Table of Content

Be Namazi Ki Nahoosat Se Ghar Ki Barkat Nikal Jati Hai

Be Namazi KiNahoosat Se Ghar Ki Barkat Nikal Jati Hai | Short Islamic Hadees | Hadith Of The Day


Mafhoom-e-Hadees: 
Ek Sahabi Ne Arz Kiya – “Aye Allah Ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Mere Ghar Barkat Nahi, Kiya Karoon?”

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,"Apne Ghar Ke Darwaze Par Parda Lagao.”
Sahabi Ne Aisa Hi Kiya.

Kuch Din Bad Phir Aaye Arz Kiya – “Ab Mere Ghar Bohot Barkat Hai! Lekin Iska Parde Se Kiya Wasta?”

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, "Aap Ke Ghar Ke Pass Se Be-Namazi Guzarte Hain Unki Nahoosat Ghar Pe Padti Thi Aur Barkat Nikal Jati Thi”.
[Socho Jis Ghar Me Hi Be Namazi Hon Tou Kaise Barkat Ho sakti he ?]

Pyare Aaqa Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,"Jis Momin Bande Ki Aankhon Se Allah Ta’alaKe Khouf Se Aansoo Tapak Parey, Khua Wo (Aansoo)Makhi Ke Sir Ke Barabar Kyun Na Ho, To Allah Ta’ala Uss Par Jahannum Ki Aag Haraam Farma De Ga."
[Ibne Majah’ Kitab-Uz-Zohad, Hadith no. 4197]