Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Ki Hairat Angez Karamat

ShereKhudaHazratAli.com

Imam Ul Muslimeen Hazrat Imam Ahmed Bin Hanbal Ki Hairat Angez Karamat Ka Waqia (Islamic Stories)

Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Ki Hairat Angez Karamat, imam ahmad bin hanbal grave, islamic stories, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, Quran, Islamic Images, preservation of the holy quran, baghdad, imam ahmad bin hanbal stories,
HIQAYAT:
Baghdad May Jab Motajaliyon Ka Galba Hua To Unohne Chaha Ki Hazrat Imam Hambal Radi-Allahu-Ta'ala-Anhu Se Zabardasti Kahelwaye Ki Quran Makhluk Hain!

Chunanche Mukhtalif Saajishon Ke Zariye Wo Aapko Khalifa Ke Darbar May Legaye! Darbar May Ek Darwaze Per Ek Sipahi Khada Tha, Hazrat Imam Hambal Radi-Allahu-Ta'ala-Anhu Jab Is Darwaze Se Gujre To Us Sipahi Ne Kaha Ki, Aye Imam ul Muslimeen Quran Ko Makhluk Hargiz Na Kehna Aur Mardon Ki Tarah Rehna! Dekhiye Main Ek Martaba Chori Ke Ilzaam May Giraftar Hua Tha Aur Hazaar Kode Mujh per Pade, Lekin Maine Ikraar Na Kiya! Inkaar Per Hi Data Raha Tha! Bil-Aakhir Main Riha Ho gaya Aur Apne Zhoot Aur Galat Per Kaamyab Ho gaya! To Jab Main Haq Per Na Tha Aur Sabr Ki Badaulat Kamyab Hogaya, Fir Aap Jabki Sarasar Haq Per Hain! Bhala Sabr Se Kaamyab Kyon Na Hoge?

Hazrat Imam Ahmed Ibne Hanbal Radi-Allahu-Ta'ala-Anhu Uski Yeh Baat Sunker Bade Mutassir Hue! Aapne Farmaya, Jazakallah! Main Tumahri Yeh Baat Khub Yaad Rakhuga Aur Hargiz Haq Ko Na Choduga!
[ads-post]
Chunanche, Aapko Darbar May Pesh Kiya Gaya! Aapko Majboor Kiya Gaya Ki Quran Ko Makhluk Kahe Magar Aapne Nahi Kaha! Hatta Ki Aapko Shikanje May Kasa Gaya Aur Ek Hazar Kode Mare Gaye, Magar Aapne Har Dafa Yahi Kaha Ki Quran Makhluk Nahi Hain! Isi Darmiyaan Jab Aapko Shikanje May Kasa Hua Tha, Aapka Ijaar-Bandh Khul Gaya! Aapke Dono Hath Bandhe Hue The! Sabne Dekha Ki 2 Hath Gaib Se Jaahir Hue Aur Unohne Aapka Ijaar-Bandh Baandh Diya! Aapki Yeh Karamat Dekhker Aapko Chod Diya Gaya!
(Tazkiratul Auliya Pg-261)

SABAK:
Hazrat Imaam Ahmed Ibne Hambal Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Imaamul Muslimeen The Aur Haq Ke Alambardar! Dushmano Ne Aapko Be-Hadh Sataya Aur Taklifen Di! Magar Aapne Sabr Wa Shukr Se Kaam Liya Aur Maslak-A-Haq Ko Nahi Choda! Aapne Quraan Pak Ki Izzat Ke Khatir Apni Jaan Per Sakhtiyan Bardasht Ki!

Malum Hua Ki Imaam-A-Deen Ke Dilon May Quraan Wa Hadees Ki Badi Waq-at Aur Taazim Thi!

Related Article:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.