Juma K Din Ka 1 Esa Amal Jisse Ek Juma Se Dusre Juma Tak Ke Gunah Maaf

Juma Ke Din Ka Ek Esa Amal Jisse Ek Jumma Se Dusre Jummah Tak Ke Gunah Maaf Ho Jate Hain Hadees Sharif Roshni Mein | Hadith Of The Day | Short Hadith | Juma Mubarak

Juma Ke Din Ka Ek Esa Amal Jisse Ek Jumma Se Dusre Jummah Tak Ke Gunah Maaf Ho Jate Hain:

Hazrat Salman Radi Allahu Taala Anhu Ne Kaha Ki Hazrat E Sarkar E Akdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jo Shakhs Jumma Ke Din Nahaaye Jis Kadar Ho Sake Paaki Wa Safaayi Kare Aur Tel Lagaye, Khushbu Male, Jo Ghar Mein Mayassar Aaye, Fir Ghar Se Namaz Ke Liye Nikle Aur Do Aadmiyo Ke Darmiyan (Apne Bethne Ya Aage Guzarne Ke Liye) Jagah Na Banaye, Phir Namaz Padhe Jo Mukarrar Kar Di Gayi Hai, Fir Jab Imam Khutba Padhe To Chupchaap Baitha Rahe To Uske Woh Sab Gunah Jo Ek Jumma Se Dusre Juma Tak Usne Kiye Hai Maaf Kr Diye Jayenge.
[Bukhari]
[Ibne Majah, Anwar ul Hadees, Page No.106]
[ads-post]
हज़रते सलमान रजियल्लाहु  तआ़लाअन्हु ने कहा कि हज़रते सरकारे अकदस सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया कि जो शख्स जुम्आके दिन नहाऐ जिस कदर हो सके पाकी व सफाई करे और तैल लगायें खुशबू मले जो घर मे मयस्सर आये - फिर घर से नमाज के लिए निकले और दो आदमियों के  दरमियान (अपने बैठने या आगे गुजरने के लिए)  जगह न बनाएं -- फिर नमाज़ पढ़े जो मुकर॓र कर दी गई है -- फिर जब इमाम खुतबा पढ़े तो चुपचाप बैठा रहै तो उस के वह सब ग़ुनाह जो एक जुमआ से दूसरे जुमआ तक उस ने किए हैं मुआफ कर दिए जायेंगे।
[बुखारी]
[इब्ने माज़ा, अनवारुल हदीस पेज न.106]

Related Post: