Table of Content

20 Ramadan Fateh Makkah | Hadith Of The Day

20 Ramzan Fateh Makkah - The Great Victory:

Fateh Makka se Pahle Khana-e-Ka’aba’ Me 360 Buto Ki Puja Hoti Thi, Fateh MAKKA ke Din Huzur ﷺ Ka’aba Me Tashreef Le Gaye, Us Waqt Dast-e-Mubarak(haath) Me 1 Chadi(Stick) Thi. Aur Huzur ﷺ Zabaan-e-Aqdass Se Ye Aayat Tilawat Farma Rahe The.

Tarjuma:
Haq Aa Gaya Aur Batil Mit Gaya. Yaqinan Batil Mitne Hi Ke Qabil Tha.

Aur Huzur ﷺ Apni Chhadi Se Jis But(Statue) Ki Taraf Ishaara Farma Rahe The Wah Bagair Chhuye Hue Faqat Ishara Karte Hi Dham Se Zameen Par Gir Padta Tha.
[Madarij-ul-Nabuwwat:2/290, Bukhari:2/614]

Related Article: