Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Biography Roman in Urdu Hindi English

ShereKhudaHazratAli.com

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rahmatullāhi Alaihi Biography, History or Wiki In Roman Urdu, Hindi, English | احمد رضاخان بریلوی‎ | आला हजरत इमाम अहमद रज़ा खान बरेलवी हिस्ट्री:

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rehmatullah Alaih Biography, History or Wiki In Roman Urdu Hindi English Including Ala Hazrat Ki Family, Taleem Or Tarbiyat (Education), Shah Aale Rasool Barkati Se Bait Wa Khilafat, Ala Hazrat Ki Karamat, Khalifa, Ala Hazrat Dargah Bareilly Sharif and More.
Alqaab:

Aa’la Hazrat, Mujaddid E Deen O Millat, Imam E Ahle Sunnat, Azeem Ul Barkat, Faazil E Bareilwi.

Aala Hazrat Ki Wiladat:

Aap Ki Wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) Ko Bareilly (Uttar Pradesh) Me Hui.

Ala Hazrat Family:

Aap Ke Waalid Ka Naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan Bin Maulana Raza Ali Khan Rahmatullāhi Alaihi Aur Waalida Ka Naam Husaini Khaanam Binte Asfandar Yaar Beg Hai.

Aap Hazrat Malik Qais Abdur Rasheed Bin Ays Afghani Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu Ki Nasl Se Hain.

Aap Ke Pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.) Me Naadir Shaah Ke Saath Hindustan Aaye The Aur Yahi Sukoonat Pazeer Hue The. Sultaan Muhammad Shaah Ne Un Ko Lashkar Ke Saalaar Banaaye The.

Aala Hazrat Ki Taleem Or Tarbiyat (Education):

Aap Bachpan Se Hi Bade Zaheen The.
Aap Ne 4 Baras Ki Umr Me Qur’an Majeed Mukammal Kiya.
Aap Ne Apne Waalid Se Dars E Nizaami Ki Taaleem Mukammal Ki.
Aap Ne Mirza Ghulaam Qaadir Baig Rahmatullāhi Alaihi Se ‘Meezan E Munsha’ab’ Ki Taaleem Haasil Ki.
Aap Ne Hazrat Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Shaah Aal E Rasul Marehrawi, Shaikh-E-Kabeer Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-E-Noori Marehrawi, Shaikh Ahmad Bin Zain-E-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahmān Makki Aur Shaikh Husain Bin Saalih Makki Se Bhi Taaleem Haasil Ki.

Aap Ne 6 Saal Ki Umr Me Rabi Ul Awwal Me Meelaad E Rasool Ke Unwaan Par Shaandar Taqreer Farmai.

8 Saal Ki Umr Me Arabi Zabaan Me 1 Kitaab Likhi.

14 Sha’abaan 1286 Hijri Ko 13 Baras 10 Maah Ki Umr Me Pehla Fatwa Likha Aur Dastaar E Fazeelat Ata Ki Gai.

Bachpan Me Aap Ne Maah E Ramazaan Me Roza Rakha. Bahot Garmi Hone Ki Wajah Se Aur Aap Par Abhi Roza Farz Nahi Tha Is Liye Aap Ke Waalid Aap Ko Ek Kamre Ke Andar Le Gaye Aur Kamra Band Karke Meethai Di Aur Kaha ‘Ise Kha Lo’. Aap Ne Kaha ‘Maine Roza Rakha Hai.’ Aap Ke Waalid Ne Kaha ‘Darwaaza Band Hai, Koi Nahi Dekhega. Tum Khaa Lo. Tum Abhi Bache Ho.’ Aap Ne Kaha ‘Bhale Koi Na Dekh Raha Ho. Magar Mera Rab Jis Ke Liye Maine Roza Rakha Hai Wo To Dekh Raha Hai.’

Ala Hazrat Ka Nikah:

1291 Hijri (1874 A.D.) Me 18 Saal Ki Umr Me Aap Ka Nikaah Sayyeda Irshaad Begum Bint Shaikh Fazle Husain Se Hua.

Aap Ke 2 Bete Aur 5 Betiya Hain.

2 Saahabzaade :

(1) Haamid Raza Khan Urfe Hujjat-Ul-Islaam

(2) Mustafa Raza Khan Urfe Huzoor Mufti E Aazam E Hind.

Aap Ki 2 Saahabzaadi Ka Nikaah Aap Ke Bhatije Hazrat Mufti Allama Hasnain Raza Khan Bin Hasan Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi Ke Saath Hua.

Shah Aale Rasool Barkati Marherawi Se Bait Wa Khilafat:

1294 Hijri (1877 A.D.) Me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni Rahmatullāhi Alaihi Bareilly Shareef Aaye Aur Aap Un Ki Daawat Se Un Ke Saath Marehra Shareef Gaye. Jab Waha Pahunche To Aap Ne Farmaaya ‘Mujhe Mere Peer Ki Khushbu Aa Rahi Hai.’ Jab Aap Khaanqaah-E-BarKaatiya Me Pahunche To Hazrat Sayyed Shaah Aal E Rasool Barkaati Marherawi Rahmatullāhi Alaihi Ne Aap Ko Dekhkar Farmaaya ‘Aao. Main Kab Se Tumhara Intazaar Kar Raha Tha.’

Aap Bai'at Karke Hazrat Ke Mureed Ho Gaye.

Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-E-Noori Miyan Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Ne Aap Se Farmaaya Ke ‘Yaha Mureed Hokar Khilaafat Haasil Karne Ke Liye Aane Waalo Ko Pehle Mujaahida Karna Padta Hai. Jab Wo Us Darje Par Pahunch Jaata Hai Tab Hi Use Khilaafat Aur Ijaazat Milti Hai.’

To Sayyedina Shah Aale Rasool Rahmatullāhi Alaihi Ne Foran Kaha Ke ‘Aye Logo! Ahmad Raza Pehle Hi Se Allāh Ta’ala Ki Taraf Se Sanwaar Karke Bheja Gaya Hai. Sirf Use Silsile Se Jodna Tha. Qayaamat Me Jab Main Rab Ta’ala Ke Saamne Khada Rahunga Aur Mujhe Puchhega Ki Tum Apne Saath Kya Laaye Ho To Main Kahunga Ki Aye Mere Rab Tera Ata Kiya Hua Ahmad Raza Lekar Aaya Hu.’

Hajj Aur Safar E Hajj Ka Waqia:

Aap Ne 2 Baar Hajj Ada Kiye :

(1) 1295 Hijri (1878 A.D.) Me Apne Waalid Ke Saath,

Aur (2) 1323 Hijri (1906 A.D.) Me Apne Biraadar Maulana Hasan Raza Khan Aur Saaahabzaade Haamid Raza Khan Aur Mustafa Raza Khan Ke Saath.

Aap Ko Sunnat O Hadeeṡ Par Mukammal Yaqeen Tha Aur Har Amal Sunnat O Hadees Ke Mutaabiq Hi Karte The.

Aap Hamesha Ba-Jama’at Namaaz Ada Karta.

Aap Farmaate Hain Ke ‘Wali Ki Asl Karaamat Ye Hai Ke Wo Hamesha Nek Aur Parhezgaar Hota Hai Aur Shariat Aur Sunnat Par Amal Karta Hai.’

(1) Ek Baar Ye Afwah Pheli Ke Bareilly Shareef Me Taa'oon (Plague) Phaila Hai. Ittefaaq Se Aa’la Hazrat Ko Masoodo Me Soojan Ho Gaya Aur Dard Itna Shadeed Tha Ke Aap Ka Munh Bhi Khul Nahi Pata Tha Aur Tez Bukhaar Bhi Tha. Jab Doctor Ko Bulaaya Gaya To Us Ne Jaanch Karne Ka Baad Kaha Ke ‘Aap Ko Plague Hone Ka Andesha Hai.’ To Aap Ne Kaha Ke ‘Ye Mumkin Nahi Hai. Kyun Ke Huzoor Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ne Ek Dua Batai Hai Aur Farmaya Hai Ke Jab Koi Badi Beemaari Phailne Ki Khabar Suno To Is Dua Ko Padh Lena. In Sha Allāh Hifaazat Ho Jaayegi. Aur Maine Is Masnoon Dua Ko Padh Liya Hai.’

Phir Aap Ne Farmaaya ‘Aye Allāh! Tere Habeeb Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Farmaan Ko Sahi Saabit Kar De.’

Itne Aap Ne Ghaib Se Ek Aawaaz Suni Ke Miswaak Aur Kaali Mirch Istemaal Karo.

Aap Ne Takleef Bardaasht Karte Hue Bhi Miswaak Kiya Aur Apne Munh Me Kaali Mirch Ke Daane Rakhe. Aisa Karne Se Allāh Ke Karam Se Aap Ki Takleef Kam Hone Lagi Aur Aap Me Phir Se Taaqat Aane Lagi.

Aur Is Tarah Us Doctor Ko Maanna Pada Ke Us Ki Tashkees (Diagnosis) Galat Thi.

(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) Me Apne Waalid Ke Saath Hajj Ke Liye Gaye. Hajj Ke Safar Me Jahaaz Se Waapas Aate Waqt Samundar Me Toofan Shuru Ho Gaya. Jahaaz Ke Kaptan(Captain) Ne Aakar Kaha Ke ‘Toofaan Itna Tez Hai Ke Shaayad Ham Nahi Bach Sakte.’

Ye Sunkar Aap Ke Waalid Ne Kaha Ke ‘Aye Mere Bete! Mujhe Mujh Se Zyada Tumhari Fikr Hai.’

Aap Ne Farmaaya Ke ‘Hume Kuch Nahi Ho Sakta Kyun Ke Maine Jahaaz Par Sawaar Hote Hi Bahri Sawaari (Safar) Ki Masnoon Dua Padh Li Thi Aur Mujhe Yaqeen Hai Ke Mere Aaqa Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ka Farmaan Hamesha Sahi Hota Hai. Is Liye Hamare Jahaaz Ko Kuchh Bhi Nahi Hoga.’

Thodi Der Me Toofaan Rook Gaya Aur Kaptan Ne Aakar Kaha Ke ‘Ab Hamare Jahaaz Ko Koi Khatra Nahi Hai.’
[ads-post]
Ala Hazrat Ka Rasool Aur Aale Rasool Se Ishq Or Adab:

Aap Ne Apne Har Amal Se Huzoore Akram Rasool-Allāh Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Aur Aale Rasool Ke Mukammal Ishq Ka Saboot Diya.

(1) Ek Baar Aap Doli Me Bethkar Bareilly Shareef Ke Bazaar Se Guzar Rahe The. Aap Ne Doli Uthaane Walo Ko Doli Rokne Ke Liye Kaha Aur Puchha ‘Tum Me Se Saadat Kaun Hai?’ Kisi Ne Jawaab Nahi Diya. Aap Ne Phir Se Ilteja Karte Hua Ke ‘Meharbani Karke Bata Do Ke Aap Me Kaun Saadat Hai. Mujhe Aale Rasool Ki Khushboo Aa Rahi Hai.’

Tab Ek Hazrat Ne Kaha ‘Main Aale Rasool Hu. Ghareebi Aur Majboori Ki Wajah Se Main Doli Uthane Ka Kaam Kar Raha Hu.’

Aap Ne Foran Haath Chumkar Kaha Ke ‘Mujhe Muaf Kar Dena.’

Phir Aap Ne Us Sayyedzaade Ko Doli Me Bithaaya Aur Khud Un Ki Jagah Par Doli Uthaakar Chalne Lage.

(2) A’ala Hazrat Ko Hazrat Shaah Mahedi Miyan Barkaati Se Bahot Mohabbat Thi Aur Aap Un Ki Bahot Ta’azeem Karte The. Hazrat Ko Baadi Aur Bawaasir Ki Takleef Thi. Un Ke Ek Mureed Hajj Karke Marehra Shareef Aaye. Apne Peer Ki Takleef Sunkar Unho Ne Is Ke Ilaaj Ek Taambe Ka Chhalla (Angoothi) Diya. Hazrat Shaah Mahedi Miyan Ko Bahot Zyada Takleef Thi. Is Liye Aap Ne Wo Chhalla Apne Ungli Me Pehan Liya. Ittifaq Se A’ala Hazrat Un Dino Me Marehra Shareef Tashreef Laaye Aur Hazrat Shaah Mahedi Miyan Ke Ghar Par Qayaam Kiya. Aap Ne Dekha Ke Hazrat Ne Apni Ungli Me Taambe Ka Chhalla Pehna Hai. Aap Ne Socha Ke Hazrat Ko Kis Tarah Batau Ke Ye Chhlla Pehnna Khilaaf E Shariat Hai Kyun Ke Sayyedzaade Ke Adab Ka Muamala Hai. Aap Ne Ek Tarkeeb Ki Aur Hazrat Se Arz Kiya ‘Huzoor! Mujhe Baadi Ki Takleef Ka Koi Ilaaj Bataaiye.’ Hazrat Ne Foran Apni Ungli Me Se Wo Chhalla Utarkar Aap Ko Diya Aur Kaha ‘Hamare Ek Mureed Ne Madeena Munawwara Se Ye Chhalla Laakar Is Beemaari Ke Ilaaj Ke Liye Mujhe Diya Hai. Tum Ise Le Lo.’ Aap Ne Adab Ke Saath Us Chhalle Ko Le Liya Aur Peerzaade Ko Is Khilaaf E Shariat Kaam Se Rok Diya Aur Un Ko Ehsaas Bhi Nahi Hone Diya.

(3) Ek Martaba Khaanqaahe Barkaatiya Ke Sajjaada Nasheen Saahab Ne Ghar Ki Rakhwaali Ke Liye Do Kutto Ki Farma'ish Ki. Aap Ne Ba-Adab Jawaab Diya Ki ‘Faqeer Jaldi Do Kutte Haazire Khidmat Kar Dega.’ Phir Barielly Se Apne Dono Saahabzaado Ko Khaanqaahe Aaliya Barkaatiya Me Laaye Aur Sajjaada Nasheen Saahab Se Arz Kiya ‘Huzoor! Ye Saara Din Kaam-Kaaj Bhi Karenge Aur Raat Ko Rakhwaali Bhi Karenge.’

Ala Hazrat Ki Karamat:

(1) Ek Baar Aap Rail Se Pilibhit Se Bareily Ja Rahe The. Raaste Me Nawabganj Station Par Train 1-2 Minute Ke Liye Ruki. Maghrib Ka Waqt Ho Chuka Tha. Aap Apne Saathiyon Ke Saath Namaaz Ke Liye Platform Par Utre. Saathi Pareshaan The Ki Train Chali Jaayegi To Kya Hoga. Lekin Aap Ne Itminaan Se Azaan Dilwakar Ba-Jama’at Namaaz Shuru Kar Di.

Udhar Driver Train Ka Engine Chalu Karta Hai Lekin Train Nahi Chalti. Engine Uchalta Aur Phir Patri Par Girta Hai. T .T, Station Master, Wagairah Sab Log Jama Ho Gaye. Driver Ne Bataya Ki Engine Me Koi Kharaabi Nahi Hai.

Achanak Ek Pandit Chikh Utha ‘Wo Dekho Koi Durwesh Namaaz Padh Raha Hai, Shaayad Train Isi Wajah Se Nahi Chalti?’ Ye Sunkar Log Aa’la Hazrat Ke Ird Gird Jama Ho Gaya.

Aap Itminaan Se Namaaz Mukammal Karke Jaise Hi Apne Saathiyo Ke Saath Rail Me Sawaar Hue To Rail Chalu Ho Gai Aur Aage Badhi.

(2) Bareilly Shareef Me Ek Shakhs Auliya, Peer O Murshid Aur Bai'at Me Nahi Maanta Tha. Us Ka Ek Dost Aa’la Hazrat Se Milne Ke Liye Ja Raha Tha. Us Ne Us Shakhs Se Kaha Ke ‘Tum Mere Saath Aa’la Hazrat Se Milne Chalo Aur Waha Un Se Is Baare Me Mobahisa Kar Lena. Wo Ye Baat Kar Raha Tha Ke Us Shakhs Ne Ek Dukan Me Taazi Mithai Dekhi. Us Ne Kaha Ke ‘Pehle Ye Mithaai Lete Hain, Phir Main Tumhare Saath Chalta Hu.’ Us Ne Kaha Ke Aa’la Hazrat Milne Ke Baad Waapas Aate Waqt Raaste Me Yaha Se Mithaai Le Lenge. Bahot Samjhaane Par Wo Maana.

Aur Dono Aa’la Hazrat Ki Baargaah Me Gaye. Dono Waha Baithe The, Itne Me Ek Mureed Kuchh Mithai Lekar Aaya Aur Waha Haazir Sab Ko Taqseem Karne Ke Liye Kaha.

Aa’la Hazrat Ke Darbaar Me Ye Tareeqa Tha Ke Jin Ki Daadhi Hoti Un Ko Do Hisse Diye Jaate Aur Baghair Daadhi Wale Ko Ek Hissa Diya Jaata Kyun Ki Wo Bache Jaise Lagte Hain.

Chunaanche Jo Mureed Taqseem Karne Ke Liye Khada Hua Wo Isi Tarah Sab Ko De Raha Tha.

Jab Us Shakhs Ki Baari Aai To Wo Mureed Use Ek Hissa De Raha Tha. Tab Aa’la Hazrat Ne Use Do Hisse Dene Ke Liye Kaha. To Us Mureed Ne Kaha ‘Hazrat, Is Ki Daadhi Nahi Hai.’

Aa’la Hazrat Ne Farmaaya ‘Us Ko Do Hisse Khaane Ki Khwaahish Hai.’

Us Shakhs Ne Jab Ye Suna To Use Pata Chal Gaya Ke Aa’la Hazrat Ko Us Ke Dil Ki Khwaahish Bhi Khabar Ho Gai Hai. Wo Sharminda Hua Aur Aa’la Hazrat Ka Mureed Ho Gaya.

**********

Ek Baar Kisi Ne Khat Me Aap Ke Naam Ke Saath ‘Haafiz’ Likh Diya. Ye Khat Aap Ko 29 Sha’abaan Ko Mila. Aap Ne Jab Padha To Socha Ke Main Haafiz E Qur’an Nahi Hu. Is Liye Mujhe Haafiz Kehna Sahi Nahi. Magar Main Jald Hi Haafiz E Qur’an Ban Jaaunga.

Phir Maah E Ramazaan Me Ishaa Ke Waqt Me Azaan Aur Namaaz Ke Dauraan Hazrat Sadr-Ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Rahmatullāhi Alaihi Aap Ko Qur’an Majeed Ka Ek Paara Padhkar Sunaate Aur Aap Us Ko Namaaz E Taraaweeh Me Qir’at Me Padhte. Aur Is Tarah Ramazaan Ke Khatm Hone Tak Aap Haafiz E Qur’an Ho Gaye.

**********

Log Agar Kisi Mas’ale Ke Liye Talaash Karte To Aa’la Hazrat Baghair Kitaab Dekhe Safa Number Ke Saath Us Ka Jawaab Dete.

*****************

Ilme Falkiyat O Taqweem (Astronomy) Me Aap Ko Itni Mahaarat Thi Ke Aap Din Ko Sooraj Ko Dekhkar Aur Raat Me Sitaara Ko Dekhkar Ghadi Me Waqt Mila Lete Aur 1 Minute Ka Bhi Farq Na Hota.

*****************

Aligarh University Ke Vice Chancellor Dr. Sir Zia-Ud-Deen Ahmad Ko Ilme Riyaazi Ke Ek Aham Mas'ale Ka Hal Nahi Mil Raha Tha. Bahot Saare University Me Mas'ala Bheja Magar Jawaab Nahi Mila. Aakhirkaar Ye Tay Kiya Ke Germany Jaakar Is Mas'ale Ka Jawaab Haasil Kiya Jaaye. Jab Hazrat Sayyed Sulaimān Ashraf Ko Is Baat Ka Pata Chala To Unho Ne Bareilly Jaaakar Aala Hazra Se Milne Ka Mashwara Diya. Dr. Sir Zia-Ud-Deen Ahmad Ne Kaha ‘Woh To Maulwi Hain Aur Deeni Masaa Ke Baare Me Jaankaari Rakhte Honge. Is Masale Ka Hal Unhe Kaise Pata Hog?’ Sayyed Sulaimān Ashraf Ne Kaha Ke ‘Bareilly Nazdeek Hi To Hai. German Jaane Se Pehle Ek Baar Aala Hazrat Se Mil To Lijiye.’ Bahot Israar Karne Par Dr. Zia-Ud-Deen Ahmad Bareilly Jaane Ke Liye Tayyaar Hue. Sayyed Sulaimān Ashraf Ne Aala Hazrat Ko Paighaam Bhej Diya Ke ‘Agar Dr. Zia-Ud-Deen Ahmad Suit Aur Tie Pehankar Aaye To Kuchh Kehna Nahi. Pehle Un Se Baat Kar Lena.’

Dopahar Ko Aligarh Se Nikle Aur Bareilly Pahunche To Asr Ki Azaan Ho Chuki Thi. Aala Hazrat Wuzu Ke Liye Tayyaari Kar Rahe The. Dr. Sir Zia-Ud-Deen Ahmad Ko Dekhkar Puchha ‘Aaiye, Kya Baat Hai?’ Unho Ne Kaha ‘Bada Aham Masala Hai. Aap Pehle Namaaz Padh Len. Us Ke Baad Aaraam Se Baat Karte Hain.’ Aala Hazrat Ne Farmaaya ‘Bataiye To Sahi.’ Unho Ne Apna Masala Bataaya. Jaise Us Ki Baat Puri Hui Foran Aala Hazrat Ne Us Ka Jawaab De Diya. Jawaab Sunkar Unhe Bahot Ta’ajjub Hua. Sochne Lage Ke ‘Main Is Ke Hal Ke Liye Pure Hindustan Me Kai Jagah Par Raabat Kar Chuka Hu Aur Inho Ne Masala Sunar Foran Tasalli Bakhsh Jawaab De Diya.’

Jab Aala Hazrat Namaaz Ada Karke Aaye Us Ne Majeed Sawaal Kiye Aur Jawaab Sunte Sunte Aankho Se Aansoo Jaari Ho Gaye Aur Kehne Laga Ke ‘Ilme Ladunni Ke Baare Me Suna Tha, Aaj Dekh Bhi Liya.’ Aur Un Ki Zindagi Me Tabdeeli Aa Gai. Namaaz Ke Paaband Ho Gaye.

*****************

1301 Hijri (1882 A.D.) Me Pilibhit Me Madrasa Daar-Ul-Hadeeṡ Ke Bunyaadi Jalse Me Hindustan Ke Bahot Saare Mash'hoor Mohaddeeṡeen Aur Ulama Tashree Laaye The Aur A’ala Hazrat Rahmatullāhi Alaihi Ke Mubarak Haatho Se Madrasa Ki Sange Bunyaad Rakhi Gai Aur Aap Ne Lagaatar 3 Ghante Tak Ilm E Hadeeṡ, Usool E Hadeeṡ Aur Is Se Muta’alliq Mozu Par Shaandaar Taqreer Farmaai.

*****************

Aap Imaam E Ahle Sunnat Aur 14wi Sadi Ke Mujaddid E Islam Hain.

1317 Hijri (1900 A.D.) Me Patna Me Ahle Sunnat Wal Jama’at Ke Ijtema Ke Dauraan Maulana Abdul Muqtadir Badayuni Rahmatullāhi Alaihi Ne Aala Hazrat Ko ‘Mujaddid’ Kehkar Khitaab Kiya.

Is Ke Ilaawa Shaikh Ismā'eel Bin Khaleel Aur Shaikh Moosā Ali Shaami Rahmatullāhi Alaihi Aur Dusre Arab Wa Ajam Ke Ulama Ne Aap Ko Mujaddid Kaha Hai.

**********

Aap Ne Apni Kitaabo Aur Bayaano Me Bahot Si Buri Bid’ato Ko Radd Kiya Hai.

(1) Mazaar (Ya Qabr) Ko Sajda, Rooku Ya Tawaaf Karna.

(2) Aurto Ka Mazaaraat Par Jaana.

(3) Maushiqi Aur Saaz (Music) Waali Qawwaali.

(4) Mazaar Par Ya Majlis Ya Juloos Me Naachna, Gaana-Bajaana.

(5) Taaziyadaari.

**********

Jab Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani Ne Imaam Mahdi Hone Ka Aur Phir Nabi Hone Ka Daawa Kiya Tab Aap Ne 1323 Hijri (1906 A.D.) Me Hajj Ke Liye Gaye To ‘Al Motamad Al Mustanad’ Naam Se Ek Tehreeri ṡaboot (Document) Tayyaar Karke Makka Aur Madeena Ke Ulama Ko Pesh Kiya Aur Phir Hejaaz Ke 33 Ulama Ki Raay Aur Faisla Jama Karke Arabi Me ‘Husaam-Ul-Harmain’ Naami Kitaab Tayyaar Ki Jis Me Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani Ke Kaafir Hone Ke ṡaboot Diye Gaye Hain.

**********

Aap Ne Wahaabi Aur Deobandi Ke Ashraf Ul Ambiya Khair Ul Bashar Rasool-Allāh Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ki Gustaakhi Bhare Bad-Aqeedo Ko Radd Karte Hue ṡaboot Pesh Kiye.

(1) Huzoor Mohammad Mustafa Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Insaan-E-Kaamil Hone Ke Saath Noor Bhi Hain.

(2) Huzoor Mohammad Mustafa Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ko Allāh Ta’ala Ne Mukhtaare Kul Banaaya Hai.

(3) Huzoor Mohammad Mustafa Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Haazir Wa Naazir Hain.

(4) Huzoor Mohammad Mustafa Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ko Allāh Ta’ala Ne Ilm E Ghaib Ata Kiya Hai.

(5) Allāh Ta’ala Ne Apne Ambiya, Auliya Aur Shohada Ko Wisaal Ke Baad Bhi Aalam E Baqa Me Hamesha Ki Zindagi Ata Farmai Hai.

(6) Allāh Ta’ala Ke Muqarrab Bande Ya’ni Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle Bait Aur Saaliheen Ka Waseela Lena Jaa'iz Hai.

1323 Hijri (1906 A.D.) Me Jab Aap Dusri Baar Hajj Ke Liye Gaye The To Makka Me Sirf 8 Ghante Me Huzoor Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Ilm E Ghaib Ke ṡaboot Par ‘Addaulatul Makkiyah’ Naam Ki Kitaab Likhi. Jise Padhkar Arab Ke Ulama Ne Aap Ko Imaam Maana.

**********

Tehreek E Khilaafat Ke Dauraan Mohandas Gandhi Ko Kisi Ne Ahmad Raza Khan Se Milne Ka Mashwara Diya. Jab Aap Ko Bataya Gaya Ke Gandhi Aap Se Milna Chahte Hain To Aap Ne Farmaaya Ke ‘Wo Kis Baare Me Guftagoo Karna Chahte Hain? Deeni Ya Dunyawi? Agar Dunyawi Muamale Me Guftaguoo Karna Chahte Hain To Main Un Se Nahi Mil Sakta. Mujhe Dunyawi Baato Me Dilchaspi Nahi Hai.’

Tasannif:

1330 Hijri (1912 A.D.) Me Aap Ne ‘Kanz-Ul -Eimaan Fee Tarjuma Al-Qur’an’ Naam Se Qur’an Majeed Ka Urdu Tarjuma Kiya Hai.

Aap Ne Bahot Saari Mash'hoor Hamd E Baari Ta’ala, Na’at E Mustafa, Manqabat Aur Munajaat Likhi Hain.

Aap Ne 55 Se Zyada Uloom Par Taqreeban 1000 Kitaaben Likhi Hain.

Un Me Se Kuchh Mash'hoor Kitaaben :

(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)

(2) Ahkaam E Shariat

(3) Husaam-Ul-Harmain

(4) Fataawa Harmain

(5) Addaulat-Ul-Makkiya

(6) Al Fuyuzaatul Makkiya

(7) Azzubdat-Uz-Zakiyya

(8) Al Ijaazat-Ul-Mateena

(9) Kifl-Ul Faqeeh

(10) Aalil Ifaada Fee Taaziyatil Hind Wa Bayaane Shahaadat.

***********

Hijri (1904 A.D.) Me Aap Ne Jaamia Razawia Manzar E Islaam Ki Taameer Ki.

Aap Ke Mash'hoor Shaagird:

Aap Ke 2 Sahabzaade Hujjat-Ul-Islaam Haamid Raza Khan Aur Mufti E Aazam E Hind Mustafa Raza Khan, Sadr-Ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-Ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-Ud-Deen Muradabadi, Muhaddeeṡ-E-Aazam-E-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauchhawi, Malik-Ul-Ulama Zafar-Ud-Deen Bihari, Qutb-E-Madeena Zia-Ud-Deen Ahmad Al-Madani Mash'hoor Hain.

***********

Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi Qaadri Barkaati Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain.

Aap Se ‘Razawi’ Silsila Jaari Hai.

Aap Ke Khulfa:

(1) Hazrat Hujjat-Ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(2) Hazrat Mufti-E-Aazam-E-Hind Maulana Mustafa Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(3) Hazrat Ustaad-E-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Sadr-Ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami Rahmatullāhi Alaihi

(5) Hazrat Sadr-Ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Naeem-Ud-Deen Muraadabadi Rahmatullāhi Alaihi

(6) Hazrat Qutb-Ul-Madeena Allama Shaikh Zia-Ud-Deen Ahmad Madani Rahmatullāhi Alaihi

(7) Hazrat Malik-Ul-Ulama Allama Maulana Sayyed Zafar-Ud-Deen Bihari Rahmatullāhi Alaihi

(8) Hazrat Burhaan-E-Millat Allama Burhaan-Ul-Haq Jabalpuri Rahmatullāhi Alaihi

(9) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri Rahmatullāhi Alaihi

(10) Hazrat Mubbaligh-E-Aazam Allama Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Merathi Rahmatullāhi Alaihi

(11) Hazrat Allama Maulana Mukhtaar Ahmad Siddeeqi Merathi Rahmatullāhi Alaihi

(12) Hazrat Sultaan-Ul-Waa'izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti Rahmatullāhi Alaihi

(13) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy Rahmatullāhi Alaihi

(14) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel Rahmatullāhi Alaihi

(15) Hazrat Shaikh Ahmad Khudrawi Rahmatullāhi Alaihi

(16) Hazrat Shaikh Muhammad Bin Abi Bakr Rahmatullāhi Alaihi

(17) Hazrat Shaikh Muhammad Saeed Rahmatullāhi Alaihi

(18) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf Rahmatullāhi Alaihi

(19) Hazrat Raees-Ul-Muhaqqeeqeen Maulana Shaah Sulaimān Ashraf Bihari Rahmatullāhi Alaihi

(20) Hazrat Sher Besha E Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khan Rahmatullāhi Alaihi

(21) Hazrat Maulana Jameel-E-Qaadri Rahmatullāhi Alaihi

(22) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan Rahmatullāhi Alaihi

(23) Hazrat Budh Shaah Baaba Rahmatullāhi Alaihi.

***********

Ramazaan 1339 Hijri Me Aap Shadeed Beemaar Aur Kamzor The. Bareilly Shareef Me Sakht Garmi Thi. Shariat Me Shaikhe Faani Ko Ijaazat Hai Ki Roza Na Rakh Sake To Fidiya De Aur Naatwa Mareez Ko Ijaazat Hai Ki Qaza Kare. Lekin Aap Ne Farmaaya Ki ‘Barielly Me Shiddate Garmi Ke Sabab Mere Liye Roza Rakhna Mumkin Nahi Lekin Pahaad Par Thandak Hoti Hai Yaha Se Nainitaal Qareeb Hai. Muwali Pahaad Par Roza Rakha Jaa Sakta Hai. Mai Waha Jaane Par Qaadir Hu. Chunaanche Maahe Ramaaan Aap Ne Wahi Guzaara Aur Pure Roze Rakhe.

Kamzori Ke Sabab Aap Chalkar Masjid Tak Nahi Jaa Sakte The Magar Chaar Aadami Aap Ko Kursi Par Bitha Kar Masjid Tak Pahuchaate Aur Isi Tarah Ba-Jama’at Namaaz Ada Karte Rahe.

Aala Hazrat Ke Wisaal Ke Kuch Waqt Pehle Ka Waqia:

Aap Ke Wisaal Ke Kuchh Waqt Pehle Shaam (Syria) Ke Kisi Wali Ne Bait-Ul-Muqaddas Me Khwaab Me Dekha Ke Huzoore Akram Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ki Mehfil Me Aap Ke Aas-Paas Kuchh Ashaaba Baithe Hai Jaise Wo Kisi Ka Intazaar Kar Rahe The.

Unho Ne Puchha ‘Ya Rasool-Allāh Sallallāhu Alaihi Wa Sallam! Aap Kis Ka Intazaar Kar Rahe Hain?

Aap Ne Farmaaya Ke ‘Ahmad Raza Khan.’

Unho Ne Puchha ‘Ahmad Raza Khan Kaun Hain?’

Aap Ne Farmaaya Ke ‘Hindustan Ke Bareilly Ka Ek Aalim.’

Jab Un Ki Aankh Khuli To Foran Syria Se Bareilly Aane Ke Liye Nikal Pade. Lekin Jab Wo Waha Pahunche To Pata Chala Ke Imaam Ahmad Raza Khan Ka Inteqaal Ho Chuka Tha.

Ala Hazrat Ki Wasiyat:

Aap Ne Wisaal Se Pehle Wasiyat Ki Thi Ke ‘Meri Namaaz E Janaza Maulana Haamid Raza Khan Ya Allama Amjad Ali Aazami Padhayen Aur Mere Janaaza Ko 'Ka’abe Ke Badr Ud Duja' Padhte Hue Le Jaayen Aur Meri Qabr Ko Itni Gehri Banaana Jitni Meri Unchaai Hai.’

Apne Wisaal Ke 42 Minute Pehle Aap Ne Farmaya ‘Mere Kamre Se Paisa, Lifaafa, Card Wagairah Hata Do Kyun Ki Us Par Tasweer Bani Hoti Hai.’

Aala Hazrat Ka Wisaal, Wafaat or Urs:

Aap Ka Wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) Ko Azaan E Jum’aa Ke Dauraan 65 Saal Ki Umr Me Hua.

Aala Hazrat Ka Mazar/Dargah:

Aap Ka Mazaar Bareilly Shareef (Uttar Pradesh) Me Hai.

Allāh Ta’ala Us Ke Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me Aur Aa’la Hazrat Imaam E Ahle Sunnat Ahmad Raza Khan Rahmatullāhi Alaihi Aur Tamaam Auliya Allāh Ke Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishq E Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifaazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae. Aur Sab Ko Duniya Wa Aakhirat Me Kaamyaabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaa'iz Muraado Ko Puri Farmae.
Aameen.

Related Articles:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.