Eid ul Fitr Ki Sunnatain Aur Ahkam

ShereKhudaHazratAli.com
Share Information About Sunnah of Eid ul Fitr | How to Prepare for Eid al fitr | what do on eid ul fitr | Eid ul Fitr Prayers. Must Read..

Eid ul Fitr Ki Sunnatain Aur Ahkam :
  1. Namaz e Eid ul Fitra Se Pehle Sadqa e Fitr ada karna
  2. Nakhun Tarashna (Katna)
  3. Hajamat Banwana. [Cutting Karwana] (Shariat ke mutabik karwana)
  4. Miswak Karna
  5. Gusl Karna
  6. Achcha Libas (Kapde/Clothes) Pahenna, (Naye (New) Kapde Pahenna Zaruri Nahi)
  7. Khushboo lagana (Itr lagaye Alcohol wale Spray na lagaye)
  8. Angoothi Pahenna. (Ek Chandi Ki Angoothi Jo 4.5 Mash Se kam (Less) Ho Ek Nagine Ke Sath)
  9. Namaz e Fajr Masjide Mohalla Main Padhna.
  10. Namaz e Eid ul Fitr se pehle Taak (3,5 ya 7 ya kamo besh) khazoore khana.
  11. Namaz e Eid ul Fitr Ke Liye Eidgah Jana
  12. Eidgah Paidal Jana
  13. Sawari Par Bhi Jane Me Harz Nahi Magar Jisko Paidal Jane Par Kudrat Ho Uske Liye Paidal Jana Afzal He aur Wapsi Me Sawari Par Aane Me Harz Nahi.
  14. Namaz-E-Eid Eidgah me ada karna
  15. Namaz-E-Eid Ke Liye Ek Raste Se Jana aur Dusre Raste Se Wapas Aana.
  16. Eidgah ke liye Itminano Wakar aur Nichi Nigah Kiye Jana
  17. Ghar Se Eidgah Jate Waqt Takbirat Kehna (Padhna). [Takbirat Niche Likhi Hui He]
  18. Bad Namaze Eid Musafah aur Mu'aanaqa Karna
  19. Aapas me Mubarakbad dena
  20. Khushi Jahir karna
  21. Kasrat se Sadqa Dena

TAKBIRAT :

ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR WALILLAHIL HAMD.

Eid ul Fitr Ke Mutallik (Regarding) Chand Hadees :

  • Tajdare Madina Surure Kalbo Sina Nabiyo Ke Sardar Bibi Aamina Ke Lal Hazrat Abdullah ke Lakhte Jigar hum bekaso Ke Aaqa Janab e Hazrat Muhammad Mustufa Sallalahu Alayhi Wasallam ka irshad he "Jisne Eiden ki Rat yani Shabe Eid ul Fitr aur Shabe Eid ul Adha sawab ke liye Kayam kiya. Us din uska Dil nahi marega, Jis din logo ke Dil mar jayenge.
    - Ibne Maja
  • Eid Ka Tohfa : Huzoor-E-Akram Swallalaho Alayhi Wasallam irshad farmate he, "Jo shaks Eid ke din 300 Martaba Subhanallahi Wabihamdihi padhe aur faut shuda musalmano ki arwah ko iska sawab hadiya kare to har musalman ki kabar me 1000 anwar dakhil hote he aur Jab wo padhnewala khud marega, ALLAH TA'ALA uski kabar me bhi 1000 anwar dakhil farmayega
    - Mukashifat ul Quloob
  • Hazrat e Muaaz bin Jabal Radiallahu Anhu Se Marwi He, Jo 5 rato me Shabbedari kare uske liye Jannat wajib ho jati he..
    * Zil hajj Sharif ki 8,9,10 tarikh
    * Eid ul fitr ki Rat
    * Shabaan ul Muazzam ki 15vi rat yani shabe baraat
    - Isbhani
Related Article:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.