Qurbani Ke Ahkam aur Masail

ShereKhudaHazratAli.com
Qurbani ki Ta’areef :
ALLAH ke liye ṡawaab ki Niyyat se Khaas jaanwar ko makhsoos ayyaam me zibah karna ‘Qurbani’ hai.

Quran :
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ
Pas apne Rab ke liye Namaaz padho aur Qurbaani diya karo.
[108 Surah al-Kausar, Aayat 2]

Qurabni Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Hai jo is Ummat Ke Liye BAQI Rakhi Gayi Aur Huzoor ﷺ Ko Iska Hukm Farmaya Gaya.

Huzoor Sarware Kainaat ﷺ Ke Muqaddas Irshadaat :

Eid ul Adha aur Qurbani Ke Masail, quran aur hadees, Qurbani Ke Ahkam aur Masail, eid ul adha qurbani, bakra eid, cow qurbani, qurbani k janwar, cow ki qurbani, camel, qurbani animals, qurbani ka tarika,
Hadees :
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi
{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}

Hadees :
Hazrat Umme Salma رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne ZIL HIJJAH Ka Chand Dekha Aur iradah Qurbani Ka Ho To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal Nakhun Na Kate
{جامع الترمذي، كتاب الضحايا، باب ما جاء في إيجاب الأضاحي، جلد-3، صفحہ-123، الحديث-1500}

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Sayyeda Fatima radi-Allāhu ta’ala anhu se farmaaya"Aye Faatima, Utho aur apni qurbaani ke jaanwar ke paas maujood raho, us ke khoon ka pehla katra girte hi saahib e qurbaani ki tamaam khatayen muaf kar di jaati hai.’

Hadees:
Hazrat Imam Hasan Bin Ali رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya  Jisne Khush Dili Se Sawab Ki Talab Me Qurbani Ki Wo Uske Liye Jahannam Se Rok (Pardah) Ho Jayegi
{المعجم الكبير، جلد-3، صفحہ نمبر-84، الحديث-2736}

Hadees:
Ummul Momineen Sayyedah Aisha Siddiqa رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya, Qurbani Ke Dino Main Ibne Adam Ka Koi Amal Allah Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Ziyadah Pyara Nahi Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Seeng Aur Baal Aur Khuron Ke Sath Ayega aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Allah Ke Nazdeek MAQAME Qubool Me Pahoch Jata Hai Lihaza Use Khush Dili Se Karo
{جامع الترمذي، كتاب الأضاحي، باب ماجاء في فضل الأضحية، جلد-3، صفحہ نمبر-163، الحديث-1498}

Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Ke Ahya (Zindah Rakhne) Me Jo Qurbani Wajib Hai Wo Sirf Gani (Maldar) Par Hai Aur Uske WAJIB Hone Ki Kuch Shara'it Hain Jo Ye Hain...

1. Musalman Hona Gair Muslim Par Wajib Nahi

2. Muqaeem Hona Musafir Par Wajib Nahi

3. MALIKE NISAB Hona.

4. Hurriyat Yani Aazad Hona Gulam Par Qurbani Wajib Nahi

Musalman Maldar Muqeem Aazad Mard Ya Aurat Ho Un Par Wajib Hai.

Mas'ala :
Shara'it Jo Upar Bayan Hui Unka Pure WAQT Me Paya Jana Zaroori Nahi Balki Qurbani Ke Liye Jo WAQT MUQARRAR Hai (10wi Zilhijja Se 12wi Ke Suraj Dobne Tak) Usme Se Kisi Hisse Me Shara'it Paai Gai To Qurbani Wajib Hai, Masalan Eik Shakhs Shuru Waqt Me Kafir Tha Phir Musalman Hua Aur Abhi Qurbani Ka WAQT hai To Uspe Qurbani Wajib Hai Eik Shakhs Gulam Tha Ab Azad Hua Uspe Wajib Hai, Eik Shakhs FAQEER Tha Ab Gani Hua Uspe Wajib Hai
{الفتاوى الهندية، كتاب الأضحية، الباب الأول في تفسيرها.......إلخ جلد-5، صفحہ-293}

Mas'ala :
Musafir Par Agarche Wajib Nahi Magar NAFL Ke Taur Par Kar Sakta Hai, Sawab Payega, Hujjaaj (Haj Karne Wale) Jo Musafir Hain Un Par Qurabni Wajib Nahi, Haan Jo Wahan Ke Sukkan (Rehnewale) Hain Un par WAJIB Hai Wo Log Musafir Nahi Hain
{الدرالمختار"و"ردالمحتار، كتاب الأضحية، جلد-9، صفحہ 524}
[ads-post]
Hadees :
Hazrat Abu Hurairah ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮧ Se Riwayat Hai Allah Ke Rasool ﷺ
Ne irshad Farmaya, 'Jisme Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Hamari Eid Gaah Ke Qareeb Na Aaye'
{ ﺳﻨﻦ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﮧ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ، ﺑﺎﺏ ﺍﻷﺿﺎﺣﻲ ﻭﺍﺟﺒﺔﻫﻰ ﺃﻡ ﻻ، ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ 539- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 3123- }

Mas'ala :
Jo Shakhs 200 Darham Ya 20 Dinaar Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Siwa kisi Aisi Chiz ka Malik Ho Jiski Qimat 200 Darham Ho Wo Gani Hai Aur uspe Qurbani Wajib Hai.
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 292- }

Mas'ala:
Eik Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Wajib Nahi, Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil Gayi Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi.
{Alamgiri, Volume-5, Page-292}

Hadees:
Hazrat Ibne Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻨﮩﻤﺎ Kehte Hain Ki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Raat Me Qurbani Karne Se Mana Farmaya.
{ ﺍﻟﻤﻌﺠﻢ ﺍﻟﻜﺒﻴﺮ، ﺟﻠﺪ 11- ، ﺻﻔﺤﮧ 152- ، ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ 11458- }

Mas'ala:
Qurbani Ke WAQT Me Qurbani Hi Karna Lazim Hai, Koi Dusri Chiz Uske Qaim-Muqam Nahi Ho sakti, Masalan Bajaye Qurbani Ke Bakra  ya uski Qeemat Sadqa Kar Dee To Ye Na'kaafi Hai.
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 293- }(‘Alamgeeri, jild 5, safha 293, Bahar-e-Shari’at, jild 3, safha 335)

Mas'ala:
Qurbani Ka WAQT 10wi zilhijjah Ke Tuluye Subhe Sadiq Se 12wi Ke Guroobe Aaftab Tak Hai, Yani 3-Din Aur 2-Raten, Aur in Dino Ko Ayyam e Nahar Kehte Hain
{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, page-336}

Mas'ala:
10wi Ki Bad ki 2no Raten ayyame Nahar Me Dakhil Hai in Me Bhi Qurbani Ho Sakti Hai, Magar Raat Me Zabah Karna Makrooh Hai
{Bahar-E-Shari'at, Hissa -15, page-336}

Mas'ala:
Shaher Me Qurbani Ke Liye Shart Hai Ki Namaze Eid Ho Chuki Ho, Dihat Me Chunki Eid Ki Namaz Jayez Nahi Is liye Wahan Tulooye Fajr Ke Bad Qurbani Kar Sakte Hain Magar Behtar Ye Hain Ki Suraj Nikalne Ke Bad Ki Jaye.
{Alamgiri, Volume-5, Page-295}

Hazrat Jundab radi-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Namaaz padhane ke baad Khutba diya, Phir Qurbaani ki aur farmaaya,‘Jis ne (Eid Ki) Namaaz se pehle Qurbani kar di ho use badle me dusre jaanwar ki Qurbaani karni chaahiye Aur jis ne Namaaz se pehle Qurbaani na ki ho wo ALLĀH ke naam se Qurbaani kare.’
(Sahih Bukhari, Jild -2, Hadeeṡ -985)

Mas'ala:
Jis Par Qurbani wajib Thi Usne Nahi Kiya Yahan Tak Ki Dusri Eid Aagayi, Ab is Dusri Eid Me Pehli Qurbani Nahi Kar Sakta, Balki Pichle Saal Ke Badle Janwar Ya Uske Barabar Qimat Sadqa Kre.
{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺤﻴﺔ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺮﺍﺑﻊ ﻓﻴﻤﺎ ﻳﺘﻌﻠﻖ ﺑﺎﻟﻤﻜﺎﻥ ﻭﺍﻟﺰﻣﺎﻥ، ﺟﻠﺪ5- ، ﺻﻔﺤﮧ ﻧﻤﺒﺮ 298- }

Mas'ala:
Agar Qurbani Minnat Ki Hai (Eidul Adha ki nahi) To Uske Gosht Me Se Kuch Na Khaye Balki Pura Sadqa Kare Agar Kuch Khaya To Utni Raqam Sadqa Kar De.
{Fatawa Alamgiri, Volume-5, Page-295}

Mas'ala:
Ba’az log pure ghar ki taraf say sirf ek bakra Qurban karte hain halan-kay ba’az oqaat ghar ke ka’ie afraad sahib-e-nisab hote hain aur is bina per in saron per Qurbani wajib hoti he, in sab ki taraf say alag alag Qurbani ki jaye. ek bakra jo sab ki taraf say kiya gaya kisi ka bhi wajib ada na huwa ke bakre mein aik say ziyadah hisse nahin ho sakte kisi ek tay-shuda fard hi ki taraf say bakra Qurban ho sakta hay.

Mas'ala:
Gaye (Cow/bhens)  aur ounth(Camel)  mein say Qurbaniyan  ho sakti hain. 
(Alamgeeri, jild 5, safha 304)

Mas'ala:
Na-baligh ki taraf say agar-chay wajib nahin  magar ker dena behtar hay (aur ijazat bhi zaruri nahin). Baligh olaad ya zoja ki taraf say Qurbani karna chahay to un say ijazat talab karay agar in say ijazat liye baghair kardi to in ki taraf say wajib ada nahin ho ga. (‘Alamgeeri, jild 5, safha 293, Bahar-e-Shari’at, jild 3, safha 428) Ijazat do tarah say hoti hay:
   i.  Sarahtan mas’alan in mein say koi wazih tor per kah day kay meri taraf say Qurbani kardo.
   ii. Dalalatan (Understood) masalan ye apni zoja ya olaad ki taraf say Qurbani karta hay aur unhen is ka ’elm hay aur woh razi hain. 
(Fatawa Ahl-e-Sunnat, Ghair-matbu’a)

QURBANI KE JANWARON KA BAYAN :

Mas'ala:
Qurbani Ke Janwar 3 Qisam Ke Hain
1=> Oont (male & female)
2=>Gaye (Male & female)
3=> Bakri (male & female)
Bakri Ki jitni Qisme'n Hai Sab Dakhil Hai Nar Madah Khassi Gair Khassi, Bhed Aur Dumbah Bhi Bakri Me Shamil Hain, Bhains Gaye Me Shumar Hai, in Sab Ki Qurbani Ho Sakti Hai.
{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, Page-339}

Mas'ala:
Wahshi Janwar Jaise Nel Gaye Ya Hiran inki Qurbani Jayez Nahi.
{Alamgiri, Volume-5, Page-297}

Qurbani Ke Janwaron Ki Age (umr) Kitni Honi Chahiye ? :

▶Oont & Ootni 5-Years.
▶Gaye Bail Bhains 2-Years.
▶Bakra Bakri 1-year, Complete, Saal Me 1 Din Bhi Kam Hai To Qurbani Nahi Hogi, Haan Ziyadah Hai To Ye Afzal (Behtar) Hai. Dumbah Aur Bhed Ka 6 month Ka Bachcha Agar Dikhne Me Saal Bhar Ka Maloom Ho To Uski Qurbani Jayez Hai
{ ﺍﻟﺪﺭﺍﻟﻤﺨﺘﺎﺭ "ﻭ " ﺭﺩﺍﻟﻤﺤﺘﺎﺭ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻷﺿﺤﻴﺔ، ﺟﻠﺪ 9- ، ﺻﻔﺤﮧ 533- }

Mas'ala:
Ek Bakri & Gaye Ke Gosht Ka 7wa Hissa Qimat Me Dono Barbar Ho To Bakri Ki Qurbani Karna Afzal Hai, Aur Agar Gaye Ke 7we Hisse Me Eik Bakri Se Ziyadah Gosht Aata Ho To Gaye Me Hissa Lena Afzal Hai, Bakre Se afzal Bakri Hai Haan Bakra Agar Khassi Ho To Wo Bakri Se Afzal Hai.
{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, Page-340}

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.