Durood Shareef Ki Fazilat Part-2

ShereKhudaHazratAli.com

Durood Shareef Ki Fazilat (Benefits of Reciting Darood Sharif)

Durood Shareef Ki Fazilat, durood sharif, durood e pak, durood o salam, durood ibrahim, salawat, allah, muhammad, hadees

1. Jo koi ek baar darood sharif padhta hai to uske durood se ek parinda paida hota hai jiske 70000 baazu hain har baazu me 70000 par hain har par me 70000 chehre hain har chehre me 70000 munh hai har munh me 70000 zabaan hai aur wo har zabaan se 70000 boliyon me rub ki tasbih padhta hai aur in tamam tasbihon ka sawab us padhne waale ke naamaye aamaal me likha jaata hai
[Noor se zahoor tak, safah 15]

Sallallahu Alaihi Wasallam

2. Jo nabi par ek baar durood sharif padhega to maula taala uspar 10 rehmate naazil farmayega aur uske 10 gunaah mita dega aur uske 10 darje buland kar dega aur doosri riwayat me aata hai ki maula aur uske farishte uspar 70 martaba durood padhte hain.
[Bahar e shariat, hissa 3, safah 76]

Sallallahu Alaihi Wasallam

3. Jo rozana 100 baar nabi kareem sallallahu taala alaihi wasallam par durood shareef padhe aur shahadat ki tamanna rakhe to wo shaheed marega.
[Bahar e shariat, hissa 4, safah 174]

Sallallahu Taala Alaihi Wasallam

4. Jo koi din bhar me 1000 baar durood padhega to wo us waqt tak nahin marega jab tak ki wo apni jagah jannat me na dekh le
[Khazina e darood sharif, safah 14]

Sallallahu Alaihi Wasallam

5. Jab bhi jahan bhi aur jitni baar bhi huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ka naam mubarak aaye to har baar aap par darood sharif padhna baaz ulma ke nazdeek waajib hai aur aisa na karne par sakht wayeed aayi hai.
[Bahar e shariat, hissa 1, safah 21]

Sallallahu Alaihi Wasallam

6. Huzoor Sallallaho alaihi wasallam farmate hain ki jisne ramzan paaya aur apni bakhshish na kara saka to wo halaak hua aur jisne apne waalidain ko paaya aur unki khidmat karke apni bakhshish na kara saka to wo halaak hua aur jiske saamne mera zikr hua aur usne mujh par durood na padha to wo halaak hua.
[Bahar e shariat, hissa 5, safah 97]

Sallallahu Alaihi Wasallam

7. Baaz log naam-e-aqdas ke aage bajaye sallallahu taala alaihi wasallam poora likhne ke hindi me सल्ल0 ya english me s.a.w ya urdu me ص ل ع م likh dete hain aisa karna sakht najayaz o haram hai.
[Bahar e shariat, hissa 1, safah 21]

Sallallahu Alaihi Wasallam

8. Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam farmate hain ki jisne mere naam ke saath durood e paak likha to jab tak wo wahan likha rahega farishte uske liye magfirat ki dua karte rahenge aur uska sawab jaari rahega.
[Qurbe mustafa, safah 79-80]

Sallallahu Alaihi Wasallam

9. Jisne dua ke awwal wa aakhir me durood shareef padha to uski dua radd nahin ki jaati
[Qurbe mustafa, safah 75]

Sallallahu Alaihi Wasallam

10. Jisne durood shareef ko hi apna wazifa bana liya to ye uski duniya aur aakhirat ke liye tanha kaafi hai aur usko kisi doosre wazife ki zarurat nahi hai.
[Bahar e shariat, hissa 3, safah 77]

Sallallahu Alaihi Wasallam

11. Hadis e paak me aata hai ki ilm failane waale ke barabar koi aadmi sadqa nahin kar sakta.
[Qurbe mustafa, safah 100]
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.