Farman e Ghous e Azam | Hazrat Abdul Qadir Jilani R.A Quotes

ShereKhudaHazratAli.com
beautiful mazar image of abdul kadir jilani urs ghous pak, abdul kadir jilani quotes, located in bagdad, iraq, ghous e azam quotes, ghous e azam quotes in hindi, sheikh abdul qadir jilani quotes in english, ghaus e azam shayari, sheikh abdul qadir jilani quotes in urdu, sayings of ghous ul azam, sheikh abdul qadir jilani quotes in hindi, golden words of wisdom sheikh abdul qadir jilani, ghaus e azam story in hindi
Sheikh Abdul Qadir Jilani is one of the most influential Auliya of Islam. He also founded the Sufi order Qadriya among Muslims. This list of Farman E Ghous e AzamAbdul Qadir Jilani Quotes will share with you his amazing wisdom and spirituality. There is a brief overview of his life also after the list below.

Syed Sheikh Abdul Qadir Jilani Quotes also Known as sheikh abdul qadir jilani sayings, abdul qadir jilani qol, aqwal e zareen abdul qadir jilani, sayings of ghaus e azam, etc

Waah Kya Martabaa A_Gaus Hai Baala Teraa..
Unche Uncho Ke Saraun Se Qadam Aala Teraa...

Sar Bhala Kya Koi Jaane K Hai Kaisa Teraa..
Auliya Malte Hain Aankhein Woh Hai Talwa Teraa...

Mit Gaye Mit'te Hain Mit Jaayenge Aada Tere..
Na Mita Hai Na Mitega Kabhi Charcha Teraa...

Farman (Quotes) Sahenshah e baghdad Peeron ke Peer, Peeraane Peer, Gaus e Azam Dastagir, Gaus us Samdani, Peer e Lasani, Shahbaaz e laa Maakani, Mahboob e Subhani, Qutub e Rabbani, Gaus e Samdani, Mohiyuddin Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Bagdadi Rehmatullah Alaih :

Hazrat Allama Nooruddin Shatnoufi Alayhirrahma Tehrir Farmate He Ke Sarkar E Baghdad Hazrat Sayyedna Gous E Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu Irshad Farmate He Ke…
"Jab Tum Allah Se Koi Haajat Talab Karo To Mere Wasile Se Talab Karo“ 
[Bahatul Asrar P.No.23]
Sabak:- Sarkar E Gous E Aazam Radiallahu Anhu Ke Is Farman Se Aapka Ye Aqida Sabit Hua Ke Allah Ke Mehboob Bando Wasila Lekar Dua Karna Jaiz He...

“Tere Hath Me Hath Mene Diya He
Tere Hath He Laaj Ya Gous E Aazam”

“Qasam He Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paya
Kaha Hamne Jis Waqt Ya Gous E Aazam”
  • Hazarte Sheikh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai –
    “Shirk Sirf Boot Parsti Hi Nahi Hai Balki Nafsani Khwahishat Ki Pairwi Aur Duniya Ki Kisi Bhi Chiz Ke Sath Ishq Ki Kefiyat Se Munsalik Ho Jana Ye Sarahatn Shirk Hai,
    Khuda Ke Siwa Har Chiz Gaire Khuda He Aur Har Gaire Khuda Ki Khwahish Shirk Hai,
    Lihaza Is Se Parhez Karo .
    Apne Nafs Ki Buraiyyo Se Darte Raho, Haq Ki Talash Me Koshish Karte Raho, Gaflat Ki Zindgi Ko Apna Shiaar Na Banawo, Musalman Kabhi Gafil Nahi Rehta.

  • Aye Imanwalo! Jab Tum Bimaar Ho Jao Tou Sabr Aur Shukr Se Uska Istaqbal Karo Taa’ke Wo Tumhare Liye Rehmat Ban Jaye.
    – Abdul Qadir Jilani Rehmatullah Alaih

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai –
    “Quran Ka Ek Kinara Allah Ke Hath(Dast-e-Qudrat) Me Hai Aur Dusra Makhlooq Ke Hath Me,
    Bas Isi Ko Allah Ta’ala Tak Pahuchne Ka Wasila Banaao Amal Karke!
    Pehle Makaan Ko Ander Se Banaya Jata Hai, Baaher Baad Me!
    Isi Tarha Tum Apne Baatin Ko Sawaaron, Baaher (Jaahir) Ko Baad Me!”
    – [Seerat e Ghous e Azam]

  • Momin Ke Dil Me Jab Tak Lalach Ya Makhlooq Me Se Kisi Ka Khauf Baaki Hai, Tab Tak Uska Emaan Qaamil Nahi Ho Sakta”
    – Abdul Qadir Jilani Rehmatullah Alaih

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki –
    “(Aye Ibn-e-Aadam !) Taqdeer Se Ladayi-Zagda Aur Mukhalifat Na Ker Warna Tu Tabah Ho Jayega,
    Tu ALLAH Ke Her Kaam Per Raazi Reh! Jab Dil Durust Hota Hain Tou Nazar Bhi Durust Hoti Hain, Aur Jab Dil Durust Hota Hain To Banda Apne Rab Se Karib Hojata Hain!”.
    – [Seerat e Ghous e Azam]

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki,
    “Saahibo! Roza Rakho, Lekin Jab Iftaar Karo Tou Thodasa Khana
    Apni Iftaari Me Se Faqeeron Aur Gareebon Ko Bhi De Do!
    Akele Mat Khao! Kyonki Jo Shakhs Tanha Khata Aur Dusron Ko Nahi Khilaata,
    Usper Khauf Hain Ki Mohtaj, Faqeer Aur Bhik-Manga Na Ban Jaye!”
    – [Seerat e Ghous e Azam]

  • Hazrat Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai Ki,
    Allah Ta’aala Tumhare Jaahiri Amaal Ko Nahi Dekhta, Wo Tumse Taqwa Aur Ikhlas Chahta Hain, Usney Apni Kitaab(Qalaam) Me Saaf-Saaf Farma Diya Hai Ki
    “Mujh Tak Tumahra Qurbani Ka Gosht Aur Khoon Nahi Pahuchta ! Balki Tumahra Taqwa Pahuchta Hain!”
    – [Seerat e Ghous e Azam]

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai,
    Taqdeer Ke Saaye Me Aaraam Karo,
    Sabr Ko Apna Takiya Banalo,
    Taqdeer Ki Muafiqat Ko Apne Gale Ka Haikal (Locket) Banalo!
    Mote-Mote Kapde Pahen Lene Se Bujurgi Nahi Paida Hoti,
    Asal Bujurgi Tou Rooh Ki Bujurgi Hain Fir Uskey Baad Uska Asar Zaahir Hota Hain!
    – [Seerat e Ghous e Azam]

  • Hazrat Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hain –
    “(Aye Ibne Aadam !) Aisi Jagah Mat Baith Jahan Teri Tabiyat Ka Josh Bhadak Ker
    Khud Tere Hi Emaan Ke Ghar Ko Aag Laga De,
    Jab Teri Tabiyat, Khwaish, Nafs Aur Tere Ander Ka Shaitaan Yeh Sab Bhadak Uthenge
    Tou Wo Deen Ka Safaya Kerdenge!”.
    – [Seerat e Ghous e Azam, Pf-105,106]

  • “Maut Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki Dawaa Hai”. 
    – Hazrat Abdul Qadir Jilani Rehmatullah Alayh

  • “Tanha Shakhs Mehfooz Hai. Har Gunaah Ki Takmeel Do Afraad Se Hoti Hai”.– Sheikh Abdul Qadir Jilani Rehmatullah Alayh

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alaih) Farmate Hai, “Woh Insan Kitna Bad’Naseeb Hai, Jiske Dil Me Jaandaaro Par Reham Karne Ki Aadat Nahi”.
    – [Mazhar e Jamal e Mustafai]

  • Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai – “Tamaam Khubiyon Ka Majmua Ilm Sikhna, Uspar Amal Karna Aur Doosro Ko Sikhana Hai”.

  • Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai..
    “Din To Sirf 3 Hai …
    EK Kal Jo Guzar Gaya …
    Ek Aaj Jo Amal Ka Din Hai…..
    Ek Aane Wala Kal Jiski Bas Ummid Hi Ummid Hai…
    Kaha Nahi Jaa Sakta Ke Wo Uske Liye Aayega Ya Nahi…
    Guzra Huwa Kal Ek Naseehat Hai.
    Aajka Din Ghaneemat Hai.
    Aane Wala Kal Sirf Ek Khayaali Cheez Hai.

  • Hazrate Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alayh Farmate Hain –
    “Qaul Wa Amal Ka Goodah Ikhlas Hain, Qaul Wa Amal Jab Ikhlas Se Khali Ho Jaye Tou Bagair Goodeh Ka Chilka Reh Jayega, Aur Jaante Hi Ho Ki Chilka Siway Jalane Ke Aur Kisi Bhi Kaam Me Nahi Aata!”
    – [Seerat e Ghous e Azam, Pg-105]

  • सरकार गौष ए पाक रदीअल्लाहो अनहो अपनी सोहरा याफ्ता किताब गुन्नियातुततालेबिन इरशाद फरमाते हे की किस्मत के बारे में बुरा भला न कहो की इसकी निस्बत तुम्हारे रब की तरफ से हे.

  • Sarkar Gaus E Aazam (Raziallahu Taa'la Anhu) Farmate Hai, Qayamat Tak Mere Jitne Mureed Honge Wo Baghair Tauba Kiye Nahi Marenge.
    [Bahjatul Asrar, Safa-191]

  • Hazrat Saiyedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Ne Farmaya, Tumhe Wasiyyat Karta Hu Ke Umra(Ameero/Rich) Se Milo Toh Khuddari Aur Waqaar Ke Sath, Fukra Se Milo To Aajizi Aur Fardtani Ke Sath. Aajizi Aur Ikhlas Ko Hamesha Ke Liye Ikhtiyar Karo Kyu Ke Isi Ki Wajah Se Deedar-E-Khudawandi Mumkin Hai Aur Asbaab Mein Khuda Ta'ala Ko Mutham Na Karo.

    Har Haal Me Allah Ke Saamne Apni Bechargi Ka Izhar Karo Aur Apne Bhaiyo Ke Huqooq Ko Is Khayal Se Jaaye Na Karo Ke Tumhare Aur Unke Darmiya Dosti Aur Yagangat(Ittefaq) Hai.[Futuh Al Ghaib, Page-163]

  • Log Keh Rahe Hai Kal Eid Hai Kal Eid Hai Par Meri Eid Tab Hogi Jab Mai Apna Imaan Salamat Lekar Duniya Se Chala Jaaun.
    - Syedna Sheikh Abdul Qadir Jilani Rehmatullah Alaih

  • Hazrat Ghouse Azam Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Ne Farmaya, "Jis Se Bandagaan E Khuda Raazi Ho Usse Allah Bhi Raazi Hoga".

  • Hazrat Ghouse Azam Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Ka Qol Mubarak Hai, "Makhlooq 3 Tarah Ki Hai.
    1. Farishta
    2. Saitan
    3. Insan
    Farishta To Sartaapa Khair Hai Aur Saitan Sartaapa Sar Aur Insan Khair Or Sar Dono Ka Majmu'a. Jis Par Khair Ghaalib Ho Woh Farishto Se Ja Milta Hai Aur Jis Par Sar Ghalib Ho Woh Saitan Se".

  • "Darastul ilmi Hatta Sirtu Qutban" Mein ilm Hasil Karta Chala Gaya, Yahan Tak Ke Mein Qutub Ban Gaya!
    - Sayyiduna Shaykh Abdul Qadri Jilani R.A

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.