Table of Content

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Ke Alawa Kisi Aur Ki Qasam Khana Kaisa Hai?

بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Ke Alawa Kisi Aur Ki Qasam Khana Kaisa Hai?

Hamare Muashre Me Ek Cheez Bahut Aam Ho Gayi Hai, Hamare Kuch Muslim Bhai-Bahen Kam Ilmi Ki Wajah Se Badi Asaani Se Ghairullah(Yani Allah Ke Alawa) Ki Qasam Kha Lete Hain. Jaise Ki Kabhi Amma Ki Qasam, Kabhi Abba Ki Qasam To Kabhi Aulaad Ki Qasam. Jabki Islamic Shari’a Me Ghairullah Ki Qasam Khana Shirk Hai Aur Ise Rasool’allah Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Mana Farmaya Hai.

Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, ”Agar Kisi Ko Qasam Khani Ho To Allah Ki Hi Qasam Khaye Warna Khamosh Rahe”.
[Sahih Bukhari, Vol4, 2679]

Mahfum-E-Hadees:
Rasool’allah ﷺ Farmatey Hai, “Jisne Allah Ke Alawa Kisi Ki Qasam Khai Usney Kufr Kiya Ya Shirk Kiya.”
[Ahmad Hadees (2/34), Sahi Tirmizi Hadees (2/99)]

Ek Aur Riwayat Me Aap ﷺ Farmatey Hai:
Mahfume-E-Hadees:
“Apne Maa-Baap Aur Butho(Idols) Ki Qasam Naa Khaao Aur Naa Hi Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Qasam Khaao (Agar Qasam Khaney Ki Zaroorat Pad Jaaye) Tou Sirf Allah Ki Sacchhi Qasam Khaao.”
[Nasai Sharif: 3769]

Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Zyada Amal Ki Taufiq Dey..
Aameen

Related Islamic Post: