Safar Ki Dua | Dua For Travelling | سفر کی دعا | सफर की दुआ Hindi

ShereKhudaHazratAli.com
Safar Ki Dua Haqiqat Mein Quran-E-Paak Ki Aayat Hai. Al-Quran Ki Surah ‘Adad 43, Surah Az-Zukhruf Ki Ayat ‘Adad 13 Se 14. Maut Ke Siwa Har Bala-o-Musibat Ko Talne Ke Liye. Safar Mein Hifazat Ke Liye Safar Ki Dua In Hindi Urdu Arabic English Images se is Dua Ko Padhiye.

Jab Bhi Aap Kisi Bhi Tarah Ke Safar Par Nikle. Ghoda, Oont, Hathi, Hawai jahaz(Aeroplane), Car, Motorcycle, Cycle Ya Kisi Bhi Tarah Ki Sawari Karein. Sirf 5 Seconds Me Safar Ki Dua Padhkar Safar Mein Khud Ko Mehfooz Rakhiye.

Safar Ki Dua - Sawari Ki Dua - Dua for Driving - Dua for Traveling – سفر کی دعا - सफर की दुआ in Arabic Text, Urdu, Roman Urdu, Hindi, English With Meaning and Images & Text Format

Safar ki Dua in Arabic:

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Safar Ki Dua | Dua For Travelling | سفر کی دعا | सफर की दुआ in Arabic, Arabic Text, Urdu, Hindi, English With Meaning in Multiple Languages and Formats.
[Al Quran: Az-Zukhruf, (43), Verse(Ayat): 13-14]

Safar ki Dua in Arabic Text:

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ
[Al Quran: Az-Zukhruf, (43), Verse(Ayat): 13-14]

Safar ki Dua in Urdu : سفر کی دعا

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ
[Al Quran: Az-Zukhruf, (43), Verse(Ayat): 13-14]

ترجمہ: پاک ہے وہ ذات جس نے اِس کو ہمارے تابع کر دیا حالانکہ ہم اِسے قابو میں نہیں لا سکتے تھے اور بیشک ہم اپنے رب کی طرف ضرور لوٹ کر جانے والے ہیں

Safar Ki Dua Ka Tarjuma in Roman Urdu:

Al-Quran: Jab Tum Un (Sawriyon) Par Baith Jao to Apne Rab Ke Ehsan Ko Yaad Karo Aur Kaho Ki.
"Wo Zaat (Allah) Paak Hai Jisne Isko Hamare Zer-e-Farman Kar Diya Aur Hum Mein Taaqat Na Thi Ki Isko Bas Mein Kar Lete Aur Hum Apne Rab Ki Taraf Laut Kar Jane Wale Hain."

Safar Ki Dua in English | Dua for Traveling and Journey | Invocation for Traveling | Dua for Driving | Safar ki Dua in Roman English | Safar Ki Dua in English Text: 

Recite this dua while boarding the vehicle:

Bismillahir Rahmanir Rahim...
Subha Nal Lazi Sakhkharlana Haaza Wamaa Kunna Lahu Muqrineen Wa Inna Ilaa Rabbina Lamun Qaliboon.
[Al Quran: Az-Zukhruf, (43), Verse(Ayat): 13-14]

Safar Ki Dua - Dua for Traveling/Driving With English Translation / English Meaning:

"All praise be to Allah, Glory be to Allah who has put this (vehicle) under our control though we were unable to control it. Surely, to our Sustainer are we to return."

We all should learn this dua e safar with translation. We should also teach this dua for travelling to our children. Make the habit of reciting this dua whenever you travel. If we look at statistics of road accidents, we will see that the number of road accidents is increasing by every passing day, so we should all recite this dua whenever traveling. We seek protection from Allah almighty by reciting this dua.

Safar Ki Dua in Hindi | सफर की दुआ | सफर की दुआ इन हिंदी:

सफर की दुआ तर्जुमा के साथ हिंदी में| सफर में पढ़ी जाने वाली दुआ हक़ीक़त क़ुर’आन-ए-पाक की दो आयात है| सूरह ‘अदद 43, सूरह अज़-ज़ुख़रुफ की आयत ‘अदद 13 और 14 है| 

✦ अल क़ुरान : और जिसने तमाम क़िस्म के हैवानात पैदा किए और तुम्हारे लिए किश्तियाँ और चौपाए बनाए जिन पर तुम सवार होते हो, ताकि तुम उनकी पीठ पर चढ़ बैठो और अपने रब का एहसान याद करो और कहो की...

बिस्मिल्लाहिर रहमानिर रहीम...

सुब्हानल्लज़ी सख्खर लना हाज़ा वमा कुन्ना लहू मुक़रिनीन, व इन्ना इला रब्बीना लमुनक़लिबुन.

वो पाक है जिसने इसको हमारे काबू में  कर दिया और हम में ताक़त ना थी की इसको काबू में कर लेते और हमको अपने रब की तरफ  ही लौट कर जाना है.

[सुरह ज़ुख़रूफ (43), 13-14]

Safar Ki Sunnatain Aur Aadab:

  • Jaha Tak Ho Sake Safar Mein Kam-Az-Kam Do(2) Aadmi Jaayein, Tanha Aadmi Safar Na Karein, Albatta Zarurat Aur Majburi Mein Koi Harj Nahi Ke Tanha Aadmi Safar Kare. (Ye Aam Taur Par Ek Shahar Se Dusre Shahar(City) Ya Gaon(Village) Jane Wale Safar Ki Bat Ho Rahi Hai.)
    [Fatahul Baari 6/53]

  • Sawari Ke Liye Rakaab Mein Paanv Rakhe To "Bismillah Hir Rahman Nir Raheem" Kahein. (Jab Aap Sawari Ke Liye Bethe, Chahe Woh Bus Ho, Car Ho, Bike Ho Ya Phir Koi Bhi Sawari. Sidha Per(Right Leg) Yani Dahina Per Pehle ‘Bismillah Shareef‘ Ke Sath Rakhiye.)
    [Tirmizi 2/182]

  • Sawari Par Acchi Tarah Se Beth Jayein To Teen(3) Martaba "Allahu Akbar الله أكبر" (Allah Sab Se Bada Hai) Kahein.
    [Muslim 1/434]

    Fir Ye Dua Padhe:
    Bismillahir Rahmanir Rahim...
    Subha Nal Lazi Sakhkharlana Haaza Wamaa Kunna Lahu Muqrineen Wa Inna Ilaa Rabbina Lamun Qaliboon.

  • Raaste Me Theharne Kï Zarurat Pesh Aaye To Sunnat Ye He K Raaste Se Hat Kar Qayaam Kare, Raaste Me Padaav Na Daale K Aane Jane Walo Ka Raasta Ruke Aur Unko Takleef Ho.
    [Muslim 2/144]
Safar Ki Sunnatain Aur Aadab - Safar Karne Ka Sunnat Tarika With Safar Ki Dua
  • Safar Ke Dauran Jab Sawari Bulandi Par Chade To Teen (3) Martaba ‘Allahu Akbar الله أكبر" (Allah Sab Se Bada Hai - اللہ سب سے بڑا ہے - Allah is the Greatest) Kahein.
    [Bukhari 1/420]

  • Jab Sawari Unchayi Se Niche Aane Lage To "Subhanallah سبحان اللہ(Allah Badi Azmat Wala Hai - اللہ بڑی عظمت والا ہے) Kahein.
    [Bukhari 1/420]

    Note: Mirkaat Mein He Ke Ye Sunnat Safar Ki He Lekin Apne Gharo Me Ya Masjid Ki Sidhiyo (Stairs) Per Chadhe Waqt Daahina Paanv Badhaye Aur "Allahu Akbar" Kahe Chahe Ek Hi Sidhi(Stairs) Ho, Aur Niche Utarte Waqt Baaya Paanv Aage Badhaye Aur "Subhanallah" Kahe Chahe Mamooli Utaar Ho, To Sunnat Ke Sawab Ki Tawaqqo He.

  • Jis Shahar(City) Ya Gaon(Villege) Mein Jane Ka Iraada Ho Jab Usme Dakhil Hone Lage To Teen Baar Ye Dua Padhe: Allahumma Barik Lana Feeha (Aye Allah Barkat De Hamein Is Sahar Mein)

    Fir Ye Dua Padhe: Allahummarzuqna Janaa Haa Wa Habbibna Ilaa Ahlihaa Wa-Habbib Saalihi Ahlihaa Ilaynaa
    [Mirqaat, 5/339 Hisne Haseen]

  • Rasulallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad He Ke Jab Safar Kï Zarurat Poori Ho Jaye To Apne Ghar Laut Aaye, Safar Mein Bila-Zarurat Thaharna Achchha Nahi.
    [Hisn E Haseen, 284]

  • Door Daraaz Ke Safar Se Bahot Dino Baad Zyada Raat Gaye Agar Ghar Aaye To Usi Waqt Ghar Mein Na Jaye Balki Behtar Hain Ke Subha Makaan Me Jaye.
    [Bukhari, 1/421]

    Note: Albatta Agar Ghar Walo Ko Tumhare Der Se Aane Kï Khabar Ho Aur Unko Tumhara Intezar Bhi Ho To Usi Waqt Ghar Me Dakhil Hone Mein Koi Harj Nahi.

  • Safar Me Kutta Aur Ghungru Saath Rakhne Kï Muma'anat Aayi He, Kyuki Inki Vajah Se Shaitaan Pichhe Lag Jata He Aur Safar Kï Barkat Jati Rehti He.
    [Mishkaat 2/339, Muslim 2/202]

  • Safar Se Laut Kar Aane Wale Ke Liye Ye Masnoon He K Ghar Mein Dakhil Hone Se Pehle Masjid Me Jaa Kar Do(2) Raka'at Namaz Padhe.
    [Mishkaat 2/339, Muslim 1/248]

Safar Se Wapsi Ki Dua:

Jab Safar Se Waapas Aaye To Ye Dua Padhe: "Aa'iboona Taa'iboona Aabidoona Li-Rabbina Haamidoona."
(Tarjuma: Hum Lautne Wale Hain, Tauba Karne Wale Hain, Allah Ki Bandagi Karne Wale Hain, Apne Rab Ki Hamd Karne Wale Hain)
[Muslim 1/248, Tirmizi 2/182]
[Pyare Nabi Kï Pyari Sunnatain 46]

Sawal: Safar Par Nikalne Ki Dua Qur’an-E-Pak Ki Kis Surat Aur Parah Mein Se Hai?

Jawab: Safar Par Nikalne Ki Dua Qur’an-E-Kareem Ka Parah ‘Adad 25. Jisme Surah Az-Zukhruf Hai. Safar Ki Dua Qur’an-E-Pak Ki Aayat Ka Ek Hissa Hai. Al-Qur’an Ki Surah ‘Adad 43, Surah Az-Zukhruf Ki Ayat ‘Adad 13 Se 14.

Note: We Have Tried Our Level Best To Avoid Any Mistake But If Anyone Finds Any Mistake in Safar Ki Dua / Dua Safar Or In Translation Or There Is Any Other Mistake Please Let Us Know So That We Can Make Changes Accordingly.

نوٹ : ہم نے کسی بھی غلطی سے بچنے کے لئے اپنی پوری کوشش کی لیکن کسی دعا میں یا ترجمہ میں کوئی غلطی پائے تو براہ مہربانی بتائیں. تاکہ ہم اس کے مطابق تبدیلی کر سکتے

Related Articles:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.