HAZRAT BAYAZID BASTAMI RA AUR QURB-E-ILAHI
Hazrat Bayazid Bastami Rehmatullah Alaih Aur Qurb e Ilahi Ka Waqia | Inside View Of Bayazid Bastami R.A Grave and More..
![]() |
Inside View of Bayazid Bastami R.A Grave |
Mai Zaat e Haq ki mohabbat me musassil parwaz karta raha yahan tak ke mukham e 'Tanziyah' se guzra or 'Azliat' ke maidan se musharaf hua-, Aur wahan maine 'Ahdiyat ke darakht dekhe phir jub maine nigah dali toh waha sab kuch 'main' hi 'main' tha-,
Uss waqt mai ne munajat ki ke, Aye Khuda ! Meri 'Khudi ko tera raasta nahi milta-, mujhe apni Khudi se nikalne ki koi nazar nahi aati-, meri rehnumai farma, ab mujhe kya karna chahiye?
Farman e haq aaya ke Aye Bayazid ! Tumhari apni Khudi se nijaat hamare dost aur mehboob (yani Mohammad ï·º) ki mu-ta'abiat se wabasta hai -, Unke Khadam mubarak ke nichey ki khaakh ko apni Ankho ka surma banawo aur unki pairwi me hamesha masroof raho-.
Ye hikayat bohot taweel hai... Ahle tariqat isko Bayazid Rahmatullahi Alihi ki 'Mairaj kehte hai-, Meiraj se unki murad Qurb E Haq hai-.
(Kashful Mahjoob-urdu Safa : 334)
Join the conversation