Imam Muhammad al-Jazuli - Short Biography Urdu, Hindi

ShereKhudaHazratAli.com
Hazrat Imam Sayyed Muhammad Ibn Sulayman Al-Jazuli Al-Simlali Rahmatullah Alaih:
Biography, dala'il al-khayrat, Hindi, imam, imam jazuli quotes, Imam Muhammad al-Jazuli - Short Biography Urdu, Islamic Images, Marrakesh Morocco, Muhammad al-Jazuli grave, Muhammad al-Jazuli qaul, Shadhilia, tomb, mazar
Laqab : Qutb-Ul-Kaamil.
Aap Ki Wilaadat Jazula, Sous (Morocco) Me Hui.
Aap Ke Waalid Ka Naam Sulaimān Ibn Abu Bakr Hai.
Aap Hasani Saadaat Hain.
Aur Sanhaja Ke Simlala Qabeele Se Ta’alluq Rakhte Hain.

Aap Ne Sous Me Ibtidaai Ta’aleem Haasil Ki.

Phir Fez Jaakar Madrasa As-Saffarin Me Ta’aleem Haasil Ki.
Aap Ne Ibne Hajib Ki ‘Mukhtasar Al-Far'i’ Aur Sahnun Ki ‘Al-Mudawwana Al-Kubra’ Kitaabe Hifz Ki.
Fez Me Aap Ne Hazrat Shaikh Ahmad Zarruq Rahmatullāhi Alaihi Se Bhi Mulaaqaat Ki.

Aap Hazrat Shaikh Sayyed Abu Abdallāh Mohammad Ibn Amghar As-Sagheer Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Hue.


Phir Fasaad Ki Wajah Se Fez Chhodkar 40 Saal Tak Makka Mukarrama, Madeena Munawwara Aur Jerusalem Me Muqeem Rahe.


Ek Martaba Safar Ke Dauraan Raat Ko Aap Ne Ek Maqaam Par Qayaam Kiya. Subah Ko Namaaz Ke Liye Wuzu Ke Liye Paani Nahi Tha. Bahot Talaash Karne Ke Baad Ek Kunva Mila Magar Kunve Se Paani Nikaalne Ke Liye Dol Ya Rassi Nahi Thi. Aap Soch Rahe The Ke Kunve Se Paani Kaise Nikaala Jaaye Tabhi Ek Chhoti Ladki Waha Aai Aur Jab Us Ne Jaana Ke Hazrat Ko Paani Ki Zaroorat Hai Tab Us Ne Kuchh Padhkar Kunve Ke Paani Me Thoonk Diya. ALLĀH Ke Fazl Se Kunve Ka Paani Upar Tak Aa Gaya. Aap Ne Us Paani Se Wuzu Kiya Aur Namaaz Ada Karne Ke Baad Us Ladki Se Puchha ‘Beta! Tum Ne Kya Padha Jo Thoonkne Se Paani Upar Aa Gaya?’ Us Ladki Ne Kaha ‘Maine Huzoor Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Par Durood Shareef Padha Tha.’ Aap Ne Daryaaft Kiya Ke ‘Wo Kaun Sa Durood Shareef Hai?’ Us Ladki Ne Kaha ‘Pehle Aap Ko Job Hi Durood Shareef Yaad Hai Wo Mujhe Sunnaiye.’ Aap Ne Jab Durood Shareef Sunaaye To Us Ne Kaha ‘In Me Wo Durood Shareef Nahi Hai.’ Aap Ne Jab Phir Se Guzarish Ki To Us Ne Kaha Ke ‘Behtar Hai Ke Aap Aur Durood Shareef Jama Karen. Shaayad Un Me Ye Durood Shareef Mil Jaaye.’

[ads-post]
Aap Ne Kai Saal Tak Bahot Saare Durood Shareef Jama Kiye Aur Phir Us Ladki Se Wo Durood Jaankar Use Bhi Saamil Kiya Aur ‘Dalaa'il-Ul-Khairaat’ Naami Ek Kitaab Tayyaar Ki Jis Me Tamaam Durood Shareef Aur Un Ki Fazeelat Ka Bayaan Hai.

Jab Aap Madeena Munawwara Me Muqeem The Tab Roz Roza E Rasool Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Par Haazir Hokar 2 Martaba ‘Dalaa'il-Ul-Khairaat’ Padhte.


Aap Ne 14 Saal Khalwat Me Riyaazat O Mujaahida Me Guzaare.

Phir Afwiral Me Khaanqaah Taamir Ki Aur Talba Ko Aur Logo Ko Ta’aleem Aur Faiz Ata Farmaate Rahe.

Qaul:

Imam Sayyed Muhammad Ibn Sulayman Al-Jazuli Al-Simlali Rahmatullah Alaih Farmaate Hain :
‘Gunaahgaaro Ki Majlis Se Door Raho. Jo Shakhs Faajiro Ki Sohbat Ikhtiyaar Karta Hai Us Ka Dil Sakht Ho Jaata Hai Aur Jo Neko Ki Sohbat Me Rehta Hai Us Ka Dil Roshan Ho Jaata Hai Aur Jis Ka Dil Munawwar Ho Jaaye Us Ki Rooh Paakeezah Ho Jaati Hai.’

Aap Hazrat Shaikh Sayyed Abu Abdallāh Mohammad Ibn Amghar As-Sagheer Rahmatullāhi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain.


Aap Se ‘Shaazili Jazuliya’ Silsila Jaari Hai.


Aap Ke Khulfa:

(1) Hazrat Shaikh Abdul Azeez Rahmatullāhi Alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Muhammad Al-Taba Rahmatullāhi Alaihi.

Safi Ke Governor Ne Pehle Aap Ko Takleef Dena Shuru Kiya. Phir Aap Ko Zeher Diya Jis Se Aap Ka Inteqaal Hua.


Aap Ka Wisaal 4 Zil Qa’ada 869 Hijri (June 1465 A.D.) Ko Haalaat E Namaaz Me Hua.


Aap Ko Afwiral Me Aap Ki Khaanqaah Me Dafn Kiya Gaya.


Aap Ke Wisaal Ke 77 Saal Baad Aap Ki Qabr Kholkar Aap Ke Jism E At'har Ko Baahar Nikaala Gaya To Aap Ka Kafan Aur Badan Bilkul Mehfooz Tha. Phir Aap Ko Marrakesh Le Jaakar Dafn Kiya Gaya.


Aap Ka Mazaar Marrakesh (Morocco) Me Hai.


ALLĀH Ta’ala Us Ke Habeeb Sallallāhu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me Aur Hazrat Imaam Sayyed Muhammad Al-Jazuli Rahmatullāhi Alaihi Aur Tamaam Auliya Allāh Aur Ahle Bait Ke Waseele Se

Sab Ko Mukammal Ishq E Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Iman Ki Hifaazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae. Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyaabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaa'iz Muraado Ko Puri Farmaye.
Aameen

Related Biography:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.