Shaan E Aqdas Hazrat Abu Bakr Siddique R.A Biography

ShereKhudaHazratAli.com

Hazrat Abu Bakr Siddique RaziAllahu Anhu Ki Zindagi Aur Martaba | Biography In Roman Urdu

Laqab: 

Siddiq e Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq. 

Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ki Wiladat (Birth):

– Aap Ki Wiladat Mubarak 573 C.A. Me Makka Me Hui. Aap Ke Waalid Ka Naam Usman Abu Quhafa Ibn Amir Aur Waalida Ka Naam Salma Bint Sakhar (Ummul Khair) Hai.
– Aap Quraish Ke Banu Taym Kabeele Se Ta’aaluq Rakhte Hain. Aap Ka Asl Naam Abdullah Hai.

Deen Ki Daawat:

Aap Ki Daawat Aur Mashware Se Bahut Saare Log Islam Me Dakhil Hue, Jin Me Hazrat Usman-Ibn-Affan, Zubair-Ibn-Awwam, Talha-Ibn-Ubaidullah, Abdur-Rehman-Bin-Awf, Sa’ad-Ibn-Abi-Waqqas, Abu-Ubaidah-Ibn-Jarrah, Abdullah-Bin-Abdul-Asad (Abu Salama), Khalid-Ibn-Sa’id Aur Abu-Huzifah-Ibn-Mughirah (Razi’Allahu Anhuma) Mashhoor Hain.
– Aap Ne 8 Gulamo Ko Aazad Karaya Jo Musalman Ho Gaye They. Jin Me Mardo Me Hazrate Bilal-Habashi-Ibn-Ribah, Abu-Fakih, Ammar-Ibn-Yasir Aur Abu-Fuhaira Aur Aurto Me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah Bint Muammil Shamil Hain. Is Ke Liye Aap Ne 40,000 Dinar Kharch Kiye.
– Aap Ke Waalid Ne Kaha ‘Tum Budhe Aur Kamzor Gulamo Ko Aazad Karate Ho Jis Se Hame Koi Faida Nahi Hoga.’
– Aap Ne Farmaya ‘Main Tou Allah Ki Raza Ke Liye Musalmano Ko Aazad Karata Hu.’

Siddique Akbar Ka Laqab:

12 Nabawi (621 C.A.) Me Me’araj Ke Baad Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ashaba Ko Me’araj Ki Baaten Bayan Kar Rahe They.
– Hazrat e Abu Bakr (Razi’Allahu Anhu) Thoda Der Se Aaye.
– Aap Aakar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Qareeb Jaakar Bethe.
– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Phir Se Shuru Se Pura Bayan Shuru Kiya.
– Aur Hazrat e Abu Bakr (Razi’Allahu Anhu) Har Baat Par Farmate ‘Sadaqata Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam).’
* Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khush Hokar Aap Ko ‘Siddique Akbar’ Ka Laqab Ata Farmaya Yaa’ni Tamam Siddique Me Sab Se Bada.

Aap Ke Baare Me Huzoor Ka Farman:

– Aap Ke Baare Me Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke,
(1) Abu Bakr ‘Afzalul Bashar Ba’adal Ambiya’ Hain Ya’ni ‘Ambiya Ke Baad Tamaam Insan Me Sab Se Afzal.’

(2) Agar Abu Bakr Ka Emaan Meri Tamam Ummat Ke Emaan Ke Saath Wazan Me Kiya Jaaye Tou Abu Bakr Ka Emaan Gaalib Aaye.

(3) Hazrate Abu Bakr Ka Ye Martaba Sirf Uski Ibadaat Ki Wajah Se Nahi Hai, Balke Allah Ta’ala Ne Uske Dil Me Jo Khas Rakha Hai Uski Wajah Se Hai.

(4) Abu Bakr Ke Mujh Par Bahut Ehsaan Hain. Uss Ne Islam Ke Liye Apni Jaan Aur Maal Bhi Qurban Kiye Hain Aur Apni Beti Mere Nikah Me Di Hai Aur Abu Bakr Ne Hazrat Bilal Habsi Ko Aazad Karaya Hai.’

Aap Ashra-e-Mubashara Me Se Hain:

(1) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Se Farmaya ‘Abu Bakr, Jannat Me Dakhil Hone Walo Me Tum Sab Se Pehle Rahoge.’

(2) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya ‘Jab Allah Ta’ala Kisi Mo’min Ke Liye Bhalai Ka Irada Karta Hai To Uss Me Koi Khaslat Paida Farmata Hai Jis Ke Sabab Wo Jannati Ban Jaata Hai Aur Aisi 360 Khaslate Hain.’ Hazrate Abu Baqr Ne Puchha ‘Ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam), Kya Mujh Me Aisi Koi Khaslat Hai?’ Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ‘Abu Bakr, Tumhe Mubarak Ho Ke Tum Me Wo Tamam Khaslat Maujood Hai.’

Ameer Ul Hujjaj:

9 Hijri Me Jab Hajj Farz Hua To Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Ko Ameer ul Hujjaj Banakar Ashaba Ko Aap Ke Saath Hajj Ke Liye Bheja.

Aap Ki Mohabbat Nabi-e-Paak Ke Liye:

hazrat abu bakr siddiq ra biography in roman urdu, hazrat abu bakr siddique ki zindagi, abu bakr siddiq family name, hazrat abu bakar siddique ki wafat, Biography, abu bakr siddiq quotes, naqshbandi silsila,
10 Hijri Me Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Bhi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saath Rahe. Jab Ye Aayat Naazil Hui ‘Aaj Ke Din Ham Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tumhare Liye Deene Islam Pasand Kiya.’ Tou Ashaba Khush Hue Ke Allah Ta’ala Ne Deene Islam Ko Mukammal Kar Diya. Magar Aap Gamzada Ho Gaye. Jab Puchha Gaya Tou Farmaya Ke ‘Ye Sahi Hai Ke Deene Islam Ko Allah Ta’ala Ne Mukammal Kar Diya Hai. Magar Deen Mukammal Hone Ke Baad Mumkin Hai Ke Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ham Se Anqareeb Parda(Rukhsat/Wafat) Farmayenge. Main Ye Sochkar Gamzada Hu.’

Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Wafat Ke Baad Sab Ashaba Gamzada They Aur Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Tou Farma Diya Tha Ke – ‘Agar Kisi Ne Mere Saamne Ye Kaha Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Inteqal Ho Gaya Hai Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hamare Darmiyan Me Nahi Hain Tou Mai Talwar Se Uski Gardan Kalam Kar Dunga.’

– Aise Maahol Me Sab Khamosh They Tab Hazrate Abu Baqr Uthkar Aage Aaye Aur Khutba Padhne Ke Baad Ashaba Se Farmaya: ‘Agar Koi Muhmmad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Parastish Karta Ho Tou Wo Jaan Jaaye Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Inteqal Kar Gaye Hain
Aur Jo Rabbe Muhammad (Yaani Allah) Ki Ibadat Karta Ho Tou Wo Jaan Le Ke Allah Zinda Hai Aur Kabhi Marne Wala Nahi.’

Aap Islam Ke Pahle Khaifa Rahe:

– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Parda Farmane Ke Baad Hazrat e Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ke Mashware Par Aap Ko Khalifa Banaya Gaya.
– Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) Ko Sab Se Pehle Khalifa Hue.
– Aap Ka Daure Khilafat 2 Saal 4 Maah Ka Raha.

Quraan-e-Kareem Ki Hifazat:

11 Hijri (632 C.A.) Me Jange Yamama Me Taqreeban 70 Ashaba Shaheed Hue Jo Hafiz e Qur’an They. Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Aap Se Farmaya ‘Iss Tarah Hafiz e Quran Kum Hote Rahe To Qur’an Ki Hifazat Karna Mushkil Hoga. Behtar Hai Ke Ham Qur’an Ko Jama Karke Kitaab Bana Len.’

– Iss Tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) Ke Mashware Se Qur’an Majeed Ko Jama Karke Kitaab Banane Ka Kaam Shuru Kiya Gaya, Jo Hazrate Usman Ghani Ke Zamane Me Mukammal Hua.

Aapka Pariwar (Hazrat Abu Bakr Siddiq Family)

Aap Ki 4 Biwiya, 3 Bete Aur 3 Betiya Hain. 
(1) Qutaylah Bint Abd-Al-Uzza Se 1 Beta –Abdullah Aur 1 Beti – Asma
(2) Umme Rumman Se 1 Bata – Abdur Rehman Aur 1 Beti – Aaisha
(3) Asma Bint Umays Se 1 Beta – Muhammad
(4) Habibah Bint Kharijah Se 1 Beti – Umme Kulsum
Sirf Aap Hi Aise Sahabi Hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.

Aap Nabi-e-Paak Ke Sabse Qareebi Dost Hai:

– Aap ‘Gare Yaare Nabi’ Hain Yaani Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sab Se Qareebi Dost.
– Aap Ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Har Khaas Mauqe Par Aur Mehfil Me Saath Aur Qareeb Rakha.
– Hijrat Me Bhi Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sirf Aap Ko Saath Liya.

Wisaal (Hazrat Abu Bakar Siddique Ki Wafat):

Aap Ka Wisaal 22 Jamadil Akhir 13 Hijri 23 August 634 C.A. Ko 63 Baras Ki Umr Me Madina Me Hua. Aap Ki Namaze Janaza Hazrat Umar Farooq (RaziAllah Anhu) Ne Padhai. Aap Ko Roza-e-Rasool Me Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Bagal Me Dafn Kiya Gaya Hai.

Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke
Allah Hum Tamam Ko Hidayat Ata Farmaye,..
Hume Sirate Mustakim Par Chalaye,…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Note: Likhne Me Koi Khata Hui Ho Tou Jarur Ba-Daleel Hamari Islah Kare… !!!!
Dua Ki Darkhwast !!!!

Related Islamic Biography:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.