Qurbani Ke Janwar Ki Umar (Age) Kitni Hone Chahiye

ShereKhudaHazratAli.com
Ounth(Camel) panch(5 years) saal ka,
Gaaye(Cow) do(2 years) saal ki,
Bakra (is mein bakri, dunba,  dunbi  aur bher (nar-o-maddah)  donon shamil hain) ek(1 year) saal ka. Is say kam umar ho to Qurbani jaiz nahin, ziyadah ho to jaiz balkay afzal hay. Han dunba ya bhair ka che(6 months) mahinay ka bacha agar itna bada ho ke door say dekhne mein saal bhar(1 Year) ka ma’loom hota ho to is ki Qurbani jaiz he.
(Durr-e-Mukhtar, jild 9, safha 533)

Yad rakhye! Mutlaqan che(6 months) mah kay dunbay ki Qurbani jaiz nahin, is ka itna farba (ya’ni tagra) aur qad- aawar hona zaruri he ke door say dekhnay mein saal bhar(1 year) ka lage. Agar 6 mah (6 months) balkay saal (1 year) mein ek din bhi kam umar ka dunbe ya bhair ka bacha door say dekhne mein saal bhar ka nahin lagta to is ki Qurbani nahin hogi.

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.