Shab E Barat Ki Fazilat | Mahe Shaban Ki Fazilat

ShereKhudaHazratAli.com
Shab E Barat is also known as Mid-Sha’ban, Bara’at Night, The Night Of Records, Laylat Al-Bara’at (Arabic), Nisf Shaban, Nisfu Syaban (Malay), Nim Sha'ban (Persian), Berat Kandili (Turkish).

Shab E Barat Is A Night In The Month Of Shaban Which Many Muslims Revere As The Night Of Forgiveness And Pray The Whole Night Asking Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) To Bestow Them With His Blessings. Shab E Barat Is Celebrated Mid-Shaban, On The Night In Between The 14th And 15th Of Shaban.

People Stay Up All Night And Offer Voluntary Prayers (Nafl), Asking Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) To Forgive Any Sins They Might’ve Committed In The Past.

Shab E Barat Ki Fazilat | 15vi Shaban Ki Fazilat | Mahe Shaban Ki Fazilat

Hadees 1:
Hazrat Aata Bin Yasaar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke 15vi Shaban Maut Likhi Jaati Hai Yaha Tak Ke Aadmi, Safar Me Nikalta Hai Halaan ke Zindo Se Murdo Me Wo Likha Jaa Chuka Hota Hai Aur Aadmi Nikah Karta Hai Halaan ke Zindo Se Nikaal Kar Murdo, Me Likaa Jaachuka Hota Hai
(Musannaf Abdul Razzaq, Vol:04, Page:317, Hadees:7925)

Hadees 2:
Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai K Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya,
"Mere Pass Jibril Alaihissalam Aaye Ye Shaban Ki 15wi Raat Hai Isme ALLAH Rabbul Izzat Itno Ko Aaazad Karta Hai Jitne BANI KALB Ki Bakriyo Ke Baal Hai Siwaye
1) Kafir Mushrik
2) Adawat Waale,
3) Maa Baap K Nafarmaan
4) Sharabi 
Inki Taraf Nazre Rehmat Nahi Farmata Hai.
(Imam Bayhaqi Shuyabul Imaan Vol : 03, Pg : 384, Hadees : 3837)

Hadees 3:
Shab E Barat Ki Fazilat, Mahe Shaban Ki Fazilat, 15vi shaban ki fazilat, shaban ke roze ki fazilat, quran aur hadees, The Night Of Records Hadith, Laylat Al-Bara’at, The Night of Mid Shaban, Nisf Shaban,
Hazrat Abu Moosa Ashari Se Marvi Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya ALLAH Ta'ala 15wi Shab Ko Zuhoor Farmata Hai Aur Mushrik Aur Chugal Khor Ke Alawa Sabki Bakshish Farma Deta Hai”
(Sunan Ibn Majah, Pg : 247, Kitab Iqaamah Assalah Wasunnah Fiha, Baab Maa Jaa Fee Lailatul Nisfi Shaban, Hadees : 1390)
(Imam Ahmad Ibn Hanbal #6353)
(Imam Bayhaqi Shuabul Imaan Vol : 02, Pg : 121, Hadees : 3672)
(Imam Tabarani Mujam Al Kabeer Vol :02, Pg : 109)
(Imam Abu Nauyam Hilyatul Awliya 05, Pg : 191)
(Musannaf Abdur Razzaq, Vol :4, Pg : 317, Hadees :7923) 
(Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih Pg : 409, Hadees : 1306)
(Naseerudin Albani Sahih Abu Dawood, Hadees : 1563, 1144)
Abu Moosa Ashari Se Yehi Rivayat Dusri Sanad Se Bhi Marwi Hai Jiske Raavi Hazrat Abu Huraira Hai Jo Mishkat Hadees:1706 Me Marvi Hai. 
Lihaja Wo Is Rivayat Ko Hasan Darje Tak Pahucha Deti Hai.

Hadees 4:
Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, "Beshak 15 Shaban (Shab E Bara'at) Ki Raat Allah Azzawajal Duniya Ke Asman Par Nuzoole Ijlaal Farmata Hai To Tamam Makhluq Ko Bakhsh Deta Hai Lekin Mushrik Aur Mushaa'hin Ke Siwa."
(Mushaa'hin: Bagair Deeni Wajah Ke Kisi Se Dushmani Ya Nafrat Rakhne Wala)
[Sunan Ibn Majah, Hadith No: 1390]
[Musannaf Abdul Razzaq, Hadith No: 7923]
[Musnad Imam Ahmad, Hadith No: 6642]
[Musnadul Haris]
[As Sunnah - Imam Ibn Abi Asim, Hadith No: 509, 510, 511, 512]
[Musnad Al Bazzar, 1:157, 1:206, 7:186, 16:161]

Hadees 5:
Hazrat Abdullah Ibn Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai.
(Musannaf Abdur Razzak Vol : 04, Pg : 317, Hadees: 7927)
(Imam  Bayhaqi Sunan Al Kubra, Hadees : 6386 And Shu’ab, 3:342 #3711, 3713), 
Isi Rivayat Ko Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Imam Ibn Asakir Ne Naql Kiya.
(Imam Daylami Musnad Al-Firdaws, Vol:2, Page:311, Hadees:2797)

Hadith 6:
Imam Muhammad Ibn Idrees Shafai Rahmatullah Alaih Apni Kitab Ul Umm Me Likhte Hai
“05 Raat Hai Jinme Duaye Kabool Hoti Hai 
1. Jumaah Ki Raat, 
2. Eid Ul Fitr Ki Raat, 
3. Eid Ul Azha Ki Raat, 
4. Rajab Ki Pehli Raat, 
5. NISF SHABAN (Yaani Shaban Ki 15wi Raat)”
(Kitab Ul Umm Vol : 02, Pg :485, Hadees : 482) 

Hadith 7:
Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai K Rasool Allah ﷺ Ko Farmate Huwe Suna Hai Allah Tabarakwa’tala 04 Raato Me Khas Kar Bhalai Ka Darwaja Khol Deta Hai
01) Eid Ul Fitr
02) Eid Ul Azha
03) Shaban Ki 15wi Raat Jisme Marne Waalo K Naam Hai Karne Waalo K Naam Logo K Rizk Likhe Jaate Hai.
04) Yaum E Arfa Ki Raat (Yaani 08 Aur 09 Zilhajja Ki Raat Se Fazr Tak)
(Imam Jalaluddin Suyuti Tafseer E Durre Mansoor, Vol : 07, Pg : 302 Print Darul Fikr Beirut)

Hadith 8:
Hazrat Ma’az Bin Jabal Raziallah Anhu Nabi E Karim ﷺ Se Riwayat Karte Hai Ke Aap ﷺ Ne Farmaya Allah Tala Sha’ban Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farma Deta Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
(Sahih Ibn Hibban 12, Pg : 479, Hadees : 5665)
Shaykh Arnaut Likhte Hai Ye Hadees Shawaheed Ki Bunyaad Pe SAHIH Hai. 
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer Vol :20, Pg : 108, Hadees :215)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 07, Pg : 36, Hadees :6776) (Imam Tabarani Al Musnad Shamiyeen Vol :01, Pg : 128, Hadees : 203)
(Imam Darqutni, Nuzool Vol : 01, Pg :58, Hadees : 77)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan, Vol : 09, Pg :24, Hadees : 6204 )
(Imam Bayhaqi Fazail Al Awqaat Vol :01, Pg 22, Hadees : 22 )
(Imam Abu Nauym Asfahani Hilyatul Awliya Vol : 05, Pg : 191)
Ahle Hadees Maqtab Kay Sabse Bade Muhadis Shaykh Naseerudin Albani 
(Silsila Al Ahadees Al Sahih Vol 03, Pg : 135, Hadees : 1144)

Hadith 9:
“Abdullah Ibn Amr Ibn Al Aas Radiallah Anhu Rivayat Karte Hai K Nabi ﷺ Ne Farmaya Allah Taala 15th Shaban Ki Shab Par Nazre Karam Karta Hai Aur Apne Bando Ko Baksh Deta Hai Siwaye Keena Parwar Aur Naahaq Qatl Karne Waalon Ke.
(Musnad Ahmad Vol : 06, Hadees : 197 – 98, Hadees : 6642)
Ahmad Shakir Sahih.
(Imam Hasan Al Khallal, Al Majalis Al Ashrah Vol : 01, Pg : 18, Hadees :02)
(Yahya Al Shajiri, Tarteeb Amali Al Khamesiyyah, Vol : 02, Pg : 48, Hadees : 1539)
(Naseerudin Albani Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol :03, Pg : 136)
Al Bazzar Ne Is Hadees Ko Riyayat Kiya Aur Hasan Kaha
Shaykh Shuayb Arnaut Ne Hasan Li Ghairih
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 08, Pg: 65)

Hadis 10:
“Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallahu Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jab Nisf E Shaban Ki Raat Aati Hai Allah Taala Aasman E Awwal Me Istawa Karta Hai Aur Apne Bando Ki Magfirat Karta Hai Siwaye Mushrik Aur Dilo Me Bugz Nafrat Rakhne Waalo Kay” 
(Imam Asim As Sunnah Vol:01, Page:222, Hadees:509)
(Imam Ibn Khuzayma Kitabut Tawheed Vol : 01, Pg :325,  Hadees : 48) (Imam Ibn Abi Dunya Fazail E Shahar Ramzan Hadees : 02)
(Imam Fakihi Al Akhbar Makkah Vol :03, Pg : 66, Hadees :1838)
(Imam Darqutni Al Nuzool Vol : 01, Pg :155, Hadees :75)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol :01, Pg : 157, Hadees :80 )
(Imam Maruzi Musnad Abu Baqr Siddique Vol : 01, Pg :171, Hadees :104)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 05, Pg : 357, Hadees : 3546)
(Imam Ibn Hazar Haythami Mazma Uz Zawaid Vol : 01, Pg : 125, Hadees : 12957)
Is Hadees Ko Hasan Kaha.
(Imam Ibn Hajar Asqalani Amal Al Mutlaqah Vol : 01, Pg :122)
Isko Hasan Kaha.

Hadis 11:
Hazrat Sayyidna Usama Bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool ALLAH ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Mahine Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Rajab Aur Ramzan Ke Darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay Aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal Me Uthaya Jaaye Ki Mai Rozadaar Hoon” 
(Sunan Nasai Pg : 267, Kitab us Saum, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2358)

Hadis 12:
Hazrat Abdullah Ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Mahina Shaban ul Mu'azzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzan ul Mubarak Se Mila Dete”
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)

Hadis 13:
“Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shaban Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)

Hadis 14:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan Hi Roza Rakh Liya Karte The Aur Farmaya Karte Apni Istitaat Kay Mutabik Amal Karo Ki Allah Us Wakt Apna Fazl Nahi Rokta Jab Tak Tum Uqta Naa Jao”
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)

Hadith 15:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Ramzan Kay Baad Sabse Zyada Roza Kisi Maah Me Rahte To Wo Shaban Ka Maahina Tha”
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)

Hadith 16:
Hazrat E Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Riwayat Hai Ke Maine Maahe Ramzan Ke Ilaawa Aur Kisi Mahine Ke Mukammal Roze Rakhte Huwe Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Nahi Dekha Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Shaban Ke Ilaawa Kisi Aur Mahine Mein Bahot Zyada Roze Rakhte Nahi Dekha.
[Mukashafatul Quloob, Baab 101]

Hadith 17:
“Hazrat Ali ul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Qayaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tajalli Farmata Hai Aur Kehta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Use Baksh Doon, Hai Koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon, Hai Koi Musibat Zada Ki Use Aafiyat Ata Karoon, Hai Koi Aisa ! Hai Koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai Ki Fazr Tuloo Hojaye.” 
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih )
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52) 

Hadith 18:
“Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahuanha Farmati Hai Tazdaar E Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺKya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada Pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ? 
To Mehboob Rabbul Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand Hai Jab Mera Waqt E Rukhsat Aaye Aur Mai Rozdaar Hoon” 
(Musnad Abu Yaala Vol : 08, Pg : 311, Hadees:4911)

Hadees Sharif 19:
Ummul Momineen Syeda Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Farmati Hai "Ek Raat Maine Sarwar E Kaynaat Shah E Mauzoodat ﷺ Ko (Apne Paas) Naa Payaa To Main Aapko Dhundne Nikli, Aap ﷺ Baqi E Paak (Jannat ul Baqi)  Me Mujhe Mil Gaye, Aap ﷺ Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ maine Khayal Kiya Tha Ki Shayad Aap Azwaj E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban Ki 15vi Raat Aasmaan E Duniya Par Tajalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb (Ek Qabila) Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
(Jamia Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay Bare Me Bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)
[Shu'bul Iman Hadith : 3545]
[Sharahus Sunnah Hadith : 992 | Hadith : 1299]
[Al-Jamius Sageer Hadith : 1667]
[Kanzul Ummal Hadith: 35176]

Related Islamic Article:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.