Nikah (Marriage) Ki Fazilat

ShereKhudaHazratAli.com

Nikah (Marriage) Ki Fazilat | Importance of Nikah

hadith on marriage, importance of nikah in islam, Islamic Images, marriage in islam, marriage in islam quotes, marriage quotes, nikah, Nikah (Marriage) Ki Fazilat, quran aur hadees, wedding, zina in islam, Nikah Insaan mein Sharm o haya Paida karta hai.
Nikah Insaan Ko Badkari se Bachata hai.
Hazrat Abdullah Bin Masud RadiAllahuanho Kahtey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : Aye Jawan Logo Tum mein se jo shaadi ki istata’at rakhe woh Nikah kar le islye ke nikah aankho ko jhukaata aur Sharmgaah ko (zina Se) bachata hai aur jo shakhs Kharch ki taqat na rakhe woh roza Rakhe kyun ke roza khawaish e nafs ko khatm kar deta hai
(sahih Muslim: 1400)

Nikah Jinsee Aludgi Shaitaan khayalat o Afaal se mahfuz rakhta hai.
Hazrat Jabir RadiAllahuanh farmate hai ke main ne nabi akram (ﷺ) ko farmate hue suna ke jab Kisi Aadmi ko koi aurat achchi lage uske dil mein uski muhabbat aye toh use apni biwi ke pass jana chahiye aur usse sohbat karni chahiye aisa karne se admi ke dil us aurat ka kahyal jata rahe ga.
(Sahih Muslim: 1403)

Nikah Baahmi Muhabbat Aur Ukhuwwat ka Behtareen Zariya hai.
Hazrat Abdullah Ibn Abbas RadiAllahuanho kahite hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : humne Muhabbat karne walo ke nikah se zada koi chiz moasar (bhaitar) nahi dekhi
(Sunan Ibn Majah: 1847)
[ads-post] Nikah Insaan ke liye Rahat o Sakoon hai.
Hazrat Anas RadiAllahuanho kahtey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya : (mere Dil) mein auart aur khusboo ki muhabbat daal di gayi aur namaz Mere Aakho ki thandak hai
(Sunan an-Nasa’i: 3940)

NIKAH SE DEEN MUKAMMAL HO JATA HAI.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya:
إذا تزوج العبدُ فقد استكمل نِصْفَ الدِّينِ؛ فلْيَتَّقِ اللهَ في النصفِ الباقي
“Jab koi shaks nikah kar leta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai lihaza use chahiye k baaqi aadhey deen k muamaley mein Allah se darta rahey”.
(Silsila As-Sahehah Lil-Albani: 625)

JO SHAKS GUNAH SE BACHNE K LIYE NIKAH KA IRADA KARE, ALLAH TA’ALA USKI ZAROOR MADAD FARMATA HAI
Hazat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya “Teen aadmiyo ki madad karna Allah ta’ala k zimmey hai:
Wo gulam jo aazaadi hasil karne k liye apne malik se mua’hda karna chahey Buraayi se bachne ki niyat se nikah karne wala Allah ki raah mein jihad karne wala”.
(Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3218)

NIKAH INSAANI NASL KI BAQA KA ZARIYA HAI QAYAMAT K ROZ RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KI KASRAT PAR FAKHR FARMAYENGE.
Hazat Maqil bin Yasaar Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alailhi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya “Ek khoobsurat aur acche hasb o nisaab wali aurat hai lekin uske han aulaad nahi hoti kya us’se nikah karu” Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya “Na karo” phir wo doosri martaba hazir hua Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne phir use mana farma diya phir wo teesri martaba (ijazat lene) hazir hua to Aap Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne irshad farmaya “Muhabbat karne wali aur zayada bacche paida karne wali aurat se nikah karo kyunki mein apni ummat ko tum loogo (yaani musalmaano) ki wajah se badhaana chahta hu”.
(Sunan Abu Dawood Hadees no. 2050)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya “Muhabbat karne wali aur zayda bacche jan’ne (paida) wali aurat se nikah karo kyunki mein qayamat k roz doosre ambiya Alaihis Salaam k muqabiley mein tumhari wajah se apni ummat ki kasrat chahta hu”.
(Tabraani, Aadaab Zifaf Safa no. 8)

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.