Hazrat Ayesha Siddiqa R.A - Short Biography Hindi, Urdu

ShereKhudaHazratAli.com



hazrat bibi ayesha siddiqa grave, medina munawwara, jannat ul baqi, ummul mu'aminin mazar, prophet muhammad wives, short biography, history

Ummul Mu'aminin Hazrat Sayyeda Aayesha Siddiqa Radiallahu Ta’ala Anhu – Short Biography Hindi, Urdu


Ummul Mominin Hazrat Sayyeda Aaisha Siddiqa رضی اللہ عنہا Amirul Mominin Hazrat Sayyedna Abu Baqr Siddiq رضی اللہ عنہ Ki Sahabzadi He. Inki Walida Ka Naam ‘Umme Rooman’ He . Aapka Nikah Huzur E Aqdas صلی اللہ علیہ و سلم Se Hijrat Se Pehle Makka Mukarrama Me Hua Tha Lekin Kashana E Nubuwwat Me Ye Madina Munavvara Ke Andar Hijri 2 Me Aai . Aap Sarkar E Madina صلی اللہ علیہ و سلم Ki Mehbooba Aur Chahiti Biwi He .

Huzur E Sarvar E Qayenat صلی اللہ علیہ و سلم Ne Ummul Mominin Hazrat Sayyeda Aaisha Siddiqa رضی اللہ عنہا Ke Bare Me Irshad Farmaya Ke “Ae Umme Salma ! (رضی اللہ عنہا ) Mujhe Aaisha (رضی اللہ عنہا ) Ke Bare Me Koi Taklif Na Do . Allah Ki Qasam ! Mujh Par Aaisha (رضی اللہ عنہا ) Ke Siva Tum Me Se Kisi Biwi Ke Lihaaf Me Vahi Nazil Nahi Hui ”
[ads-post]
Fiqah Va Hadees Ke Uloom Me Huzur صلی اللہ علیہ و سلم Ki Azvaaj Ke Darmiyan Sayyedna Aaisha Siddiqa رضی اللہ عنہا Ka Darja Bahot Uncha He . Bade Bade Sahaba E Kiram Aapse Masaail Pucha Karte The . Aapke Fazail O Manaqib Me Bahot Si Hadees e Aayi He .

Aapka Visal E Paak 17 Ramzan Ul Mubarak Ko Madina Munawara Me Hua . Hazrat Sayyedna Abu Huraira رضی اللہ عنہ Ne Aapki Namaz E Janaza Padhayi Aur Aapki Wasiyat Ke Mutabiq Raat Me Logo Ne Aapko Jannat Ul Baqi Sharif Ke Qabrastan Me Dusri Azvaaj E Mutahharat Ke Pehlu Me Dafn Kiya .
[Hawala Kitab - Faizane Aayesha Siddiqa]

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.