Youm E Arfa(9wi Zil hajj) Ka Roza Aur Uski Fazilat

ShereKhudaHazratAli.com

Youm E Arfa/Arafah/Arafat Day/9wi Zil hajj Ka Roza Aur Uski Fazilat Hadees Sharif Ki Roshani Mein Pukhta Hawalo Ke Sath | Fasting On The Day Of Arafah Hadith:


Youm E Arfa/Arafah/Arafat Day/9wi Zil hajj Ka Roza Aur Uski Fazilat Hadees Sharif Ki Roshani Mein Pukhta Hawalo Ke Sath
Arafat (9th Dhul Hijjah / Hajj Ka Din / Qurbani Se Ek Din Pahle) Ka Roza Nafli Sunnat Hai, Ek Saal Pichhe Aur Ek Saal Agle Gunaaho Ko Mitaata Hai Aur Is Ka Sawaab 1000 Rozo Ke Baraabar Hai, Jaisa Ke Hadees Mein Hai.

Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya. "Mujhe Allah Par Gumaan (Pakki Ummid) Hai Ke Arfe Ka Roza Ek Saal Pehle Aur Ek Saal Ba'd Ke Gunaah Mita Deta Hai."
[Sahih-E Muslim: Hadees 1162]

Ek Saal Baad Or Gunaah Mitane Ke Muraad Ye Ke Allah Neki Ki Quwwat Deta Hai. Aur Hum Ko Gunaah Se Bachata Hai. 

Aur Hazrat Aayesha Siddiqaرضی الله عنها  Farmati Hain Ke Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam Arfe Ke Roze Ko 1000 Din Ke Baraabar Bataate The.
[Mo'jam-E Ausat Tabraani: Hadees 6802]

Note:

Magar Arafat Mein Maujood Haji Ko Arfe Ke Din Ka Roza Makrooh Hai. Jaisa Ke Hadees Me Hai.

Ye Roza Jo Haji Is Saal Hajj Ke Liye Gaye Hai Unke Liye Nahi Hai.

Ye Roza Haajiyo Ke Liye Rakhna Behtar Nahi Kyunki Aap ﷺ Ne Apne Hajj Ke Waqt Ye Roza Nahi Rakha.
[Sahih muslim, Hadees No.1123]

Allah Ke Rasool Sallallaahu Alaihi Wa Sallam Ne Arfe Ke Din Arafat Mein Roza Rakhne Se Man'a Farmaaya.
[Sunan-E Abu Daawood: Hadees 2440]

Isi Tarah Jin Logo Ke Zimme Farz Rozo Ki Qaza Baaqi Hai Wo Qaza Ki Niyat Se Rakhein, Farz Bhi Ada Ho Jaayega Aur In Shaa-Allah Nafli Sunnat Ka Sawaab Bhi Haasil Hoga.

Farz Chhod Kar Nafl Aur Sunnat-E Ghair Muakkada Me Mashghool Hona Jahaalat, Bewaqoofi, Aur Aakhirat Me Ruswaayi Ka Sabab Hai. Jaisa Ke Hadeeso Me Hai.
[ads-post] Syedna Siddiq E Akbar Radiallahu Anhu Ne Apni Wafaat Ke Waqt Syedna Umar Farooq E Azam Radiallahu Anhu Ko Naseehat Karte Huwe Ye Bhi Farmaaya Ke Farz Chhod Kar Koi Nafl Qabool Nahi Hota.
[Fataawa Razwiya: 10/179]
[Hilyatul Auliya: 1/36]

Ye Hadees Aur Bhi Bahut Si Kitaabo Me Aayi Hai.

Huzoor Ghaus-E Paak Radiallahu Anhu Ne Apni Mubarak Kitab "Futuh Al Ghaib" Mein Farmaya Ke Jo Shakhs Farz Chhod Kar Nafl Nibhaaye Us Ki Misaal Aisi Hai Jaise Kisi Ko Badshah Apni Khidmat Ke liye Bulaaye Ye Wahaan Na Jaakar Ghulaam Ki Khidmat Mein Maujood Rahe.

Aur Isi Kitaab Mein Syedna Mola Ali Radi Allahu Anhu Ka Ye Irshaad Naql Farmaaya Ke Aise Shakhs Ka Haal Us Aurat Ki Tarah Hai Jisko Hamal(Pregnancy) Raha, Jab Bachcha Paida Hone Ke Din Qareeb Aaye, Saaqit(Miscarriage) Ho Gaya, Ab Wo Aurat Na To Haamila(Pregnant) Hai Na Bachche Waali, Ya'ni Jab Purey Dino Par Agar Saaqit(Miscarriage) Huwa To Mehnat Puri Uthaayi Aur Nateeja Khaak Nahi, Ke Agar Bachcha Hota To Phal Khud Maujood Tha, Haml Baaqi Rehta To Aage Ummid Lagi Thi, Ab Na Haml Na Bachcha, Na Ummid Na Phal, Aur Takleef Wohi Jheli Jo Bachche Waali Ko Hoti Hai. Aise Hi Nafli Khairaat Dene Waale Ke Paas Se Paisa To Utha Magar Jabke Farz Chhoda(Zakat Na Di) , Ye Nafl Bhi Qabool Na Huwa, Aise Hi Namaaz Aur Roze Ka Haal.

Isi Kitaab Mein Ghaus-E Pak Sarkar Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ke Agar Farz Chhod Kar Sunnat (Ghair Muakkada) Aur Nafl Me Mashghool Hoga Ye Qabool Na Honge Aur Ruswa Kiya Jaayega.
[Futuh Al Ghaib: 273]

Isi Tarah Hazrat Shah Abdul Haqq Muhaddis-E Dehlvi Ne Iski Sharah Mein Farmaya Ke Laazim Aur Zaruri Chiz Ko Chhodna Aur Jo Zaruri Nahi Hai Uska Ehtemaam Karna Aql Aur Samajh Me Faayede Se Door Hai, Kyunke Aqalmand Ke Nazdik Nuqsaan Ko Taalna Nafa Haasil Karne Se Ziyada Ahamm Hota Hai, Balke Is Haalat Me Nafa Hai Hi Nahi.
[Futoohul Ghaib + Sharh:273]

Hazrat Sheikh Shahabuddin Suhrawardi Apni Kitaab "Awarif Ul Ma'arif" Me Farmaate Hain: "Hamein Hadees Mili Hai Ke Allah Ta'ala Farz Ada Kiye Baghair Koi Nafl Qabool Nahi Farmaata. Allah Ta'ala Aise Logo Se Farmaata Hai Ke Tumhaari Misaal Us Nalaayeq Bande Ki Hai, Jo Qarz Ada Kiye Baghair Tohfa Pesh Kare."
[Awarif Ul Ma'arif:168]

Hadees Shareef Me Hai,

Allah Ke Rasool Sallallaahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaaya Ke 4 Chizein Allah Ta'ala Ne Islaam Mein Farz Farmaayi Hain, Jo In Me Se 3 Ada Kare Us Ko Wo Kuchh Kaam Na Dengi Jab Tak Ke Puri Chaaro Na Nibhaaye, Namaaz, Zakaat, Ramazaan Ke Rozey Aur Hajj.
[Musanad-E Imaam Ahmad S/O Hambal: Hadees 17789]

Ye Mazmoon Fatawa Razviya Jadeed Jild 10 Ke Page 178 Se 181 Tak Ka Khulaasa Hai.

Related Articles:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.