Ilm E Deen Ki Fazilat Aur Ahmiyat - Importance Of Knowledge

ShereKhudaHazratAli.com
بسم الله الرحمن الرحيم

Ilm E Deen Ki Fazilat Aur Ahmiyat - Importance Of Knowledge | Daily Hadith | Hadith Of The Day

Ilm E Deen Ki Fazilat Aur Ahmiyat - Importance Of Knowledge - Ilm Hasil Karna Har Ek Musalman Mard Or Aurat par Farz Hai | Hadith Of The Day | Hadees Sharif
Al-Quran: 
Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unke Darjaat Buland Kar Ke Rahega.
[Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]

Isi Tarha Ilm Ki Fazilat Aur Ahmiyat Ke Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmate Hai
Hadith: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
[Miskat P:24]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Ilm Hasil Karna Har Ek Musalman (Mard Aur Aurat) Par Farz Hai”.
[Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadith-224]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”.
[K.Ummal]

“Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye Ilm Padhna Padhaana Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
[Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58]
[ads-post]
Mafhoom-e-Hadees: 
“Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai”.
[Tafseer Roohul Bayaan, Jild#10, Page#221]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare, Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
[Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam Khak Aalud Ho. Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
[Tafsir-e-Kabir]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Jo Ilm Ki Talaash Me Kisi Raste Par Chalta Hai, Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
[Ibne Maja, Jild-1, Page:145]

Mafhoom-e-Hadees: 
“Jo Shakhs Talab-e-Ilm Me Rehta Hai, Allah Uske Rizq Ka Zaamin Hai”.
[Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398]

Mafhoom e Hadith: 
“Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uske Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”.
[Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203]

Mafhoom e Hadith: 
“Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda Kare(Faila Sake) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah Ka Farq Hoga”.
[Mishkat Sharif: Hadith no.231]

Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke, Allah Hum Tamaam Ko Beshumar Ilm Aur Amal Ki Taufiq De,
Beshumaar Sharayi Aur Duniyawi Ilm Ki Doulat Se Nawaze …
Sahih Ilm Ke Jariye Allah Ki Marfat Hasil Karne Ki Taufiq Ata Farmaye …
Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe …
Khaatma Humara Imaan Par Ho…
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.