Shan e Hazrat Ali Khwaja Moinuddin Chishti Ki Zubani

ShereKhudaHazratAli.com
Shan e Hazrat Ali Khwaja Moinuddin Chishti Ki Zubani | Hazrat Ali Aur Khwaja Moinuddin Chishti Rehmullah Alaih Ki Wilayat Mein Kya Farq Hai | Azmat Wa Shan E Moula Ali رضی اللہ عنہ

Shan e Hazrat Ali Khwaja Moinuddin Chishti Ki Zubani, Hazrat Ali Aur Khwaja Moinuddin Chishti Rehmullah Alaih Ki Wilayat Mein Kya Farq Hai, hazrat ali images, khwaja moinuddin chishti image, combine image of khwaja garib nawaz and hazrat ali, hindustan
Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Hasan Sanjari ﺭﺣﻤﺔﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﮧ Se Kisi Ne Puchha Ki "Huzur ! Ye Bataiye Ki Aap Bhi Allah Ke Wali He Aur Hazrat E Moula Ali رضی اللہ عنہ Bhi Allah Ke Wali He To Aapki Aur Moula Ali Radiallahu Anhu Ki Wilayat Me Kya Farq He ?

Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti رحمتہ اللہ علیہ Ne Sawal Karne Wale Se Puchna "Tum Kya Karte Ho ?"
Woh Bola "Me Zameendar Hun Aur Kaafi Ekad Zameen Ka Maalik Bhi Hun" 
Ab Us Sawal Karne Wale Ke Saath Dusra Aadmi Bhi Tha Aap رحمتہ اللہ علیہ Ne Us Se Puchha Ki "Tum Kya Karte Ho ?" 
Us Ne Kaha "Hazrat Me Is Zameendar Ki Usi Zameen Par Mazarah (Kisaan) Hun Aur Hal Chalata Hun."
[ads-post] 
Hazrat Khawaja Moinuddin Chishti رحمتہ اللہ علیہ Ne Kaha Suno Jo Farq Zameendar Aur Mazarah (Kisaan) Ke Mansab Me He, Wohi Farq Mere Aur Moula Ali رضی اللہ عنہ Ki Wilayat Me He Hazrat E Moula Ali رضی اللہ عنہ Wilayat E Zameen Ke Maalik He Aur Hum Un Ke Mazarah Yaani (Kisaan) He Hamara Kaam Zameen E Wilayat Me Hal Chalana He. Aur Wilayat Ki Fasal Ke Asl Maalik To Moula Ali He.

Jisko Chahe Khairat Ata Kar De Isi Liye Sab Auliya Kahte Hain Ki Hamein Wilayat Moula Ali Ki Bargaah Se Mili He Aur Isi Liye Moula Ali Ko Sayyed-Ul-Auliya Kaha Jata He.

[Hawala Kitab - ﺗﺬ ﻛﺮﻩ ﻣﺤﺒﻮﺏ ﺻﻔﮧ 221 ]

Related Article:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.