Table of Content

Pul-Siraat ki Sawari

Sarkar-e-Namdar, Madinay kay Tajdar, Bi-Izn-e-Parwardigar, Do Aalam ke Malik-o-Mukhtar, Shahenshah-e-Abrar ﷺ ka farman-e-khushbudar hay: Insan Baqarah Eid kay din koi esi neki nahin karta jo Allah Azzawajal ko khun bahanay se zyada pyari ho, Ye Qurbani qayamat mein apne singoh, baalon aur khuron ke sath aaye gi aur Qurbani ka khun zameen par girne se pehle Allah ke waha qabool ho jata he lihaza khush-dili se Qurbani karo.
(Tirmizi, jild 3, safha 162, Hadis 1498)

Muhaqqiq-’Alal Itlaq, Khatim-ul-Muhaddiseen, Hazrat-e-Allama Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Rehmatullah Alaih farmatay hain: Qurbani apne karne wale ke nekiyon ke pallay mein rakhi jaye gi jis se nekiyon ka palra bhari hoga. (Asha’t-ul-lima’at, jild 1, sahfa 654) Hazrat-e-Sayyiduna Allama Ali Qari Rehmatullah Alaih farmatay hain: Phir is ke liye sawari banegi jis kay zariye ye shakhs ba-aasani pul siraat se guzrega aur us (janwar) ka her 'uzv malik (ya’ni Qurbani pesh karne wale) ke her ‘uzv (kay liye jahannam say aazadi) ka fidiya banega.