Behtareen Biwi Aur Shohar Ke Huqooq

ShereKhudaHazratAli.com

Behtareen Biwi(Wife) Aur Shohar(Husband) Ke Huqooq:

biwi ka farz shohar ke liye, Islamic Images, miya biwi ka rishta, miya biwi ke huqooq, nikah, quran aur hadees, shohar ka farz biwi ke liye, shohar or biwi ka rishta, women's rights in islam facts, biwi ke huqooq, shohar ke huqooq

♥ Shohar Ke Huqooq Biwi Par ♥

ALLAH TA'ALA ne Shohar Ko Aurat Par Haaqim Banaya Hai Aur Bahut Badi Bujurgi Di Hai. Isliye Har Aurat Par Farz Hai Ki Wah Apne Shohar Ka Huqm Mane. Apne Shohar Ko Raazi Rakhna Biwi Ka Farz Hai Aur Jo Aisa Na Kare Wo Aurat Sakht Gunahgar Hai.
  • Jo Apne Shohar Ki Farmabardari Aur Khidmat Guzari Ko Apna Farz-e-Azeem Samjhe.
  • Jo Apne Shohar Ke Tamam Huqooq Ada Karne Me Kotahi Na Karen.
  • Jo Apne Shohar Ki Khubiyon Per Nazar Rakhe Aur Uss Ke Aib Aur Khamiyon Ko Nazar-Andaz Karti Rahe.
  • Jo Khud Takleef Utha Kar Apne Shohar Ko Aaram Pohchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe.
  • Jo Apne Shohar Se Uss Ki Aamdani Se Zyada Ka Mutaliba Na Kare Aur Jo Mil Jaye Uss Per Sabr-O-Shukr Ke Sath Zindagi Basar Kare.
  • Jo Apne Shohar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Per Nigah Na Dale Na Kisi Ki Nigah Apne Uper Padhne De.
  • Jo Parde Me Rahe Aur Apne Shohar Ki Izzat-O-Namoos Ki Hifazat Kare.
  • Jo Shohar Ke Maal Aur Makan-O-Saman Aur Khud Apni Jaat Ko Shohar Ki Amanat Samajh Ker Har Cheez Ki Hifazat-O-Nigehbani Karti Rahe.
  • Jo Apne Shohar Ki Musibat Me Apni Jani-O-Maali Qurbani Ke Sath Wafadari Ka Saboot De.
  • Jo Parhezgaari Ki Paband Aur Deendaar Ho Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad Ko Ada Karti Ho.
  • Jo Padosiyon(Aurto) Aur Milne Julne Waali Aourton Yaani Saas, Nanand, Sasurali Rishtedar, Ke Sath Khush Akhlaqi Aur Sharaft Ka Bartao Kare.
  • Jo Maika-O-Sasural Dono Gharon Me Har-Dil Azeez Aur Ba Izzat Ho.
Sarkare Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Agar Khuda Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye Sajda Karne Ka Huqm Deta To, Me Aurato Ko Huqm Deta Ki Wah Apne Shoharo Ko Sajda Karti Rahe".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 281 Mujtabaai)

Madine Ke Tajdaar Janab e Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Jab Shohar Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaye, Aur Aurat Aane Se Inkar Karde,
Aur Uska Shohar Is Baat Se Naraz Ho Kar Sota Rahe, To Raat Bhar ALLAH Ke Farishte Us Aurat Par Laanat Karte Hai".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 280)

Sarware Qaynaat Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Agar Shohar Apni Aurat (Biwi) Ko Yah Huqm De Ki Pile Rang Ka Pahad Kale Rang Ka Bana De Aur Kale Rang Ke Pahad Ko Safed Bana De To Bhi Aurat Ko Apne Shohar Ka Huqm Baja Lana Chahiye".

Aur Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki, "Jis Aurat Ki Maut Aisi Haalat Me Aaye Ki Marte Waqt Uska Shohar Usse Khush Ho To Wo Aurat Jannat Me Jayegi". Aur Farmaya, "Jab Koi Mard Apni Aurat Ko Kisi Kaam Ke Liye Bulaye To Wo Aurat Agarche Chulhe Ke Pas Baithi Ho Usko Laazim Hai Ki Wah Uthkar Shohar Ke Pas Chali Jaye".

Is Hadees Sharif Ka Matlab Ye Hai Ki Aurat Chahe Kitne Bhi Jaruri Kam Me Mashgul Ho Shohar Ke Bulane Par Sab Kamo Ko Chod Kar Shohar Ki Khidmat Me Haazir Ho Jaye". 
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 383 Mujtabaai)

Biwi Ko Shohar Ka Huqm Har Hal Me Manna Hai. Aur Jis Aurat Ka Shohar Usse Razi Ho Aur Uska Intkal Ho Jaye To Uske Liye Jannat Hai.
SubhanALLAH !

Saware Qaynat, Habeeb e Khuda, Shafi-E-Mehshar, Rehmatallil Aalamin Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Sohbat Ke Liye Ye Dua Irshad Farmayi, 
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana"
Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Aye ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega"
"Jo shaks Is Dua Ko Sohbat Ke Waqt Padhega (Dua Wahi Jo Upar Likhi Hai) To ALLAH Us Padhnewale Ko Agar Aulad Ata Farmaye To Us Aulad Jo Shaitan Kabhi Bhi Nuksan Na Pahuncha Sakega"
(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif,Jild 1,Safa 557)

Jab Aap Miya-Biwi Saath Mein Sone Ka Irada Karen To Usse Pahle Ye Dua Padh Lijiye. Yani Sohbat Karne Se Pehle Ye Dua Hamesha Padhe.
Insha ALLAH Is Dua Ki Barkat Se Aapki Aulad Shaitan Se Mehfooz Hogi.
Khatmun Nabiyyin Huzoor-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Behtarin Aurat (Biwi) Wah Hai Ki Jab Uska Shohar Kisi Baat Ka Huqm De To Wo Uski Farmabardari Kare Aur Agar Shohar Uski Taraf Dekhe To Wah Apne Banav Singar Aur Apni Adaao Se Apne Shohar Ka Dil Khush Karde Aur Agar Shohar Kisi Baat Ki Kasam Kha Jaye To Wah Uski Kasam Ko Pura Karde Aur Agar Shohar Gayab Rahe (Matlab Ghar Se Bahar Ho) To Wah Apni Zaat Shohar Ke Maal Me Hifazat Aur Khair Kwahi Ka Kirdar Karti Rahe".
(Mishkat Sharif Part 2 Safa 268 Mujtabaai)

Apne Shohar Ko Khush Rakhna Hi Biwi Ka Farz Hai. Uska Singar Sirf Uske Shohar Ke Liye Hai. Shohar Ki Namaujudgi Me Uske Ghar Aur Maal Wa Dolat Ki Hifazt Karna Biwi Par Laazim Hai.
[ads-post]
Ek Shaks Ne Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Se Daryaft Kiya Ki "Behtarin Aurat (Biwi ) Ki Pehchan Kya Hai?"
Madni Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya "Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita'at Wa Farma Bardari Kare".
(Nasaai Sharif Jild 2 Safa 364)

Hazrat Abu Sai'd RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai, Shafi-E-Mehshar, Rehmat-E-Aalam Janabe Muhammad Mustafa Sallallaho Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai "Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufr Hai Aur Ek Kufr Dusre Se Kam Hota Hai".
(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

Aurat Hargiz Apne Shohar Ki Nafarmani Na Kare Warna Jahannam Ki Tayyari Karle..

Ummul Momineen Hazrate Aayesha Siddiqa RadiALLAHU Ta'ala Anha Wa Hazrat Abu Huraira RadiALLAHU Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki, Rasool-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasllam Ne Irshad Farmaya, "Agar Me Kisi Ko Kisi Ke Liye Sajde Ka Huqm Deta To Aurato Ko Huqm Deta Ki Apne Shohar Ko Sajda Kare".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 594, Hadees No 1198)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya, "Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bister Par Bulaye
Aur Wah Aane Se Mana Karde To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak Laanat Karte Rehte Hai".
(Bukhari Sharif Jild 3, Bab No 115, Safa 96, Hadees No 178)

Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Ta'ala Anha Se Marvi Hai Ki Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Haazir Hui Aur Arz Kiya "Ya Rasoolallah! Me Jawan Aurat Hu Muze Nikah Ke Paigam Aate Hai Magar Me Shaadi Ko Bura Samajhti Hu. Aap Muze Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai"?
Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya "Agar Shohar Ki Choti Se Pair Ki Ediyo Tak Peep Ho Aur Wah Use Zaban Se Chate To Bhi Shaohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi".
Us Aurat Ne Pucha "To Main Shaadi Na Karu"?
Ispar Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Tum Shaadi Karo Kyunki Isme Bhalaai Hai".
(Mukasheftul Kuloob Bab No 95, Safa 617)
ALLAHU AKBAR..!

Hazrate Maimuna Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasoolallah Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Meri Ummat Me Subse Behtar Wo Aurat Hai Jo Apne Shohar Ke Sath Acha Sulooq Karti Hai Aisi Aurat Ko 1000 Shahido Ka Sawab Milta Hai Jo Khuda Ki Rah Main Sabr Ke Liye Shahid Hue. Un Aurato Me Se Har Aurat Jannat Ki Hooro Par Aisi Fazilat Rakhti Hai Jaise Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Tum Me Se Adna Mard Par".
(Ghunyat Ut Talibeen Safa 113)
SubhanALLAH...!

Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Pyare Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Muze Dozakh (Jahannam) Dikhai Gayi Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya Wajah Ye Hai Ki Ye Kufr Karti Hai".
Sahaba-E-Kiram Ne Arz Kiya "Kya Wo ALLAH Ke Sath Kufr Karti Hai"?
Aap Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya, "Nahi! Wo Shohar Ki Na-shukri Karti Hai (Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai) Aur Uska Ehsaan Nahi Manti.
Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulooq Kare Lekin Ek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye To Jhat Keh Dengi Ki Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukun Nahi Paya".
(Bukhari Sharif Jild 1, Bab No 21, Safa 109, Hadees No 28)

Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki, "Jab Shohar Apni Haazat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho To Usko Laazim Hai Ke Sab Kaam Chod Kar Apne Shohar Ke Pas Haazir Ho Jaye".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Bab No 788, Safa 595, Hadees No 1159)

Hazrat Umar Radiallaho Anhu Se Riwayat Hai Ki Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Tumko Nahi Maalum, Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Shohar Ki Nafarmani Hai".
(Ghunyat Ut Talibeen Safa 114)

Ya Rabbul Aalamin Tu Apne Karam Se Aurato Ko Nek Taufiq Ata Farma. Aur Unhe Apne Shaohar Ki Ita'at Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aameen

♥ Biwi Ke Huqooq Shohar Par ♥

ALLAH TA'ALA Ne Jis Tarah Aurato Par Shohar Ke Huqooq Farz Kiye Hai Usi Tarah Shohar Par Bhi Aurato Ke Huqooq Farz Hai. In Huqooq Ko Ada Na Karnewala Sakht Gunaahgar Hai.
  • Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, Khush Khalqi Aur Husne Sulook Ke Sath Pesh Aaye.
  • Jo Apni Biwi Ke Huqooq Ada Karne Me Kisi Qism Ki Gaflat Aur Kotahi Na Kare.
  • Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Ker Rahen Ke Kisi Ajnabi Aourat Per Nigah Na Dale.
  • Jo Apni Biwi Ko Apne Aish-O-Ishrat Me Barabar Samjhe.
  • Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm Aur Kisi Qism Ki Bhi Jyadati Na Kare.
  • Jo Apni Biwi Ki Tang Mizaji Aur Bad Akhlaqi Per Sabr Kare.
  • Jo Apni Biwi Ki Khubiyo Per Nazar Rakhe Aur Mamuli Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
  • Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon Aur Ranj-O-Gam Me Diljoi Aur Wafadari Ka Saboot De.
  • Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare.
  • Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
  • Jo Apni Biwi Ko Deendari Ki Takeed Karta Rahe Aur Shari’at Ki Raah Per Chalaye.
  • Jo Apni Biwi Ke Akhrajaat Me Bakhili Aur Kanjoosi Na Kare.
  • Jo Apni Biwi Per Iss Tarah Taabey Me (Control) Rakhe Ke Wo Kisi Burai Ki Taraf Rukh Bhi Na Kar Sake.
ALLAH TA'ALA irshad Farmata Hai, "Aur Unse (Aurato Se) Acha Bartaw Karo".
(Tarzuma: Kanzul Imaan Para 4, Sure Nisa, Aayat 19)

Sarkaar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Tum Me Ache Log Wah Hai Jo Aurato Ke Sath Achi Tarah Pesh Aaye".
(Mishkat Sharif Part 2, Safa 282)

Sarkar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya, "Aurat Ko Kisi Bade Kasoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Mare Jis Tarah Apne Gulaam Ko Mara Karta Hai Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare".
(Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Afsos! Aaj Ke Kuch Jahil Naujawan Apni Biwi Ko Marte Hai.
Ya ALLAH Hum Subko Apni Biwi Ki Izzat Karne Ki Taufiq Ata Farma
Aameen

Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Koi Momin Mard Kisi Momin Aurat Se Bugz Wa Nafrat Na Rakhe Kyunki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti To Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi".
(Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)

Mehboob-E-Khuda Khatmunn Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu".
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)

Apni Biwi Ke Sath Acha Sulooq Karo.
Uske Sath Muhabbat Se Pesh Aao.
Biwi Ke Sath Narmi Aur Khushmijaji Se Bartaw Karo.
Apne Biwi Se Ladai Jhagda Na Karo
Pyare Aaqa Alahissalam Ki Sunnato Par Amal Karo

Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki, "Sabse Bura Aadmi Wah Hai Jo Apni Biwi Ko Sataye".
(Tabrani Sharif)

Pyare Islami Bahiyo Apni Biwi Par Julm Karna, Use Satana, Gaali Galoch Karna Bad Tarin Gunah Hai

Hazrat Abu Huraira Radiallaho Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Jab Kisi Ke Nikah Me Do Biwiya Ho Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayel Ho To Woh Qayamat Ke Din Jab Aayega To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga".
(Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 584, Hadees No 1137, Ibne Maaja Jild 1, Safa 549)

Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Aurato Ke Sath Neki Ka Bartaw Karo Ki Unki Paidaish Tedhi Pasli Se Hui Hai Wah Tere Liye Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti Agar Tu Use Baratna Chahe To Har Haalat Me Barat Sakta Hai Aur Sidha Karna Chahega To Tod Dega Aur Todna Talaaq Dena Hai.
(Muslim Sharif)

Hajjatul Wida Ke Mash'hur Khutbe Me Huzoor-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Irshade Girami Hai Ki "Aye Logo! Aurato Ke Baare Me Neki Aur Bhalaai Karne Ki Wasiat Farmata Hu Tum Meri Wasiat Qubool Karo Beshaq Aurato Ka Tumhare Upar Haq Hai Tum Unke Pehnaane Aur Khilaane Me Neki Ikhtiyar Karo.
(Ibne Maja)

Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, "Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho".
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)

Haq Mahar Ada Karna Shohar Par Wazib Hai Aur Ise Ada Karne Me Kotahi Karnewala Sakht Gunahgar Hai

Ya ALLAH Hum Subko Apne Biwi Ka Haq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farma Aur Biwi Ke Sath Muhabbat Se Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farma.
Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De..
Aameen

Related Article:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.