Azan Se Pehle Durood Sharif Padhna Quran or Hadees Ki Roshni Main

ShereKhudaHazratAli.com
azan, adhan, salat o salam before azan, durood before azan, islamic images, islamic photos, adhan, muhammad durood
Azan is an Arabic word, which comes from the word azn, meaning to listen, to hear.
Azan may refer to: Adhan or Azaan, Islamic call to prayer

The adhan (Arabic: أَذَان‎‎) is the Islamic call to worship, recited by the muezzin at prescribed times of the day. The root of the word is ʾadhina أَذِنَ meaning "to listen, to hear, be informed about". Another derivative of this word is ʾudhun (أُذُن), meaning "ear".

Sawal :-Azaan Se Pehle Durood Sharif Padhna Kesa ?

Jawab :- Quran-e-Paak aur Ahadees-e-Mubarika main kasrat k saath durood padhne ka hukm hai, Siwaye nijasat ki jaga k illawa uthtey beithy chaltey phirty durood shareef perha jai tou es main koi muman'at nahi hai.

Durood-e-Paak jis qadr aur jitni ziada jagaoon aur mawaqon per perha jaye itna he zyada acha hai, ishe liye ahl-e-sunnat wal jama'at k haan durood-e-paak ki
kasrat ki jaati hai.

Azan Se Pehle Darood Padhna :

Yeh baat yaad rakhiye k azaan sey pehle durood-e-paak padhne par bohat se ulama ka ijma hai,
Aur Hadees-e-Pak hai k:
"Beshak ALLAH meri Ummat ko gumrahi per jama nahi fermaega".
(Mishkaat Shareef, Page:30)

Aur jiss kaam ko musalman acha samjhaian jo ALLAH k Nazdeek bhi acha hai.
(Kitaab-al-ma'aat,Page:129)

History Dekhain tou pata lagta hai k sub se pehle Sala-ud-Deen Ayubi R.A (Allah ki inpar Rehmat ho)
Jo Fatah-e-bait-ul-Muqaddas aur Aashiq-e-Mustafa ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k ilqabaat se jaaney jaty hain,
Inhone 589 Hijri main apne door-e-hakoomat main Azaan se pehle Durood padhne ka hukm jaari kia,
Aur Iske bawajood k sultan mosoof bazaat-e-KHUD aalim faazil they,
Itne saalon main kisi bhi buzurg ne un k es kaam per tanqeed nahi ki bal ke un k kaam ko saraha aur apni duaoon se nawaza.
[ads-post]
Imam Muhammad Bin Abdul Rehman Sakhawi 902 Hijri k jaleel-ur-Qadr IMAM hain aur Hafiz Ibn-e-Hajr Askalani jo Sahi Bukhari ki mashoor SHARAH likhny waly hain inke shagird hain, Yeh fermaty hain k Azaan sey pehly durood shareef padhne se pehle yeh biddat Raij ho chuki thi k log apne khalifa per salam bheja kerty they,

Salaud deen Ayubi ne es buri biddat ko khatam ker k Azaan sey pehly durood shareef ko raij kia aur es k MUSTAHAB honey ki daleel Nus-e-QURANI sey sabit hai,

ALLAH farmata hai...
"Pus neik kaam karo"
(Sura Anbiya, Para:17, Ayat:17),

To Azaan sey pehly
Durood Padhna Ek achi biddat hai jis per ajr-o-sawab hai...
(Aqwal-al-badeei, Page:192)

Pehli baat tou yeh k Durood shareef kisi bhi waqt perhna jaiz hai,
Chahy azaan sey pehly pedhain ya baad main, eska zikr Quran-e-kareem main bhi hai....
(Sura Ahzaab,Verse:56)

Ahadees main aata hai:-
AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:
"Jub tum moazain se azaan suno tou wo kalimaat dohrao jo wo keh raha hai,
Aur es k baad MUJH per Durood-o-salam perho, aur mery waseely sey dua mango".
(Mishkaat Shareef,Page:64)

Hazrat Ibn-e-Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ Ney Sureh Ahzab ki ayat-e-durood ki tafseer is terha sey ki:
"Aur her maqaam per durood perho".
(Jila-ul-Ifhaan, Page:252)

Arwa Bin Zubair Ne bani-e-najr ki Ek Aurat sey riwayat ki...
"Mera ghar MASJID-e-Nabwi k gird taweel tareen hai, Hazrat Bilal ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ mere ghar ki chhat par azaan dete, pehly dua karty, Durood perhty aur phir Azaan kehty"....
(Sanan Abu Daood, V:1, Page:77)

Azan se Pehle Durood Shareef padhne ko kin kin ulma-e-karaam ney jaiz likha:

Is Ummat key 4 barey muhadiseen jin ko tamaam ummat manti hai unhon ney azaan sey kabal DAROOD O SALAM jaiz likha:-
Hazrat Imam Shurani ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ NE apni tasanef Kashaf al Gama main.....

Hazrat Imam Hajar Shafaic ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧﻋﻠﯿﮧ ne apnay Fatawa Kubra main.

Imam Mula Ali Qari Alehay ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ Mishkat Shareef ki sharah, Sharah Mirkat main....

Hazrat Imam Shami ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ nay Fatawa Shami main azaan sey pehlay aur azaan key bad,
ikamat sy pehlay Darood o Salam parhney ko jaiz likha.

"Allah ki in saare Buzurgane Deen par Rehmat ho,
Aur inke Sadqe Hamari Magfirat ho."

ISI LIYE HUME BHI BEJHIJHAK AZAN SE PEHLE AUR BAD ME HUMARE AAQA WA MOULA SALLAHU ALAYHI WASALLAM KI BARGAH ME DOOROD O SALAM KA NAZRANA PESH KARNA CHAHIYE...........
Talib-e-DuA :
Khakpa-E-Mohaddis-E-Kabeer Hazrat Allama Mufti Zia-Ul-Mustafa Sarkaar Allama Sahab qibla.
{Janashin-E-SadrusShariyah,Naib Qazi-Ul-Quzzat Fil Hind}

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.