Qurbani Se Pehle Baal aur Nakhun Katne Ka Masla

ShereKhudaHazratAli.com

Qurbani karnay walay baal, nakhun na kaaten :

Mufassir-e-Shaheer, Hakeem-ul-‘Ummat, Hazrat-e-Mufti Ahmed Yar Khan Rehmatullah Alaih is Hadis-e-Pak (Jab ‘Ashrah aa jaye aur tum mein se koi Qurbani karna chahay to apnay Baal aur Khal ko bilkul hath na lagaye) ke tahat farmate hain: “Ya’ni jo ameer wujoban ya faqeer naflan Qurbani ka iradah karay woh Zul- Hajjat-ul-Haraam ka chand dekhne say Qurbani karne tak nakhun baal aur (apnay badan ki) murdar khal wagherah na kaate na katwaye take Hajiyon say qadray (ya’ni thori) Mushabihat ho jaye ke woh log Ehram mein hajamat nahin kara sakte aur takay Qurbani her baal, nakhun (kay liye jahannam say aazadi) ka fidiya ban jaye. Ye hukum istihbabi hay wujobi nahin (Ya’ni wajib nahin, mustahib hay aur Hattal-imkan mustahib per bhi amal karna chahiye al-batta kisi ne baal ya nakhun kaat liye to gunah bhi nahin aur esa karne say Qurbani mein khalal bhi nahin aata, Qurbani durust ho jati hay) lihaza Qurbani wale ka hajamat na karana behtar he lazim nahin. Isse ma’loom huwa ke achon ki mushabihat (ya’ni naqal) bhi achi hay.”

Mustahib kaam kay liye Gunah ki Ijazat Nahin :

Yad rahay! Chalees (40) din kay andar andar nakhun tarashna, baghlon aur naaf ke niche ke baal saaf karna zaruri he 40 din say ziyada takheer gunah he chuna che Mere Aaqa A’la Hazrat Imam-e-Ahl-e-Sunnat Mujadid-e-Deen-o-Millat Maulana Shah Imam Ahmed Raza Khan Rehmatullah Alaih farmate hain: Ye (Ya’ni Zul-Hajjat-ul-Haraam ke ibtada’ie Das(10) din mein nakhun wagherah na kaatne ka) hukum sirf Istihbabi (6 ,7 8ا) he, kare to behtar he na-kare to muzaika nahin, na is ko hukum ‘uduli (ya’ni na-farmani) keh sakte hain, na Qurbani mein nuqs (ya’ni khami) aane ki koi waja, balke agar kisi shakhs nay 31 din say kisi ‘uzr kay sabab khuwah bila ‘uzr nakhun na tarashay hon kay chand Zul-Hajjah ka ho gaya to woh agar-che Qurbani ka irada rakhta ho is mustahib par ‘amal nahin kar sakta ke ab dasven (10) tak rakhega to nakhun tarashwaye huwe iktalisvan (41) din ho jaye ga aur chalis (40) din say zyada na banwana gunah hay. Fa’il-e-Mustahib kay liye Gunah nahin kar sakta.
(Mulakhas az Fatawa Razaviyyah, jild 20, safha 353-354)

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.