Allah Ke Bare Mein Jesi Soch Waisa Hi Maamla | Short Hadees Sharif

ShereKhudaHazratAli.com
Banda Allah Ta'ala Se Jaisa Gumaan Rakhta Hai Allah Usko Waisa Hi Ata Karta Hai:

Hadith:
Hazrat Abu Hurraira رضي الله تعالى عنه Se Riwayat Hai, Huzoor Nabi E Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Ne Farmaya: "Allah Ta'ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Mutalliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Uske Saath Waisa Hi Maamla Karta Hu. Jab Woh Mera Zikr Karta Hai, Mein Uske Saath Hota Hu. Agar Woh Apne Dil Mein Mera Zikr (Yaani Zikr E Khafi) Kare To Mein Bhi (Apni Shaan Ke Laaiq) Apne Dil Mein Uska Zikr Karta Hu. Aur Agar Woh Jamat Mein Mera Zikr (Yaani Zikr E Jali) Kare, To Mein Uski Jamat Se Behtar Jamat (Yaani Farishton) Mein Uska Zikr Karta Hu. Agar Woh Ek Baalisht Mere Nazdeek Aaye To Mein Ek Baazu Ke Barabar Uske Nazdeek Ho Jaata Hu. Agar Woh Ek Baazu Ke Barabar Mere Nazdeek Aaye, To Mein Do Baazuo Ke Barabar Uske Nazdeek Ho Jata Hu. Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aaye To Mein Uski Taraf Daud Kar Aata Hu."
[Sahih Bukhari, Kitab Ul Tawheed]
[Sahih Muslim, Kitab Ul Zikr Wa Dua Wa Tauba Wa Istigfaar]
[Sunan Tirmizi, Kitab Ul Zohd An Rasulallah  صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ]
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.