Eid Milad Un Nabi ﷺ Ki Fazilat (Virtue of Eid e Milad un Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam) :
1. Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allahu Anhu) Ne Farmate Hain,
"Jis shaks Ne Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Milad Shareef Padhne Par, Ek Dirham (Arabic Currency) Bhi Kharch Kiya Wo Jannat Mein Mere Saath Hoga.
2. Hazrat Umar Farooq (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam K Meelad Shareef Ki Tazeem (Respect) Ki, Us Ne Jaise Ki Islam Ko Zinda Kar Diya.
3. Hazrat Usman Gani (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Meelad Shareef Padhne Par Ek Dirham Bhi Kharch Kiya, Wo Jaise Ghazwa-e-Badr-o-Hunain Mein Haazir Huwa.
(Ghazwa Means A Holy War Which Is Fought In The Company Of Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
(Ghazwa Means A Holy War Which Is Fought In The Company Of Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
4. Hazrat Ali Murtuza (Radi Allahu Anhu Wa Karramallahu Wajhu Farmate Hain,
"Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Meelad Shareef Ki Tazeem Ki, Aur Meelad Padhe Jane Ka Sabab Bana, Wo Duniya Se Imaan Ke Saath Hi Jayega, Aur Jannat Mein Bhi Be-Ghair Hisab Ke Dakhil Hoga.
(An Nemat-Ul-Kubra Pg.No.5-6)
Jab Talak Yeh"C H A N D - T A A R E"Jhil Milate Jayenge
Tab Talak"J A S H N - E - W I L A D A T"Hum Manate Jayenge....!!
Tera Khawa Main Tere Geet, Gawa"YA RASOOL ALLAH"
Tera Milaad Main Kyun Na manava Ya Rasoolallah...
Related Post: