Table of Content

Aaqa Ka Milad Aaya | Naat Sharif

Charon Taraf Noor Chaya Aaqa Ka Milad Aaya Naat Lyrics

Ya RasoolAllah Ya HabibAllah
Salla Alaika Ya RasoolAllah
Wassallam Alaika Ya HabibAllah
Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah

Charon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Paigham Laya,
Aaqa Ka Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Shams-O-Qamar Aur Taaray,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray,
Unsay Hi To Noor Paaya,
Aaqa Ka Meelad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Khushiyan Manate Hain Wohi,
Dhoomain Machate Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Ghar Ko Sajate Hain Wohi,
Jhanday Lehrate Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Hai Shaad Har Ek Muslimaan,
Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan,
Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Mukhtar-e-Kul Maane Jo Unhein,
Noori Bashar Jaane Jo Unhe,
Naara Ussi Nay Lagaya,
Aaka Ka Milad Aya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Jou Aaj Mehfil Mein Aaye,
Mann Ki Muradein Woh Paye
Sab Par Karam Ho Khudaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Ghous Ul Wara Aur Data Ne,
Mere Raza Aur Khwaja Ne,
Sab Ne He Din Yeh Manaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Naat-e-Nabi Tum Sunao,
Ishq-e-Nabi Ko Barhao,
Hum Ko Raza Ne Sikhaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Jis Ko Shajar Jante Hain,
Kehna Hajar Mante Hain,
Aisa Nabi Hum Ne Paya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Dil Jhagmagane Lage Hain,
Sab Muskurane Lage Hain,
Ik Kaif Sa Aaj Chahya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Kar Ae Ubaid Unki Midhat,
Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat,
Tu Ne Muqaddar Yeh Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Charon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Paigham Laya,
Aqa Kaa Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah.

Related Naat Sharif: