jild -1, Safa -323]

Related Inspirational Islamic Quotes:

Qailola ki Sunnat Musalmano ne Faramosh kardi Gairon ne Apnali:
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya, "Qailola kiya karo (Yani dophar ko kuch soliya karo) kyun ke Shaitan Qailola nahi karta."
[Al-Silsilah As-Saheehah : Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]

Qailola yani do pahar ko thodi dair sojane ki fazilat bahot si Ahadees mein aayi hai, Qailola karna Subah bedar hone ke liye nihayat mufeed hai, Neez is mein bhi Hikmat hai ke do pahar ke waqt thodi dair sojane se Jismani Tawanayi bahal aur zahni thakawat door hojati hai aur goya "Qailola" ke baad Naya din shuru hojata hai.


Afsos! Aaj ke Musalman Sarkare Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnaten faramosh karte ja rahe hain aur Gair Muslim dunya Research o Tahqeeq ke natije mein Sunnaton mein poshidah Fawayed samne la rahi hai.


Haal hi mein China mein ek Company ne mulazimeen ke liye do pahar khane ke baad Aadhe Ghante ki Neend lazmi qarar di hai, Company ke Mulazimeen ke liye zaroori hai ke wo do pahar khane ke baad mulazimat ke Aoqat mein se Aadha ghanta zaroor aaram karen.

China Hukumat ke mutabiq is Anokhe iqdam ke natije mein company ki paidawar mein 30% izafa record kiya gaya hai, Hukumat ka kehna hai ke do pahar khane ke baad thodi dair Aaram karlena karkirdagi mein hairat Angez izafe ka sabab hai, lehaza degar Companies ko bhi is "Anokhe Qanoon" ka itlaq karna chahiye.


जिस शख्स की मौत इस हाल में आए के उस में तीन चीज़े:

1. तकब्बुर
2. खयानत
3. KARZ 
ना हो,तो वह जन्नत में दाखिल होगा । (allah ﷻ ke aakhri NABI huzoor rehmate aalam ﷺ)
[TIRMIZI 1572 , HAZRAT सौबान رضي الله عنه]

Zyada se Zyada Salam karo:
Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah صلى الله عليه وآله وسلم ne farmaya "Qasam hai us zaat ki jiskey qabzey mein meri jaan hai tum jannat mein tab tak dakhil nahi ho saktey jab tak ki Imaan wale na ho jao, aur tum tab tak imaan wale nahi ho sakte jab tak aapas mein Muhabbat na karney lag jao, to kya main tumhe aisee cheez na bata na du ki jab tum usko karogey to Aapas mein Mehboob ho jaoogey ?Farmaya , Apney darmiyan Salam ko Phailao (yani zyada se zyada salam kiya karo)."
[Sunan Ibn Maja,Vol-1,68-Sahih]

Rishatedaro ke sath Acha Suluk karne ke Fayde:

Huzur Nabi Karim Sallahu Alyhi Wasllam Ne Farmaya ke tum log khandan ka ilm rakho, Ta ke Apne Rishtedaro ko pehchan sako,Aur unke sath Acha suluk karo.

Rishtedaro ke sath Acha suluk karne se 3 fayde hote he.

1)Mohabbat peda hoti he
2)Daulat badhti he
3) Zindagi me Barkat ho kar umar lambi ho jati he.
(Mishkat jilad-2 page-420 ba hawala Tirmizi)

Aur jin logo ne kufr kiya aur HAMARI ayaton ko jhutlaya unke liye zalil karne wale azaab hain.
[Para: 17, Surah Hajj, Ayat : 57]

Jhoot Bol Kar Kisi ko Na Satayen:

RasoolAllah ‏Sallallahu Alaihi Wasallam‏ ka Irshade Girami hai, “Musalman ke liye Jayeez Nahin ke Dusre Musalman ko Daraye (Khuah Mazaq hi Mein kyun na ho).”
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 3 :: Hadith 1566]

Tarbooz (Watermelon) Garmi ka Tod:

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tarbooz ko Tar Khajoor ke sath mila kar khaya karte the aur Farmaya karte the, "Ham khajoor ki Garmi ko Tarbooz ki Thandak se aur Tarbooz ki Thandak ko Khajoor ki Garmi se tod te Hain."
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 435]
Ma'ana (Meaning) Tar Khajoor – Taze Khajoor.

Insan Ki Behtarin Cheez Kya Hai?

Hadees: Ek Martaba Sahaba-e-Kiram (Alaihimur Ridwan) Ne RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Bargaah Me Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Behtarin Cheez Jo Insan Ko Di Gayi Woh Kya Hai ?”Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Irshad Farmaya: “Acche Akhlaq”.
[Mishkat Sharif]

Auliya Se Dushmani Allah Taala Se Jung Karna Hai:

Hadees: “Hazrat Abu رضوان اللہ تعالی Se Riwayat He Ke Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya, Allah Ta’ala Farmata Hai : Jo Merey Kisi Wali Sey Dushmani Rakhe Me Us Se Elaane Jung Karta Hoo’n Aur Mera Banda Aisee Kisi Cheez Ke Zariye Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Farzon Se Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Ke Zariye Baraabar Mera Qurb Haasil Karta Rahta Hai.

Yahan Tak Ke Mein Us Se Muhabbat Karne Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Se Muhabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Sunta Hai Aur Us Ki Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Sey Woh Dekhta Hai Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Pakarta Hai Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Chalta Hai.


Agar Woh Mujh Se Sawal Karta Hai To Mein Use Zaroor Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hai To Mein Zaroor Use Panaah Deta Hoo’n. Mein Ney Jo Kaam Karna Hota Hey Us Mey Kabhi Is Tarah Mutardid (Fikramand) Nahin Hota Jaise Banda-E-Momin Key Jaan Lene Me Hota Hoo’n, Use Mowt Pasand Nahi Aur Mujhe Us Ki Takleef Pasand Nahin.”

[Bukhari As-Shahih, Jild : 05 Safa : 2384, Hadees : 6137,]
[Ibn Hibban As-Shahih, Jild : 02 Safa : 58, Hadees : 347,]
[Bayhaqi As-Sunan-Ul-Kubra, Jild : 10 Safa : 219, Baab(60), Kitab-Uz-Zuhad Al-Kabir, Jild : 02 Safa : 269, Hadees : 696.]

Islam 5 Chizo Par Banaya Gaya Hai:

Hazrat Ibne Umar (Radiallahu Anhu) Se Marvi Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya:-Islam 5 Chizo Par Banaya Gaya Hai
1. Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi Aur Hazrat Muhammed Mustafa ﷺ Allah Ke Bande Aur Rosool Hai,
2. Namaz Kayam Karna,
3. Zakat Dena,
4. Haj Karna,
5. Roza Rakhna.
[Bukhari Sharif, Muslim Sharif]

Aamaal Ke Sawaab Ka Daromadar Niyato Par:

Mahfum-e-Hadees: Umar Bin Al-Khattab (Razi’Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,"Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai Aur Har Shaksh Ko Wohi Milta Hai Jiski Wo Niyat Karey Isliye Jiski Hijrat (Emigration) Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Karney Ke Liye Ho Tou Usko Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Hogi.Lekin Jiski Hijrat Duniya Hassil Karney Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Shaadi Karney Ke Iradey Se Ho Tou Uski Hijrat Uskey Liye Hai Jiskey Liye Usney Hijrat Ki."
[Sahih Bukhari, Hadith no.5070]

Allah, Rasool Aur Ahlebait Se Mohabbat Karne Ki Wajah:

“Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Allah Ta’ala Se Mohabbat Karo Un Ne’maton Kee Wajah Se Jo Us Ne Tumhein Ata Farmayi Aur Mujh Se Mohabbat Karo Allah Kee Mohabbat Ke Sabab Aur Mere Ahl-E-Bayt Se Meri Mohabbat Kee Khaatir Mohabbat Karo.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Niz Imam Tirmidhi Ne Farmaya Ki Ye Hadith Hasan Hai.
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/664, Raqam-3789,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/162, Raqam-4716,
Bayhaqui Fi Shuab-ul-Iman, 01/366, Raqam-408,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/29, Raqam-08]

Bina Kisi Khas Wajah Se Talaaq Mangne Wali Aurat Ka Hashr:

Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, "Jo Aurat Bina Koi Khas Wajah Ke Shohar Se Talaaq Talab Karey To Uss Par Jannat Ki Khushbu Haraam Hai.”
[Sunan Abu Dawood, Vol-2, Hadith no. 456-Sahih]

Gair Aurat Ko Janbuz Kar Dekhne Ka Azaab:
Mafhoom-e-Hadees: 
Allah ke Rasool ﷺ Farmatey Hai, "Jis Gair Aurat Ko Jaan-buz Kar Dekha Jaye Aur Jo Aurat Apne Aap Ko Jan-Buz Kar Gair Mardo Ko Dikhlaye Uss Mard Aur Aurat Par ALLAH Ki Lanat”.
[Mishkat; Jild 2, Hadith no. 2991]

  • Hadees E Nabvi: Huzoor paak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "Jab insan aayte sajda pad kar sajda karta hai to shaitan ek taraf ho kar rote hue kehta hai: haae afsos ! insan ko sajde ka hukm hua to usne sajda kiya lihaza uske liye jannat hai or mujhe sajde ka hukm hua to mene na farmani ki pas mere liye jahannam hai"
    [Ahya Ul Uloom Jild 1 Safa 466]

  • Hadees E Nabvi: Huzoor Sarwar e Kaunain Sallallahu Alaihi Wasallam irshad farmate haiñ Main saari makhlook ki taraf Risaalat ki shaan ke saath bheja gaya hu aur mujh par Silsila e Nabuwat khatam kar di gayi hai.
    [Muslim Shareef, Jild 1, Safah 199]

    KYA RONAK KYA SHAAN HAI PYARE HUZOOR E PAAK ﷺ K
    HABIB ALLAH WOH HAIHAI WOH KHATAMUL AMBIYA BHI

  • Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki, “Apne Dilon Ko Zyada Khaane-Peene Se Halaak Na Karo,  Jis Tarah Zyada Paani Se Kheti Tabaah Ho Jati Hai, Usi Tarah Zyada Khaane-Peene Se Dil Halaak Ho Jaata Hai”.
    [Mukashifatul Quloob Page#55]

  • Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki, “Allah Ta’ala Ko Tum Me Se Ziyada Woh Banda Pasand Hai Jo Kum Khaane Wala Aur Halke Badanwala Ho.”
    [Jaam-e-Sagir Safa:20 Hadees:221]

  • Hadith: RasoolAllah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya, Namaaz Se Farig Hone Ke Baad Dua Karte Waqt Pehle Allah Ki Uske Shaan Ke Layek Hamd Aur Sana Kare Phir Us Ke Baad Mujh Par Darud Padhe Phir Allah Taala Se Jo Chahe Maang.
    [Mishkaat Sharif, Jild : 1, Page : 198]

  • Hadith: Hazrat Maaz Bin Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki, Nabi Karim Sallallahu Alahyi wasallam ka Irshad ha k Jis Admi ne apne Gussay per Qaboo Pa Lia. Hanla k Qudrat bhi thi. ALLAH es ko Qayamat k Din Sari Makhloq k samnay Bula kar Ikhtiar dain gay k Jis HUR se chahay Nikah kar Lay.
    (Tirmizi Shareef)

  • Hadith: Hamare Aaqa Tajdar E Kayenat Nabi_E_ Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-Har Aane Wala Zamana Guzre Zamane Se Bura Ho Ga.
    (Bukhari Sharif, Hadees 7068)

    Dour E Akhir Andheri Raat Ki Manind Fitne Nazil Honge. Aadmi Subha Ko Momin Hoga To Sham Ko Kafir Ho Jaiga Aur Agar Sham Ko Momin Hoga To Subha Ko Kafir Ho Jaiga. Log Duniya Key Kuch Samaan Ki Khatir Apna Deen o Imaan Tak Bech Dale Ge.
    (Muslim Sharif, Hadees 118)

    Aur Ek Wakt Aayenga Jab Log Neki Ko Mayub Aur Burai Par Faqara Karenge, Us Wakt Har Taraha Ki Asaaish MuyasirHonge Har Ghar Me Nanch Gane Honge Log Mukhlif Bimario, Pareshanio Me Mubtla Honge Maa Aur Noukrani Me Koi Farq Na Honga, Log Imarten Ek Dusrese Unchi Banayenge

    Aap Aaqa E Do Jahaan Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Jab Aisa Zamana Aaye To Kasrat Se "Astagfar" Padna Kyu Ke Ye Sabse Mufeed Amal Honga Amanatdaro Par Ungliya Utai Jayengi Aur Beimano Ke Sir Par Taj Rakha Jayenga. Ilm Uth Jayenga Aur Har Taraf Jahalat Cha jayegi.
    (Bukhari Sharif, Hadees 6767)

  • Hadis: Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ ne Irshad farmaya, "Bewaon aur Miskino ki Madad ke liye Koshish karne wala Khuda ki Raah me Jihaad karne wale ki Tarah hai."
    [Bukhari Sharif, Part: 2]

  • Hadith: Nabi E Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya Ramazan ke baad sab se afzal shaban ke roze hai , Tazeem e Ramazan ke liye.
    [Shuab Ul Iman, Hadith No:3819]

  • Hadees Sharif: Hazrat Umama Baahili رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Merwi Hai Ki HUZUR ﷺ Farmaya Karte The Ki, "Jab Maahe Shaaban Aajaye To Apne Jismo Ko Paakiza Rakkho, Aur Is Maah Me Apni Niyyate Acchhi Rakkho, Inhe Haseen Banao."
    [Bukhari Shareef]
    [Mukashafatul Qulub - 631]

  • Hadith: Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya Jis shakhs se koi gunah hojaye phir wo achi tarah wuzu kare aur 2 rakat namaz padhe aur phir Allah Ta'ala se maafi maange to Allah Ta'ala use zaroor maaf farmayega.
    [Sunan Abu Dawood, Hadith No:1523]

  • Hadees E Nabvi: Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke, "Sadqa rabbul izzat ke gazab ko bujhata hai or buri maut ko dafa karta hai".
    [Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 146, Hadees 664]

  • Farman e Mustafa ﷺ hain ke Sadqa aur Khairat karne se kabhi Maal mein kami nahi aati.
    [Sahih Muslim: 12/474 Hadees: 4689]

  • Hadees E Nabvi: Huzoor Nabi E Kareem ﷺ ne Irshad farmaya, "Tum me se koi Shakhs Gusal khane(Bathroom) mai Peshab na kare, kyuki fir wahi Nahane aur Wuzu karne se Waswase ki Bimari paida hoti hai.
    [Sunan Abu Dawood: 1/7, Barkat E Sunnat E Rasool: 241]

  • Hadees E Nabvi: Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Yaqinan Musalman Banda Namaz Sirf Isliye Padhta Hai Ke ALLAH TAALA Razi Hojaye To Usse Uske Gunah Istarah Jhadte Hai Jaisa Ke Darakht Se Patte Jahdte Hai.
    [Musnad Imam e Ahmed, Hadith No:22177]

  • Hadis: Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Taala Anhu Se Riwayat He Ki Rasoolallah Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Pass Ek Aarabi(Dehati) Aaya Aur Kaha Ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alayhi Wasallam Meri Biwi Ne Kaala Ladka Paida Kiya Hai.

    Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Pucha Tumharey Pass Oont(Camel) Hay?
    Usney Kaha Haan


    Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Unke Rang Kaisey Hai?
    Usne Kaha Surkh


    Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Usmein Koi Khaki Rang Ka Bhi Hay?
    Usney Kaha Haan He


    To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya Phir Ye Kaha Se Aa Gaya?
    Usney Kaha Mera Ye Khayal Hay Ki Kisi Rag Ne Ye Rang (Apney Aaba Wa Ajdad Se-Ancestors Se) Khinch Liya Hay Jiski Wajah Se Aisa Oont (Camel) Paida Hua Hay


    Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki Phir Aisa Bhi Mumkin Hay Ki Tere Bete Ka Rang Kisi Rag Ne (Ancestors Se ) Khinch Liya Ho.
    [Sahih Bukhari, Vol8, 6847]

  • Hadis: Hazrat Anas Radi-Allahu Taala Anhu Se Riwayat Hay Ki Rasoolallah Sallallhu-Alayhi-Wasallam Ne Irshad Farmaya Mard Ki Mani Ghaadih Aur Safed Hoti Hay Aur Aurat Ki Mani Zard Aur Patli Hoti Hay Jo Koi Ek Dusrey Se Sabqat Le Jaye (Yani Jiski Mani Pahele Nikal Jaye) To Bachcha Usi Ki Shakal Ka Paida Hota He.
    [Sunan Nasaii, Vol 1, 202]

  • Hadees: Ummul Mominah Hazrat Ayesha Siddiqa Radi-Allahu-Taala Anha Se Rivayat Hay Ki Rasoollallah Sallallhu-Alayhi-Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Aurat Ka Nutfa Mard K Nutfe Par Ghalib Ho To Bachcha Apne Nanihal Ki Mushabeh Hota Hay, Aur Jab Mard Ka Nutfa Aurat K Nutfe Par Ghalib Ho To Bachcha Dadihaal Par Parhta He.
    [Sahih Muslim, Vol1, 715]

  • Hadees E Nabvi: Nabi E Kareem (ﷺ) Ne Irshaad Farmaya, Musalman Ko Bimari Ki Wajeh Se Allah Ta'la Uske Gunah Is Tarah Khatam Kar Deta Hai Jis Tarah Aagh Sone Aur Chandi Ke Mail Kucail Ko Khatam Kar Deti Hai.[Sunan E Abu Dawood, Hadith No:3092]

  • Bewa'o Aur Miskeeno Ke Liye Koshish Karne Wala ALLAH Ke Raste Me Jihad Karne Wale Ki Tarah Hai Ya Us Sakhs Ki Tarah Hai Jo Din Me Roze Rakhta Hai Or Raat Mein Ibadat Karta Hai.
    [Bukhari Sharif, Hadis:6006]
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.