Buzurgo Ki Dua Ka Asar - Auliya Allah Ka Waqia

ShereKhudaHazratAli.com
Hiqayat:

Ek Haakim Jiska Naam Bin Umru Lais Tha, Bimaar Pad Gaya! Aisa Bimaar Hua Ki Tabib (Doctor) Uske Ilaaj Se Thak Gaye Magar Wo Achcha Na Ho Saka, Aakhir Kisine Kaha Ki Dawa Ki To Inteha Hogayi! Ab Kisi Mustajabudh-Dawaat (Jiski Dua Kabul Hoti Ho) Se Dua Karayi Jaye.

Chunanche, Sabne Hazrat Sahal رحمتہ اللہ علیہ Ka Naam Liya Ki Wo Bade Bujurg Aur Allah Ke Wali He. Unse Dua Ki Darkhwast Ki Jaye.

Chunanche, Aapko Bulaya Gaya! Aap Allah Ke Farmaan (Aur Ita-At Karo Apne Baadshah Ki) Ke Mutabik Tashrif Legaye. Jab Mariz Ke Paas Baithe, Usse Farmaya Ki Dua Aise Shaks Ke Haq Me Qubul Hoti He. Jo Sachche Dil Se Tauba Karen. Khuda Ki Janib Ruju'a Kare Aur Aye Umru! Tere Qaid-Khane Me Bahot Se Be-Gunah Qaidi Bhi Hain Pehle Un Sab Qaidi Ko Riha Ker Aur Tauba Ker Fir Me Dua Karta Hoon.
[ads-post]
Umru Ibne Lais Ne Aisa Hi Kiya, Qaidiyon Ki Rihayi Ka Hukm Diya Aur Tauba Ki. 

Fir Hazrat Sahal Ne Hath Uthaya Aur Kaha: "Aye Khudawandh! Tune Apni Nafarmani Ki Zillat Isko Dikhayi! Isi Tarah Apni Ita-At Ki Izzat Bhi Isko Dikhla De Aur Jis Tarah Ki Tune Iske Baatin Ko Libaas-A-Tauba Pehnaya! Usi Tarah Iske Zaahir Ko Libaas-A-Aafiyat Bhi Pehna De."

Aap Yeh Dua Ker Hi Rahe The Ki Umru Ibne Lais Bilkul Achcha Ho Gaya ! Umru Ibne Lais Ne Aapko Bahot Sa Maal Nazar Dene Laga Magar Aapne Inkaar Kerdiya.

Sabak:
1. Jahan Dawa Ki Inteha Ho Wahan Dua Ki Ibtida Hoti Hain!
2. Yeh Bhi Malum Hua Ki Bujurgon Ki Duaon Se Badal Jati Hain Takdiren!
3. Yeh Bhi Malum Hua Ki Dua Ki Kabuliyat Ke Liye Jahan Dua Maangne Wala Mustajabudh-Dawaat Hona Chahiye Wahan Wo Shaks Jiske Liye Dua Ki Jaye Use Bhi Apne Gunahon Se सच्चे Dilse Tauba Kerleni Chahiye! Jab Dono Taraf Se Yeh Pakizgi Aur Iffath Payi Jaye To Dua Bahoat Jald Suni Jayegi!
[Tazkiratul Auliya, Page 312]

Related Islamic Stories:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.