Takabbur (Pride) Kya Hai | Short Hadees

ShereKhudaHazratAli.com

Sawaal: Takabbur Kya Hai?

Jawaab: Khudko Afzal Aur Dusaro Ko Haqeer Jaanane Ka Naam Takabbur Hai.

Al-Quran : Aur Yaad Karo Jab ALLAH Ne Farisht’aon Ko Hukm Diya Ki Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke, Aur Wo Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya.
(Al-Bakrah, 34 – Kanzool Imaan)

Hadees : Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmaate Hai Ke, “Takabbur Haq Ki Mukhaalifat Aur Logon Ko Haqeer Jaan’ne Ka Naam Hai”.
(Sahih Muslim , Kitab-Ul-Imaan , Baab : Tahrim-Ul-Kabir Hadith No-91)

Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hain Usko ALLAH Khoob Jaanta Hai.
(Muslim Sharif)

Wo Shaksh Kis Tarha Takabbur Kar Sakta Hai, Jo Mitti Se Bana Ho, Mitti Me Milne Wala Ho Aur Mitti Me Keede-Makore Ki Gizah Ban’ne Wala Ho.
- Hazrat Abu’bakar Radi Allahu Ta’ala Anhu


Related Hadees SMS:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.