Hazrat Syedna Ali Bin Hussain Urf Imam Zain Ul Aabidin Short Biography

ShereKhudaHazratAli.com
"Sayyid e Sajjad Ke Sadqe Me Saajid Rakh Muje

Ilm e Haq De Baaqire Ilm e Huda Ke Waaste"

18 Muharram-ul-Haraam 95 Hijri Yaum e Shahadat e Imam Zainul Aabidin Radi Allahu Ta'ala Anhu

Naam (Name):  Sayyiduna Ali Bin Hussain Bin Ali
Waalid (Father): Sayyiduna Imam Hussain رضي الله عنه
Waalida (Mother): Syeda Bibi Shahar Baano رضي الله عنها

Aap Aaimma e Ahle Bayt Ke Chothe(4th) Imam Aur Silsila e Aaliya Qadriyyah Barkatiyyah Razawiyyah Ke Chothe Shaykh Wa Imam He.

Bibi Shahar Banu Ka Nikaah Aur Imam Ki Wilaadat :

Sane Hijri 30 Ya 31 Me Jab Hazrat Umar Faarooq e Aa'zam رضي الله عنه Ke Daur e Khilaafat Me Khorasan Iran Fatah Huwa To Iran Ke Baadshah Yazdzerd Ki Sehjaadi (Princess of Iran) Shahar Baanu Ko Madinah Laya Gaya, Hazrat Umar Faarooq رضي الله عنه Ne Us Husn o Jamaal Ki Malika Hazrat Bibi Shahar Baanu رضي الله عنها Ka Nikah Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه Se Kar Diya Gaya Aur Is Paak Nikah Ki Barkat Se Hazrat e Imam Zainul Aabidin رضي الله عنه Ki 38 Hijri Me Madinah Munawwara Me Wilaadat Huyi.
[ads-post]
Hazrat Syedna Ali Bin Hussain Urf Imam Zain Ul Aabidin Short Biography, The Grave of imam zain ul abidin in jannat ul baqi sharif, madina
Aapke Alqabaat :

(1) Zainul Aabidin
(2)  Sayyidul Aabidin
(3) Sayyid Us Sajjaad
(4) Sayyid uz Zaqi

Aap Ka Nikah Aur Aulaad :

Hazrat e Sayyiduna Imam Zain ul Aabidin رضي الله عنه Ka Nikah Aapke Chacha Hazrat e Sayyiduna Imam e Hasan Al Mujtaba رضي الله عنه Ki Sehjaadi Hazrat e Sayyida Bibi Fatima Binte Hasan رضي الله عنها Se Huwa.

Aapki Aulaad e Mubarak Me Hazrat e Sayyiduna Muhammad Al Baaqir Wa Hazrat Sayyiduna Zaid Al Shaahid رضي الله عنهما Ke Naam Mash'hoor He Aur Inhi Do Sehjaado Se Aapka Silsila Aage Badha.

Aap Imam Ki Ibaadat o Riyaazat Par Kasrat Se Kaaim Rahne Ke Sabab Hi Aapko "Zaynul Aabidin" Yaani Ibaadat Karne Waalo Ki Zeenat Aur "Sayyid-us-Sajjaad" Yaani Sajda Karne Walo Ke Sardaar Kaha Gaya.

Aapke Waalid Hazrat Sayyiduna Imam e Hussain رضي الله عنه Arab Ke Sabse Azeem Qabila e Quresh Ke Sabse Aa'la Gharaane Ke Sardaar Aur Aapki Waalida Sayyida Bibi Shahar Baanu رضي الله عنها  Azam Ke Sabse Azeem Qabila e Khorasan Ki Sehjaadi Thi Isi LiYe Imam Zainul Aabidin Ko "Ibne Al Khairatain" Yaani Do Aa'la Gharaane Ke Sehjaade Kaha JaTa He

Sane Hijri 61 Ka Woh Dardnaak Aur Khooni Manzar Aur Woh Azeem Sabr o Raza Ki Misaal Aur Imam e Hussain Ki Azeem Qurbaaniya In Sab Dukho Musibat Ko Sayyiduna Imam Zaynul Aabidin رضي الله عنه Ne Apni Aankho Se Dekha Tha Aur Aap Par Jo Takaalife Huyi Shayad Hi Kisi Par Huyi Hogi.

Karbala Ke Waaqiye Ke Baad Aap Apni Foofi Hazrat Sayyida Zainab رضي الله عنها Wa Digar Ahle Bayt Ke Afraad Ke Saath Madina-tul-Munawwarah Tashrif Laye.

Hazrat e Sayyiduna Imam Zaynul Aabidin رضي الله عنه Ke Khulafa Me Mash'hoor Aap Hi Ke Do Sehjaade (1) Sayyiduna Muhammad Baaqar (2) Sayyiduna Zaid  رضي الله عنهما He.

Hazrat e Sayyiduna Imam Zainul Aabidin "Ali Bin Hussain" رضي الله عنه Ko Zahar De Kar 18th Muharram-ul-Haraam 95 Hijri Ke Roz Shaheed Kiya Gaya.

Related Islamic Biography:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.