Table of Content

Mojza E Rasool ﷺ | Zamin Se Pani Ka Chasma Nikalna

Zamin Se Pani Ka Chasma Nikalna | Mojza E Rasool ﷺ | Miracles of Prophet Muhammad ﷺ 


abu talib, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, islamic miracles stories, islamic stories, miracles of allah, miracles of prophets, mojza e nabi, mojza in world, mojzat e rasool urdu, earth, spring, water
NABI E KARIM صَلَّى الـلَّـهُ تَعَـالىٰ عَلـَيْـهِ وَسَلَّــم Ek Bar Apne Chacha Jaan Hazrat Abu Talib Ke Hamrah Bazar Me The Ye Bazar Ayyame Jahiliyat Me Arfa Se 1 Farsakh (4.82 km) Dur ZilMajaj Ke Maqam Par Lagta Tha, Is Douran Aap Ke Chahcha Hazrat Abu Talib Ko Pyaas Lag Gayi To Unhone Aap Se Kahan Ki Bhatije Mujhe Pyaas Lagi Hai To Aap Ne Kuch Kalmat Keh Kar Zamin Par Aedi (Heel) Maari,

Hazrat Abu Talib Ka Bayan Hai Ki Achanak Paani Nikal Aaya Ki Is Jaisa Pani Meri Nazar Me Nahi Aaya.

Aap Ne Farmaya Pee Lijiye ! To Maine Ser (Bharpet) Ho Kar Pee Liya, Aap Ne Dobara Aedi Mari To Wo Pani Gaayab Ho Gaya Aur Wo Jagah Pehle Ki Tarah Ho Gayi."
[Hujjatullahe AlalAalamin, Imam Yusuf Nab'Hani, Jild:1 Safha:447,448]

Related Post: