Eid Milad Un Nabi ﷺ Manane Ka Saboot Quran Or Hadees Se

ShereKhudaHazratAli.com

Eid E Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم. Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat:

Eid E Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم. Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat - Milad Un Nabi Kis Kis Ne Manaya, Milad un Nabi Ko Eid Kehna Kaisa, Naat E Paak Padhna, Jhande Lagana and More.
(1) “Tum farmao allah hi ke fazal aur usi ki rehmat aur usi par chahiye ke khushiya kare".
(Surah yunus ayat 58)
Is ayat me allah azzawajal ne apne fazal aur apni rahamat par khushiya manane ka hukum diya hai

(2) "Or humne tumhe na bheja magar rahmat sare jahan k liye"
(Surah ambiya ayat 107)
Is ayat me allah azzawajal apne pyare nabi صلى الله عليه وسلم. Se farma raha hai k humne tumhe sirf 1 ya2 aalam k liye nahi balki sare aalam k liye rehamat bana kar bheja yaha gour kare allah ne huzoor صلى الله عليه وسلم. Ko rahamat kaha hai aur jo paheli aayat pesh ki gai hai usme allah ne apni rahamat par khushi karne ka hukum diya hai

Jo in ayato ka munkir honga jo nabi صلى الله عليه وسلم.ko apne liye allah ki rahamat aur nemat nahi samajhta aur aaqa صلى الله عليه وسلم. Ki wiladat ki khushi se aitaraz karega yani wo ghum manayega pyare aaqa صلى الله عليه وسلم.ki wiladat par

(3) “Apne rab ki nemato ka khoob khoob charcha karo”
(surah duha ayat 11)
Is ayat me allah azzawajal ne hume apni nemato ka charcha karne ka hukum diya. har momin ye janta hai ki allah azzawjal ki subse badi aur azeem nemat hamare liye uske rasool humare pyare aaqa mustafa jane rehmat صلى الله عليه وسلم.hai is baat ko samjhane k liye quran ki ek ayat mulahiza farmaiye.

Allah azzawajal farmata hai:
“humne momino per ehsaan kiya, ki jab unme apne rasool صلى الله عليه وسلم. Ko bhej diya”
(sureh al-imran, ayat 164)
Mere pyare islami bhaiyo aap sara quran pad lijiye kisi bhi jagah allah azzawajal ne ye nahi kaha k humne tumhe ye nemat dekar tumpar ahesan kiya hai siwae apne maheboob nabi صلى الله عليه وسلم ke, isse malum hua k allah ki subse badi naimat hamare liye uske rasool humare aaqa صلى الله عليه وسلم. Hain.

Rabi ul Awwal:

12 rabi ul awwal par tamam ulama e islam ka ijma hai k is din do jahan ke sultaan pyare aaqa muhammad mustafa صلى الله عليه وسلم.sare alam k liye rahamat bankar duniya me tashreef laye aur isi din sari duniya me musalman apne nabi ki wiladat ka jashan karte hai
Reference:
1. Ibn-e-ishaq (85-151 h): [ibn jawzi in al-wafa, page 87]
2. Allama ibn hisham (213 h): [ibn hisham in as-sirat-un-nabawiya, vol. 1, page158]
3. Imam ibn jarir tabari (224-310 h): [tarikh al-umam wa al-muluk, vol. 2, page125]
4. Allama abu al-hasan ali bin muhammad al-mawardi (370-480 h):[ailam-un-nabuwwa, page 192]
5. Imam al-hafiz abu-ul-fatah al-undalasi (671-734 h): [aayun al-asr, vol. 1,page 33]
6. Allama ibn khaldun (732-808 h): [ibn khaldun in at-tarikh vol. 2, page 394]
7. Muhammad as-sadiq ibrahim arjoon: [muhammad rasoolullah, vol. 1, page 102]
8. Shaykh abdul-haq muhadath dehlvi (950-1052 h): [madarij-un-nabuwwah, vol. 2,page 14]
9. Imam qustallani (alaihir rahma) [al muwahib al laduniya, vol. 1, page 88]

Milad Kis Kis Ne Manaya ?

Huzoor صلى الله عليه وسلم. Ke zamane me masjid-e-nabwi me milaad huyi isme khud huzoor rehmat e aalam صلى الله عليه وسلم.ne apni wiladat ke fazail bayan kiye.
(tirmizi sharif, jild 2 safa 201)

Hazrat abu qatada ( allah aapse raazi hai ) se riwayat hai ki rasool-e-karim صلى الله عليه وسلم. Se peer ka roza rakhne ke bare me sawal kiya gaya to aap صلى الله عليه وسلم. Ne farmaya k isi din meri wiladat hui aur isi din mujh par quran nazil hua"
(sahih muslim, jild 2.hadith no 819, page 1162)
(nasai al sunane kubra, jild 2, hadith 146 page 2777)

Jab huzur صلى الله عليه وسلم. Ki wiladat hui tab abu lahab ki laundi sobiya ne abu lahab se kaha k tujhe bhatija hua hai is khushi me abu lahab ne apni us laundi ko ungli k ishare se aazad kiya tha" pas jab abu-lahab mar gaya to uske baad ahl-e-khana ne use khwab mein buri haalat mein dekha to usse puchha "tera kiya haal hai to abu-lahab ne kaha:
Maine tumhare baad koi bhalaa'ee nahi payi lekin mujhe us ungli se paani diya jata hai jis se maine hazrat muhammad (صلى الله عليه وسلم.) Ki wiladat ki khushi mein sobiya (abu-lahab ki londi) ko aazad kiya tha
(sahih bukhari, vol. 1, page 153, hadith no 5101, kitaabun nikaah)

Hazrat shaikh abdul haq muhaddis dehlvi rehmatullah alaih ne ma sabta minas sunna main ( sahih bukhari, v1, p153, hadith no. 5101kitabunnikah ) ki ye hadith naqal farmaya hai, abu lahab ki londi thee jiska naam sobia tha, usne pyare aaqa صلى الله عليه وسلم.ki peda'ish par abu lahab ko khabar di thi to aap صلى الله عليه وسلم. Ki peda'ish ki khabar sunnae par abu lahab ne sobia ko azaad kardiya tha to abu lahab k marne k baad kisi nayusay khuwaab main dekha, poocha k 'kaho kya haal hai' to woh bola aag main hoon albatta itna karam he k har peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aur ishare se bataya k apni do ungliyon se pani choos leta hoon, aur yeh inayat mujh par is wajah se he k mujhe sobia ne bhatije muhammad صلى الله عليه وسلم. Ki peda'ish ki khabar di thee to is basharat ki khushi main, maine use do ungliyun k isharay se azaad kar diya tha aur phir usne usay doodh pilaya tha.
[ads-post]
Ispar allama jazri alaih rehma farmatay hain k jab abu lahab jaise kafir k yeh haal hai ki use huzoor صلى الله عليه وسلم.ki wiladat ki peda'ish ki raat khush hone par dozakh ki aag main bhe badla diya jaraha hay to rasool allah صلى الله عليه وسلم. Ki ummat main say un logon k haal ka kya poochna jo aap ki paidaish k bayan say khush hotay hain aur jis qadar bhi taaqat hoti he unki muhabbat main kharch karte hain, mujhe apni umar ki qasam! Kunki jaza khuda e kareem ki taraf say yehi hogi k unko apne fazal e ameem yani fazl e kamil say jannat un naeem main daakhil farmayega.

Pyare islami bhaiyo zara gour kare jab abu lahab ko apne bhatije yani aaqa صلى الله عليه وسلم. Ki wiladat par unhe nabi صلى الله عليه وسلم. Maan kar nahi balki apna bhatija maan kar khushiya manaya tha to use ye faida hua k usi ungli se use pani pilaya jata hai jisse usne apne bhatije ki wiladat ki khushi me apni laundi sobiya ko azad kiya tha. Hum musalman to nabi صلى الله عليه وسلم maan kar wliadat ki khushi manate hai to socho k hume allah ki bargah se kya kya inaam milege duniya aur aakhirat me.

Khud nabi-e-paak صلى الله عليه وسلم ne apne milad par 'allah' ka shukra bajaa lane ki talkin farmayi aur targeeb di..!!
Iski tafseel yaha check kare hadith taweel hai
[ muslim sharif, jild - 2, safa - 819 ]
[ nisaai sharif, jild - 2, safa - 147 ]
[ baihaqi sharif, jild - 4, safa - 286 ]

Milad un Nabi Ko Eid Kehna Kaisa?

Aaiye pehle hum eid ka matlab samaj lete hai eid ka lugvi mana hai khushi. Agar koi arabi khushi ka lafz arabi me kahega to wo yahi kahega eid ise samjhane k liye quran ki ek ayat mulahiza farma leejiye.
Isa ibn e mariyam ne arz ki "aye allah! Aye hamare rab! Hum par aasman se ek khuwan utaar ke woh(khuwan utarne ka din) hamare liye eid ho, hamare agle pichlo ki aur teri taraf se nishani or hamain rizq de aur tu sab se behtar rizq dene wala hai".
(surah maidah ayat 114)
Is ayat se maloom hua ke jis din allah ki khass rehmat nazil ho us din ko eid manana aur khushi manana allah ka shukar ada karna ambiya ka tarika hai tabhi to hazrat isa alaihissalam ne dua mangi.

Aap khud faisla kare ke jis din hazrat isa alihissalam par khuwan e nemat utre to wo un k agle aur pichlon ke liye eid ho to jis din sare aalam k liye jahan k liye jo zaat rahemat hai un ki wiladat ho to us din musalmano k liye eid yani khushi kaise na ho?

Hazrat allama mulla ali qari miskat ki shrah me imam raghim k hawale se lafz eid ki wazahat farmate hue likhte hai, imam raghib ne farmaya ke eid ka lugvi aitebar se us din ko kehte hai jo barbar loat kar aaye aur shariat ki istelat me eid ul fitar aur eid ul azha ko kehte hai aur jab k ye shariat me khushi manane k liye mukarrar kiya gaya hai jis tarha nabi sallallaho alihe wasallam ne apne is farman me tambih ki hai ke(aitam e mina khane pine aur azdwajiyat ke din ha) lihaza eid ka lafz har khushi k din k liye istemal hone laga
(miratul mafateh, kitabul salat bab ul juma)

Dekha aap hazrat ne ke itne bade imam mulla ali qari aur imam raghib bhi yahi farma rahe hai k eid ka lafz har khushi k din k liye istemal hota raha hai. Nabi e mu’ajjam, sarapa judo karam salllahu alaihe wasallam ne farmaya ki juma’a ka din sab dino ka sardar hai, allah ke nazdik sabse bada hai aur wo allah ke nazdik eid ul azha aur eidul fitr se bada hai. Allah ne isi me hazrate adam alaihissalam ko paida kiya, isi me zameen par unhe utara aur isi me unhe wafat di.
[sunan ibne majah, jild 2, page no. 8, hadithno. 1084]

Is hadees me teen khaslate hazrate aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi mo’amino ke liye allah ne use eid bana diya ki woh din eid ul azha aur eid ul fitr se bhi afzal kardiya. To hamare sarkar e do jahan صلى الله عليه وسلم. Jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavri par hum us din ko kyun eid na kahe, balke hum to use eido ki eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi to hume baaki eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatallil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. Toh hum kyun us din khushi nakare?

Naat E Paak Padhna:

Huzur sallallaho alaihe wasallm hazrat hassan ( allah aapse raazi hai ) k liye masjid e nabvi shareef me mimbar rakhte or hazrat hassan us par kharey ho kar huzur  صلى الله عليه وسلم Ki shan e aqdas me naatia as'haar padhte the or huzur  صلى الله عليه وسلم  Farmate, jab tak hassan mere baare me naatia or fakharia ashaar parhta rahe ga to beshak allah taala roohul uqdas (hazrat jibrail alaihissalam) k zarye hassan ki madad farmata hai.
(sunan abu dawood, kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, jild 5, page 176, hadith no 5015)
(sunan tirmizi, kitab ul adab, baab ma jau fi inshad'shaar, jild 3, page 562,561, hadith no 2846)

Ye the milad un nabi salllaho aliahe wasallam ko eid kahene ki dalil ab aaye dekhte hai milad un nabi sallallahu aalihe wasallam k mauke par kiye jane wale mustahab aamal hadith ki roshni me
Juloos nikalna aur usme ya rasool allah k nare lagana:
Jab aaqa  صلى الله عليه وسلم. Hijrat kar k madina sharif aaye to logon ney khoob jashn manaya
Nojawan ladke apni chatton par chadh kar aur gulam, khuddam raasto me phirte they aur nara'aey risalat lagate aur kehte, ya rasolallah.
(sahih muslim jild 2 page 419)

Jhande Lagana:

Hazrate amina farmati hai k jab mere ghar muhammad صلى الله عليه وسلم.  Ki wiladat hui us waqt hazrat jibrail alaihissalam ne 3 jhande nasab kiye ek magrib me ek mashrik me aur ek kabe ki chatpar
Is riwayat ko shah abdul haq muhaddith dahelvi rahamatullah ahlie ne apni kitab madarijunnabuwa jild 2 me naqal kiya hai

Ab aaiye dekhte hai tarikh ki kitabo me k nabi  صلى الله عليه وسلم. Ki wiladat par afsoos kun kun karta hai

Imam qastallani (rahimullah) farmate hain :
“ chahiye imaan walo ki tum milad-e-mustafa صلى الله عليه وسلم. Ko eid ke taur par manaya karo. Allah apna fazl aur ehsan kare unn logo par jo rabi ul awwal ki raato’n ko eid ke taur par manate hain, kyunki iss maheene ko eid ke taur par manane se unn dilo’n par aur unn logo par ghazab utarta hai jinke dilo’n mein bughz aur munafikat ki bimari hai.”
(imam qastallani, al muwahib al luduniya, jild no. 1, safa no. 148)

Shaitan kaheta hai ki mai barso jannat me raha, farishto ka sardar ban gaya,magar jab ye aadam (nabi) paida huwa to mere liye badi musibat paida ho gai,yaha tak ki mujhe jannat se bhi nikal diya gaya!!! Phir jab jab koi nabi paida hota woh gumraho ko sahi raah dikha kar jannat me le jata aur tab tak ki meri sari mehenat mitti me mil jati. Aur aakhir me jab aakhiri nabi muhammad  صلى الله عليه وسلم. Paida huwa tab to mai itna roya jitna pehle jannat se nikalne par roya tha, aur usne meri tamam mehnat par pani pher diya.
(hadith ibn-kathir in al-bidayah wal nihayah, volume no. 2, page no. 166)

Note: Agar aisi nishaniya kisi me dikhai de to samjho woh shaitan ki nasihat lekar aaya hai.

Nisar teri chahal pahal par hazar eiden rab ul awwal
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.