Waswaso Ka Ilaj

ShereKhudaHazratAli.com
“A'uzubillahi Minash Shaita-nir-Rajeem”
Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Agar Aapko Shaitaan Ki Taraf Se Koi Waswase Aane Lage Tou Allah Ki Panaah Maang Liya Karo,
Bila-Shuba Woh Khoob Sun’ne Waala Aur Khoob Jaan’ne Waala Hai,
Beshak Jo Allah Se Darte Hai. Jab Unko Shaitaan Ki Taraf Se Koi Khatra Hota Hai,
Woh Allah Ki Yaad Me Lag Jaate Hai, So Yakaayak Unki Aankhen Khul Jaati Hai,
Aur Jo Shaitaan Ke Ta’bey Hai Woh Unko Gumraahi Me Kheenche Chale Jaate Hai, Pas Woh Baaz Nahi Aate.
– (Sureh-Aa’raaf: Aayat: 200-202)

“A'uzubillahi Minash Shaita-nir-Rajeem”
Tarjuma: Allah ki Panah Mangta hu Mai Shaitan Mardud ke Sharr se,.

#Shaitaani Waswaso Ka Ilaj :

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aahadees Ka Mafhoom Hai Ke:
Jisko Shaitani Wasaawis Aatey Hai Wo Aayatul Khursi Tilawat Kar Ley,.”
– (Sahi Bukhari)

Ek Aur Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Moajatain Padhkar Apne Nafs Par Dam Karo !
Iss Se Shaitan Se Hifazat Hoti Hai,..”
– (Jamey Tirimizi)

Note: Moajatain se Muraad Surah Falaq aur Surah Naas Hai.

Related Article/Short Hadees :

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.