Hazrat Umar Farooq Azam Ki Shan | Short Biography | History

ShereKhudaHazratAli.com

Hazrat Umar Farooq Azam Bin Khattab Ki Shan | Short Biography | History In Roman Urdu, Hindi, English:

Hazrat Umar Farooq Bin Khattab Radiallahu Anhu Ki Shan, Hayat E Zindagi, Short Biography, History In Roman Urdu, Hindi, English | Umar Ibn Khattab His Life And Times, Islamic History, Holy shrine image hazrat umar farooq bin khattab in madina munawwara
Khalifa-E-Doum Janasheen Peghambar Hazrat Umar Farooq-E-Azam (Radi Allahu Anhu) Ki Kunniyat “Abu Hafs” Or Laqab “Farooq-E-Azam” He.

Aap Ashraf-E-Quresh Main Apni Zati-O-Khandani-O-Wajahat K Lehaz Se Bahot Hi Mumtaz Hain. Aathween(8) Pusht Main Aap Ka Khandani Shijra Rasool Allah (Sallahu Alaihi Wassalam) K Shijra-E-Nasab Se Milta He.

Aap Waqiya Feel Ke Terah(13) Baras Baad Makka Mukarrama Main Paida Hue Or Elaan-E-Nabuwat K Chhate(6) Saal 27 Baras Ki Umar Main Musharaf Ba Islam Hue Jab Ke Aik Riwayat Main Aap Se Pehle Kul Untalees(39) Admi Islam Qabool Kar Chuke The.

Aap K Musalman Hojane Se Musalmano Ko Be Had Khushi Hui Or Un Ko Aik Bahot Bada Sahara Mil Gaya Yahan Tak K Huzur Rehmat-E-Alam (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ne Musalmano Ki Jamat Ke Sath Khana Kaba Ki Masjid Main Elaaniya Namaz Ada Farmai.

Aap Tamam Islami Jung-On Main Mujahidana Shan K Sath Kufar Se Larte Rahe Or Paighambar-E-Islam (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Tamam Islami Tehrikat Or Sulah-O-Jung Waghera Ki Tamam Mansoba Bandiyon Main Huzur Sultan-E-Madina (Sallahu Alaihi Wasallam) K Wazeer-O-Musheer Ki Hesiyat Se Wafadar-O-Rafeeq Kaar Rahe.
[ads-post]
Ameer Ul Momineen Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allahu Anhu) Ne Apne Baad Aap Ko Khalifa Muntakhib Farmaya Or Das(10) Baras Chhe(6) Maah Char(4) Din Aap Ne Takht-E-Khilafat Par Ronaq Afrooz Ho Kar Janasheen-E-Rasool (Sallahu Alaihi Wasallam) Ki Sari Zimme Dariyon Ko Ba Husn-O-Jooh Anjam Diya.

26zil Hajj 23hijri Char(4) Shanba K Din Namaz-E-Fajar Main Abu Lolo Firoz Majosi Kafir Ne Aap Ko Shakam Main Khanjar Mara Or Aap Ye Zakham Kha Kar Tisre Din Sharf-E-Shahadat Se Sar Faraz Hogaye. Waqt-E-Wafat Aap Ki Umar Sahreef 63baras Thi. Hazrat Sohaib (Radi Allahu Anhu) Ne Aap Ki Namaz-E-Janazah Padhai Or Roza Mubaraka K Andar Hazrat Siddique Akbar (Radi Allahu Anhu) K Pehlo-E-Anwar Main Madfoon Hoye.
(Tareekh Alkhalfa Wazalta Alkhfa Waghera)

Hazrat Umar Faruqe Azam Ki Shaan:

★ Aaqa E Kareem Mustafa Jane Rehmat Sallallaahu Alaihi Waalihi Wasallam Farmate Hai...
Mafhume hadis:
Agar Mere Baad Nabi Hote To Umar Hote.(Beshak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Aakhri Nabi Hai)

★ Beshak Mein Nigaahe Nubuuwat Se Dekh Raha Hun K Jinnaaton K Aur Insaanon K Dono K Shayaatiin Mere Umar K Khauf Se Bhaagte Hain.

★ Umar Mujh Se Hai Aur Mein Umar Se Hun Aur Umar Jis Jagah Bhi Hote Hain Haq Un Ke Saath Hota Hai.

★ Mein So Raha Tha Ke Khwaab Dekha Ke Log Mere Saamne Laaye Jaa Rahe Hain Aur Dikhaye Jaa Rahe Hain Wo Sab Kurte Pehne Huwe The Jin Mein Kuch Ke Kurte Siinon Tak, Kuch K Us Se Niiche Fir Umar Ko Laaya Gaya Aur Un Ka Kurta Itna Lamba Tha K Zamiin Se Ghisat Raha Tha. Logon Ne Arz Ki, Is Ka Kya Matlab Hai? To Farmaya Deen. (Matlab Deendaari Aur Taqwe Mein Bahot Bade Huwe)

★ Allah Ne Umar Ki Zabaan Aur Dil Par Haq Ko Jaari Farma Diya ( Matlab Aap Hamesha Sachchai Par Hi Rahenge).

★ Jis Ne Umar Se Dushmani Ki Us Ne Muj Se Dushmani Ki Aur Jis Ne Umar Se Muhabbat Ki Us Ne Muj Se Muhabbat Ki.

★ Ye Hai Kuch Hadeesain Hazrat Umar..Radiyallahu Taala Anh..Ki Shaan Mein Hai..

Is Ke Ilawa Bhi Be Shumaar Waaqeaat Jis Se Aap Ki Azmat O Buzurgi Ka Pata Chalta Hai.
[Mishkaat Sharif]
[Taarikhul Khulfa]
[Madaarijun Nubuwah]

Also Read: Hazrat Umar Bin Khattab Quotes And Sayings In Roman Urdu Hindi English

Related Islamic Biography And History:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.