Jung E Badr Ka Waqia | Short Hadees

ShereKhudaHazratAli.com
Jung E Badr Ka Waqia/Story | Short Hadees :

Jung E Badr Also Know as Ghazwa e Badr or Battle of Badr.

"BADR" Madina Sharif se Takreeban 80 Meel ke Fasle par Ek Gaon(Village) Ka Naam Hai Jaha Zamana-Jahiliyat Me Salana Mela Lagta Tha Yaha Ek Kuwa Bhi tha Jiske Malik ka naam Badr tha.

Isi Ke naam par Is Jagah ka Naam Badr Rakh Diya Gaya Isi Maqam Par Junge Badr ka Wo Azeem Muarik Hua Jisme Kuffare Quraish Aur Musalmano ke Darmiyan Sakht Khoon Ranj Ladai Hui Aur Musalmano ko Ek Azeem-Us-shan Fateh Mubeen Naseeb Hui Ki Jiske Bad Islaam Ki Izzat-o-Iqbal Ka Parcham Itna Buland ho Gaya ki Kuffare Quraish Ki Azmat Wa Shouqat Bilkul Khaak Me mil Gai.

Allah Taa'la Ne Junge Badr Ke Din ka Naam "YOUM-UL-FURQAN Rakha Aur Quran ki Sureh Anfal Me Tafseel ke Sath Aur Dusri Surto me Ijmalan Bar-Bar Is Jung Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fateh Mubeen Ke Bare me Ehsan Jatate hue Allah Taa'la Ne Quran Majeed me Irshad Farmaya ki.

TARJUMA E KANZUL IMAN:
Aur Yaqeenan Khuda E Taa'la Ne Tum logo Ki Madad Farmai Badr me Jabki Tum log Kamzor Be-Sara Saman The To tum log Allah se Darte Raho Taki Tum log Shukr Guzar ho Jao.
[AL-QURAN]
[ads-post] HADEES:
Jung E Badr Ka Waqia, mecca, 313 warriors, 17 ramadan, battle of badr, islamic wallpaper, hazrat muhammad, sahabah kiram, Kafir, abu lahab, islamic war, prophet muhammad prediction
Jung-A-Badr Ki Hadees May Hazrat Anas Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Se Marwi Hain Ki Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Maidan-A-Jung May Jung Se Pehle Zamin Per Apna Hath Rakhker Farmaya, Ki Yeh Fala Kaafir Ke Marne Ki Jagah Hain Aur Yeh Fala Ke!

Raawi Kehte Hain Ki Jisko Rasoolallah SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Jahan Hath Rakhker Farmaya Tha Wahin Per Wo Maara Gaya!


ALLAH Ne Apne Rasool Ko Kis-Qadr Ilm Ata Farmaya Hain Ki Abhi Jung Nahi Hui Hain Aur Aapne Ek-Ek Kaafir Ke Maare Jane Ki Jagah Ki Nishaan-Dehi Farma Di! Goya Aap Yeh Bhi Jaante The Ki Kaun-Kaun Maara Jayega Aur Yeh Bhi Jaante The Ki Kahan Maara Jayega!

(Sahi-Muslim Jild-2,Pg-102)
(Nasayi Pg-226)
कहा मरेंगे अबू जहल - उत्बा ओ शैबा
की जंगे बद्र का नक्शा हुजुर जानते हे

Related Post:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.