Farman e Hazrat Ali R.A | Aqwal e Zareen | Qol Mubarak | Islamic Quotes

ShereKhudaHazratAli.com
Farman e Hazrat Ali R.A (Qol Mubarak-Imam Hazrat Ali Quotes & Sayings): Insani Kalam Mein Itni Taaqat Nahi Ke Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu Ki Shaan Wa Ilm O Hikmat Bayan Kar Sake, Imam Ali Radiallahu Anhu Ke Maqam Or Ilm Ka Aap Isse Andaza Laga Sakte Hain Ke Jiske Bare Main Hamare Pyare Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa Jane Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hai Ke "Main Ilm Ka Shaher Hoon Aur Ali Uska Darwaja" Or Ek Jagah Farmate Hain Ke "Mai Hikmat Ka Ghar Hoon Aur Ali Uska Darwaja" Or Ek Jagah Farmate Hain Ke "Beshak, Ali Mujhse Hai Aur Main Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai” Or Ek Jagah Farmate Hain Ke "Jis Ka Mein Mola Hoon Us Ka Ali Maula Hai.”

Aaj Usi Khalifa E Rasool, Ameer Ul Momineen, Shere Khuda, Haider E Karrar, Fateh Khyber, Aaqa Wa Moula Mola Mushkil Kusha Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ke Chand Farameen/Farman/Qol/Koul Paish Karne Ka Sharf Hasil Kar Raha Hoon. Allah Ta'ala Se Dua Hai Ke Kehne Sunne Se Zyada Hum Sabko Amal Ki Naik Taufik Ata Kare..

Best Islamic Shere Khuda Aaqa Wa Mola Imam Hazrat Ali Ibn Abi Talib Quotes & Sayings In Roman Urdu, Hindi And English | Farman e Hazrat Ali R.A | Aqwal E Zareen In Urdu | Qol Mubarak In Urdu:


Learn Imam Ali Quotes in Roman Urdu Hindi Including with Imam Ali Sayings, Mola Ali Ki Baatein, aqwal hazrat ali, farman hazrat ali, Ahle Bayt Image and more.

Imam Ali Quotes And Sayings in Roman Urdu Hindi

Wise Sayings of Imam Ali Radiallahu Anhu

  1. Main JANNAT Ke Shaukh Me Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi TIJARAT Hai. Mein DOZAKH Ke Khauf Se Bhi Ibadat Nahi Karta Kyunki Yeh Ibadat Nahi GULAMI Hai. Main Ibadat Sirf Isliye Karta Hoon Kyunki Mera Rab IBADAT KE QABIL HAI Aur Koi Nahi.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  2. Agar Raasta Khubsurat Hai Tu Pata Karo k Kis Manzil Ko Jata Hai, Lekin Agar Manzil Khubsurat Hai Tu Raste Ki Parwah Mat Karo.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  3. Daulat Milne Par Log Badalte Nahi, Balki Be-Naqaab Hote Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  4. Yeh Na Socho Ki ALLAH Dua Fauran Qabool Kyun Nahi Karta, Yeh Shukr Karo Ki ALLAH Hamare Gunahon Ki Saza Fauran Nahi Deta.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  5. Mujhe Dua Qabool Hone Ki Fikr Nahi, Mujhe Sirf Dua Maangne Ki Fikr Hai. Kyunki Jab Mujhe Dua Maangne Ki Taufeeq Hogayi Hai To Qabooliyat Bhi Uske Sath Hasil Hojayegi.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  6. Rab Se Jab Bhi Maango, Accha Mukaddar Maango, Mene Bade Bade Akalmando Ko, Mukaddar Walo Ke Aage Zhukte Dekha Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  7. Jis Tarah Shabnam Ke Qatre Murjhaye Hue Phool Ko Taazgi Dete Hai, Usi Tarah Acche Alfaz Mayus Dilon Me Roshni Bharte Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  8. Acche Logon Ki Ek Ya Nishani Bhi Hai Ki Unko Yaad Rakhna Nahi Padta Wo Yaad Reh Jate Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  9. Insan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida He Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghusse Ki Halat Main Dekho.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Imam Ali Quotes in Roman Urdu

  1. Insaan Apni Touheen Maaf To Kar Sakta Hai Par Bhool Nahi Sakta.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  2. Insan Ka Fuzool Shauq Me Waqt Kho Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ki ALLAH Us Se Naraz Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  3. Agar Tum Pahaad Se Girey To Ye Tere Liye Itna Nuqsan-Deh Nahi Jitna Ke Tu Kisi Ki NAZRON Se Gir Jaye.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  4. Gareeb Ki Madad Karo, Uska Dil Na Dukhao, Aur Uska Ehsas Karo. Kyu K Ghareeb Hone Mein Zyada Waqt Nai Lagta ..!
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  5. Kisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho, Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Me Ghuroor Ka Beej Bo De.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  6. Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  7. Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatra Ho To Jaan De Kar Deen Bachao..
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  8. Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  9. Apne Din Ka Aaghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Radd Nahi Ki Jayegi Aur Acchi Baat Batana Bhi Sadqa Hai.
    - Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Imam Ali Quotes About Life (Radiallahu Anhu)

  1. Zindagi Ko Zaruriyat Ki Taraf Le Jao Khwahishat Ki Taraf Nahi. Kyunki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hoti Jati Hai Aur Khwahishat Baadshahon Ki Bhi Adhoori Reh Jati Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  2. Zindagi Ustaad Se Bhi Zyada Sakht Hoti Hai, Ustad Sabaq De Kar Imtehan Leta Hai Aur Zindagi Imtehan Le Kar Sabaq Deti Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  3. Zindagi Ki Har Mod Pr Sulah Karna Sikho Kyu Ke Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murde Ki Pehchaan Hoti Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  4. Yeh Zindagi Do Din Ki Hai: Ek Din Tumhare Haq Me Aur Ek Din Tumhare Khilaf. Jis Din Tumhare Haq Me Ho Us Din Ghuroor Mat Karna Aur Jis Din Tumhare Khilaf Ho Us Din Sabr Karna.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  5. Insan Zindagi Se Mayoos Ho To Kamyabi Bhi Naakami Nazar Aati Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  6. Tabiyat ki Narmi aur Sakhawat insan ko Dushmano ke dilon main bhi Mehboob bana deti hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

Aqwal E Zareen Hazrat Ali About Life

  1. Insan Bhi Kya Cheez Hai...
    Daulat Kamane Ke Liye Apni Sehat Kho Deta Hai. Phir Sehat Ko Wapis Pane Ke Liye Apni Daulat Khota Hai.
    Mustaqbil Ko Soch Kar Apna Haal Zaya Karta Hai, Phir Mustaqbil Me Apna Maazi Yaad Karke Rota Hai.
    Jeeta Aise Hai Jaise Kabhi Marega Hi Nahi, Aur Marr Aise Jata Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  2. Sabse Bada Gunaah Wo Hai Ho Karne Wale Ki Nazar Me Chota Ho.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  3. Guftgoo Aisi Chez hy Jiski wajah se Insan : 
    1. Ya to Dil me Utar Jata hai. 
    2. Ya Phir Dil se Utar Jata hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  4. Agar Kisi ka Zarf Aazmana ho to use Zyada Izzat Do, Wo Aala Zarf Hua to Aap ko aur Zyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  5. 3 Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai.
    Budhape Mein Aulaad,
    Musibat Mein Dost
    Aur Ghurbat Me Biwi.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  6. Har Kisi Ko Itni Ehmiyat Do Jitni Wo Tumko Deta Hai. Agar Kam Doge Ghamandi Kehlaoge Aur Agar Zyada Doge Khud Ghir Jaoge.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu
Top Hazrat Ali Quotes In Urdu Hindi Including With Hazrat Ali Sayings, Islamic Quotes By Hazrat Ali, Hazrat Ali Qol, Holy Shrine of Hazrat ali which is located in najaf ashraf, iraq
Hazrat Ali Quotes in Hindi Urdu


Hazrat Ali Quotes about Friendship (Radi Allahu Anhu)

  1. Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Marr Jana hai.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  2. Jis Darakht Ki Lakdi Narm Hogi, Uski Shakhein Zyada Hogi. Narm Tabiyat Ikhtiyar Karo Taaki Tumare Dost Zyada Ho.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  3. Wo Log kisi k Nahi hote Jo Dost or Rishty ko"Libas" ki tarha badalte hain.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  4. Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  5. Bura Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Apke Haath Kale Kar Dega.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  6. Khaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  7. Dost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  8. Mujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  9. Insan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  10. Musibat Me Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Konsa Dost Chhod Ke Jayega.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

Friendship Quotes by Hazrat Ali RadiAllahu Anhu

  1. Hargiz Aise Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Karo Jo Tumhari Buraiyon Ko Yaad Rakhe Aur Khoobiyon Ko Bhool Jaye.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  2. Jahan Sadqat Aur Khuloos Nazar Aaye Waha Dosti Ka Haath Badhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Behtareen Saathi Hai.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  3. Dosti Ki Zeenat Ek Doosre Ki Baat Ko Bardasht Karna Hai. Be-Aib Dost Talaash Mat Karo Warna Akele Reh Jaoge.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  4. Lambi Dosti Ke Liye Do Cheezon Par Amal Karo. Apne Dost Se Gusse Me Baat Mat Karo Aur Apne Dost Ki Gusse Me Kahi Hui Baat Dil Pe Mat Lo.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  5. Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Pucha Gaya 'Dunia Ka Sab Se Ameer (Rich) Shakhs Kaun he ?Jawab Mila, 'Dunia Ka Ameer Shakhs Woh he Jis Ke Dost Mukhlis Hain. Duniya Usko Yateem Samajhti Hai Jiske Maa Baap Na Ho, Lekin Main Yateem Usko Samajhta Hoon Jiske Acche Dost Na Ho.

  6. Lakhon Ko Dost Banana Koi Badi Baat Nahi, Badi Baat Yeh Hai Ki Aisa Dost Banao Jo Tumhara Sath Us Waqt De Jab Lakhon Tumhare Dushman Ho.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  7. Kabhi Apne Dost ki Sacchai ka Imtehan na lo, Kya Pata Us Waqt wo Majboor ho aur Tum Ek Accha Dost kho Baitho.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  8. Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Par Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banjaye.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  9. Agar Dost Banana Tumhari Kamzori Hai To Tum Duniya Ke Sabse Taqtwar Insaan ho.
    - Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

Hazrat Ali Ibn Abi Talib Quotes about Success (Radiallahu Anhu)

  1. Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  2. Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

  3. NAMAZ ki Fikr Apne Upar Farz Karlo, Khuda Ki Qasam Duniya Ki Fikr Se Azad Hojaoge Aur Kamyabi Tumhare QADAM Choomegi.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu

Hazrat Ali Quotes about Death (Radi Allahu Anhu)

  1. Insaan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Nahi Jata Balki Gunah Par Mutmaeen Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Jata Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  2. Sab Se Badi Bahaduri Sabr Karna Hai.
    Sub Se Badi Bala Na Umeedi Hai
    Sab Se Badi Tafreeh Masrufiyat
    Sub Se Bada Ustad Tajruba
    Sab Bada Faida Naik Aulad
    Sub Bada Tohfa Dar Guzar Karna
    Sab Bada Sarmaya Khud Etmadi
    Aur
    Sub Se Bada Raaz Maut Hai ...!
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  3. Insan Apni Zindagi Mein har chiz ke piche bhagega magar do(2) chize uska picha karegi. (1) Uski Rozi (2) Uski Maut.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  4. Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Jo Gaali Tum Gusse Mein Ya Mazak Mein Dete Ho Woh Tumhari Qabr Ke Liye Ek Bicchu Ban Jata Hai.

Imam Ali Quotes on Knowledge

  1. KHAMOSH Raho Ya Aesi Bat Kaho Jo KHAMOSHI Se Behtar Ho Ae Jawano: Adab k Zariye Apni izzat aur ILM Ke Zariye Apne Deen ki Hifazat karo.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  2. Hazrat Ali Radiallahu Ta'ala Anhu Se Kisi Ne Poocha "ILM Kya Hai?"
    To Aap Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya, "Agar Koi Tum Pe Zulm Kare To Use Mua'af Kar Do, Ager Ta'aluq Torey Tou Jod Lo, Agr Koi Tumhai'n Mehroom Karey To Usey Nawaz Do, Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo, Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho" Ye "ILM" Hai.

  3. Log Tumhari Aqal Se Tumhari Shaksiyat Ka Wazan Karte Hai. Lehaaza Tum Apni Aqal Ka Wazan Ilm Se Badhao.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  4. Jab Insaan Ki Aqal Mukammal Ho Jati Hai, To Uski Guftagu Mukhtasar Ho Jati Hai.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  5. Khuda Ka Khauf Aqal Ki Buniyaad Hai.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  6. (Aye Ibne Aadam)! Ilm Haasil Kar, Ilm Dil Ko Roshni Deta Hai, Doulat Ki Laalach Se Bach, Doulat Ki Laalach Andha Bana Deti Hai.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu is the 4th (Fourth) Khalifa, Cousin and Son-in-Law of the Prophet Muhammad Sallallahu Alaihiwasallam. Imam Ali was one of the early followers of Islam, becoming a Muslim as a child.
Ali Ibn Abi Talib Quotes

Hazrat Ali Quotes in Hindi

  1. Na Insaan Apni Marzi Se Paida Hua Aur Na Apni Marzi Se Marega. Phir Wo Inke Beech Ka Arsa Apni Marzi Se Kyun Guzarna Chahta Hai ??
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  2. Insan ke Aansu Us Waqt Muqaddas Hote Hai, Jab Wo Kisi Aur Ki Takleef Mehsus Kar Ke Nikle.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  3. Duniya Me Kabhi Kisi Acche Insan Ko Talaash Mat Karo, Balki Khud Acche Ban Jao. Ho Sakta Hai Ki Tumhare Is Amal Se Kisi Aur Ki Talaash Khatam Ho Jaye.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  4. Tum Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  5. Apno ko Hamesha Apne Hone ka Ehsaas Dilate Raho warna Waqt Aapke Apno Ko Aap ke Bina Jeena Sikha Dega.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  6. Jab Bhi Farig Waqt Mile To Apni Maa Ke Paas Ja Ke Baitha Karo, Kyunki Maa Ke Saath Guzara Hua Waqt Qayamat Ke Din Nijat Ka Baa'is Banega.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  7. Har Woh Din Tumhare Liye Eid Hai Jis Din Tum Apni Maa Se Muskura Ke Baat Karo.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

  8. Agar Koi Accha Lage To Us Se Kam Mila Karo, Agar Koi Zyada Accha Lage To Us Se Sirf Dekha Karo Aur Agar Koi Dil Me Utar Jaye To Use Sirf Yaad Kiya Karo.
    - Imam Ali Radi Allahu Anhu

Hazrat Ali Sayings In Roman Hindi Urdu English

  1. 4 Khaleefa ke 4 Aqwal:
    "Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar k Bhool jaye".
    (Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta'ala Anhu)

    "Maut ko humesha Yad rakho, magr Maut ki Arzoo kabhi na karo."
    (Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta'ala Anhu)

    "Insan Zuban k parde me Chupa ha"
    (Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta'ala Anhu)

    "Humesha Such bolo ta k Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare"
    (Maula e Kainaat Mola Ali Radiallahu Ta'ala Anhu)

  2. Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Ho Sakta Hai Wo Tumhe Aise Chahta Ho Jaise Marne Wala Zindagi.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  3. Log Dukh Nahi Dete, Logon Se Waabasta Umeedein Dukh Deti Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  4. Akhlaq Aik Dukan Hai, Aur Zuban Uska Tala, Tala Khulta Hai To Pata Chalta Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Ko'aly (Koila) Ki.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  5. Akhlaaq Ki Keemat Kuch Nahi Deni Padti Hai. Magar Us Se Har Cheez Khareedi Ja Sakti Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  6. Agar Log Namaz-e-Fajr Ka Sawab Aur Fazeelat Ko Jaan Le To Raat Ko Is Khauf Se Sona Chhod Denge Ki Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Choot Jaye.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  7. Apna Behatreen Waqt Namaz Ke Liye Muqarrar Kar Do, Kyunki Tumhare Sab Kaam Tumhari Namaz Ke Baa'is Qubool Honge.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

  8. Sabse Achcha Waqt Woh Hai Jo Namaz Mein Guzre.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu

Hazrat Ali Quotes in Urdu

  1. Sarkar Saiyedna Maula Ali Radiallahu Anhu Se Kisi Ne Pucha Ya Mola Ali Faraayiz(Farzo) Ke Baad Sabse Afzal Amal Konsa Hai? Sarkar Maula E Kainat Syedna Ali Murtaza Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Faraiz Ke Baad Sabse Behtar Amal Bhuko Ko Khana Khilana Hai.

  2. Aye Insan Agar Tujhe Yeh Maloom Ho Jaye Ki Sajde Ke Dauran Tujh Par Kitni Rehmatein Nazil Hoti Hai To Tu Kabhi Sajde Se Sar Uthayega Hi Nahi.
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

  3. Apni Kismat Pe Wo Rota Hai Jo Sajde Me Nahi Rota.
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

  4. Namaz Padhne Ke Dauran Tumhari Kaifiyat In Do Me Se Ek Honi Chahiye. (TUM ALLAH KO DEKH RAHE HO YA PHIR ALLAH TUMHE DEKH RAHA HAI)
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

  5. Jab Log Kisi Ko Pasand Karty Hain To Uski Buraiyan Bhol Jatay Hain Aur Jab Kisi Say Nafrat Karty Hain To Uski Achaiyan Bhool Jatay Hain.
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

  6. Nafrat Gunah Se Karo, Gunah Karne Wale Se Nahi. Shayad! Tumhari Mohabbat Me Aa Kar Wo Gunah Karna Hi Chhod De.
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

  7. Wo Gunah Jis Ka Tumhe Ranj Ho, ALLAH Ke Nazdeeq Us Neki Se Behtar Hai Jis Se Tum Me Ghuroor Paida Ho Jaye.
    - Mola e Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu

Mola Ali Quotes and Sayings in Roman Urdu, Hindi, English

  1. Gunaah Jawaan Ka Bad Hai Magar Budhe Ka Badtar.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

  2. Logon k Dilon Mein Apna Maqam is Tarah Bana Lo K Mar Jao to Tumhare Liye Royain or Zinda Ho To Tumhen Milna Pasand Karein.- Mola Ali Radiallahu Anhu

  3. Kisi Ke Khuloos Aur Pyar Ko Uski Bewakoofi Mat Samjho, Warna Kisi Din Tum Khuloos Aur Pyar Talaash Karoge Aur Log Tumhe Bewakoof Samjhenge.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

  4. Jo Shakhs Hamesha Tumhara Bhala Chahe, Uska Udas Hona Tumhare Liye Fikr Ki Baat Hai.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

    Aqwal E Zareen Hazrat Ali, Hazrat Ali Ki Nasihat, Quotations of Hazrat Ali In Urdu Hindi For Your WhatsApp, Facebook and Social Media Status
    Aqwal Hazrat Ali
  5. Koi Tumse Bhalai Ki Umeed Rakhe To Use Mayus Mat Karo, Kyunki Logon Ki Zaruraton Ka Tumse Waabasta Hona Tum Par Allah Ki Inayat Hai.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

  6. Koi GUNAH Lazzat k liye mat karna q k Lazzat khatam ho jayegi GUNAH baqi rah jaega, aur koi NEKI taklif ki waja se mat chodna q k taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjayegi !
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

  7. Tanhai Me Gunaah Se Bacho, Kyunki Iska Gawah Khud Allah'taala Hota Hai.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

  8. Ibn-e-Aadam! Jab Gunahon ke Bawajood Allah ke Naimatain Musalsal Tujhe Milti Rahe to Hoshiyaar ho Jana, Ke Tera Hisaab Qareeb aur Sakht Tareen Hai.
    - Mola Ali Radiallahu Anhu

Aqwal E Zareen in Urdu by Hazrat Ali

  1. Jisne Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki Usne Usse Sawar Diya aur Jis ne Kisi Ko Sab Ke Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazeed Bigaad Diya.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  2. Log Pyar Ke Liye Hote Hai Aur Cheezein Istemaal Ke Liye. Baat Us Waqt Bigadti Hai Jab Cheezon Se Pyaar Aur Logon Ko Istmaal Kiya Jaye.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  3. Aitbaar Aur Pyar Do Aise Parindey Hai Agar In Me Se Ek Udd Jaye To Doosra Khud Hi Udd Jata Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  4. Yeh Duniya Kitni Ajeeb Hai Imaandar Ko Bewaqoof, Be-Imaan Ko Aqalmand, Aur Behaya Ko Khoobsurat Kehti Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  5. Agar Duniya Me Sukoon Hota To ALLAH Ko Kaun Yaad Karta. Sukoon To Sirf Unlogon Ke Paas Hai Jo ALLAH Ki Raza Ko Apni Raza Samajhte Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  6. Koshish Karo Ki Tum Duniya Me Raho, Duniya Tum Me Na Rahe. Kyunki Kashti Jab Tak Pani Me Rehti Hai, Khoob Terti Hai. Lekin Jab Pani Kashti Me Aa Jata Hai To Wo Doob Jati Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  7. Duniya Mein Behtreen Insaan Wo Hai Jiske Liye Koi Roye Aur Badtareen Insaan Wo Hai Jiski Wajah Se Koi Roye.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  8. Agar tum kisi ko dhokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

Quotations in Urdu by Imam Ali Ibn Abi Talib

  1. Agar Tumhain Yaqeen Ho Jaye ke Tumhara Rizq ALLAH K Paas Hai to Phir Rizq Ki Nahi ALLAH ki Talash Karo Jis K Paas Tumhara Rizq Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  2. Rizq Ke Peeche Apna Imaan Kharab Mat Karo. Kyunki Naseeb Ka Rizq Insaan Ko Aise Talaash Karta Hai Jaise Marne Wale Ko Maut.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  3. Din Ko Rizq Talaash Karo Aur Raat Ko Use Talaash Karo Jo Tumhe Rizq Deta Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  4. Agar Rizq Aqal-o-Danish Se Milta To Jaanwar Aur Bewakoof Zinda Hi Na Rehte.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  5. Jhoothe Ki Sabse Badi Saza Yeh Hai Ki Uske Sach Ka Bhi Aitbaar Koi Nahi Karte.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  6. ALLAH ke Nazdeek Sabse Zyada Gunahgar Cheez Jhoot Bolne Wali Zaban Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  7. Tumhara Nafs Bohot Keemti Hai. Ise Jannat Se Kam Kisi Keemat Pe Mat Bechna.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  8. Tumhare Nafs ki Keemat Jannat he Apne Nafs Ko Kabhi isse Kam Keemat Main Na Bechna.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  9. Sabse Zyada Kareeb Aur Bada Dushman Apna Nafs Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  10. Jab Aankhein Nafs ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjaam Se Andha Ho Jata hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

  11. Kisi ko Tum Chaho Aur Woh Tumhe Thukra De To Yeh Uski Badnaseebi hai. Aur Agar Koi Tumhe Na Chahe aur Tum Use Zabardasti Apna Banana Chaho To yeh Tumhare Nafs Ki Zillat Hai.
    - Imam Ali Radiallahu Anhu

Mola Ali Ka Farman

  1. Golden Words By Hazrat Ali :-
    1 Khalis Dosti Ek Accha Rishta Hai.
    2 Agar Tum Badshah ho Tab Bhi Apne Walid or Ustad Ke Taazeem k Liye Khade Ho Jao.
    3 Na Umeedi Se Rooh Mar Jati Hai.
    4 Zuban Esa Darinda Hai Jise Agar Khula Chod Diya Jaye To Phaad khaye.
    5 Neki Ka Iradah Hashra Ki Aag ko Bujata Hai.
    6 Jo Mile Usi Me Se Do.
    7 Padoshiyo Ke Bachcho Par Nawaazish Aur Maherbani Karo.
    8 Jitni Gairat Hogi Utni Hi Paak Daamani Hogi.

  2. Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

  3. Insaan Ka Kirdaar Uski Zaban Ke Neeche Dafan Hota Hai. Agar Kisi Shakhs Ke Kirdaar Ka Pata Lagana Ho To Use Sakht Gusse Ki Haalat Me Dekho.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

  4. 5 Cheezon ki 5 Jagah Par Hifazat Karo:
    1-Mehfil Me Zaban Ki
    2-Bazar Me Aankh Ki.
    3-Namaz Me Dil Ki
    4-Dastarkhan Par Pet Ki.
    5-Nigah Me Haya Ki
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

  5. Jab Insaan Narazgi Khatam Karne Me Pehl Karta Hai To Iska Yeh Matlab Nahi Ki Wo Ghalat Tha, Iska Matlab Hai Ki Use Aan Se Zyada Rishta Aziz Hai.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

  6. Hamesha Apni Choti Choti Ghaltiyon se Bachne ki Koshish karo, kyunki Insaan Pahadon se Nahi Balki Chote Chote Pattharon se Thokar Khata Hai.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

    Beautiful Holy Shrine of Imam Ali Radiallahu Anhu Which Is Located In Najaf Ashraf, Iraq Including With 2 Liner Best Imam Ali Quotes
    Farman Hazrat Ali
  7. Tumhari Niyyat ki Aazmaish us Waqt hoti hai? Jab tum kisi aise Insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

  8. Insaan Ko Acchi Niyyat Pe Wo Inaam Milta Hai, Jo Use Acche Aamal Par Bhi Nahi Milta.
    - Moula Ali Radi Allahu Anhu

Maula Ali Quotes

  1. Agar Tumhe Ek Doosre Ki Niyyaton Ka Pata Chal Jaye, To Tum Ek Doosre Ko Dafnana Hi Chhod Doge.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  2. A Wise Man First Thinks and Then Speaks and a Fool Speaks First and then Thinks.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  3. Jab Main Dastarkhan Par Do Rang Ke Khane Dekhta Hoon to Main Mayus Ho Jata Hoon ki Aaj Phir kisi ka HAQ Mara Gaya.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  4. Pareshani Khamosh Hone Se Kam, Sabr Karne Se Khatam Aur Shukr Karne Se Khushi Me Badal Jati Hai.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  5. Sabr Ki Do Surtein Hai. Jo Na-Pasand Ho Use Bardasht Karna Aur Jo Pasand Ho Uska Intezar Karna.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  6. Kabhi Bhi Apni Jismaani Taaqat Aur Daulat Par Bharosa Na Karna Kyunki Bimaari Aur Ghurbat Aane Me Der Nahi Lagti.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  7. Tum Gulaab Ka Phool Ban Jao, Kyunki Yeh Phool Uske Haathon Me Bhi Khushboo Chhod Jata Hai Jo Ise Masal Kar Phenk Deta Hai.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

  8. Momin Woh Nahi Jiski MEHFIL Paak Hai, Momin Woh Hai Jiski TANHAI Paak Hai.
    - Maula Ali Radi Allahu Anhu

Mola Ali Ke Aqwal

  1. Agar Kisi Ko Yeh Ghuroor Ho Ki Wo Tumse Jitni Martaba Naraz Ho To Tum Use Mana Loge To Behtar Hai Tum Uska Ghuroor Tootne Na Do.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  2. Jo Tumhe Khushi Me Yaad Aaye Samajhlo Tum Us Se Mohabbat Karte Ho. Aur Jo Tumko Gham Me Yaad Aaye Samajhlo Wo Tumse Mohabbat Karta Hai.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  3. Jab Tum Kisi Se Mohabbat Karo To Us Se Zara Bhi Mohabbat Na Maango, Kyunki Tum Ne Mohabbat Ki Hai Tijarat Nahi.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  4. Jo Apne Aap Ko Mohtaaj Banata Hai Wo Hamesha Mohtaaj Hi Rehta Hai.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  5. Azaadi Ki Hifazat Na Karne Wala Ghulami Me Giraftar Ho Jata Hai.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  6. Lambi Umeedon Se Parhez Kiya Karo, Kyunki Yeh Doosri Neimaton Ko Tumhari Nazar Me Chota Bana Deti Hai Aur Tum Unki Shukr Guzari Nahi Karte.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  7. Agar Tum Kisi Ko Chota Dekh Rahe Ho To Tum Use Door Se Dekh Rahe Ho Ya Phir Ghuroor Se.
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

  8. Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki: "Main Poori Zindagi Me Sirf Ek Raat Sukoon Se Soya Hoon".Poocha Gaya "Wo Kaunsi"? Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu ne farmaya: "Jis Din Huzur Alyhis-Salam Ne Farmaya Ki Aye Ali! Kal tumhe (Amanate) Maal-e-Ghanimat Taqseem Kar Ke Aana Hai. Kyunki Sirf Us Raat Mujhe Yaqeen Tha Ki Main Subha Zinda Uthunga"
    - Mola Ali RadiAllahu Anhu

Farman Hazrat Ali

  1. Kisi Ko Paane ki Tamanna Mat Karo, Balki is Qabil Ho jao Log Aapko Paane Ki Tamanna Kare.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  2. Agar Kisi Par Ehsaan Karo To Use Doosron Se Bhi Chupaya Karo.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  3. Tum Kala Libaas Mat Pehna Karo, Kyunki Beshak Yeh Fir’on Ka Libaas Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  4. Mushkilat Hamesha Behtareen Logon Ke Hisse Me Aate Hai. Kyunki Wo Usko Behatreen Tareeqe Se Anjaam Dene Ki Salahiyat Rakhte Hai.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  5. Kisi Se Mohabbat Karne Se Pehle Apne Dil Me Qabristan Banalo, Ta Ki Uski Choti Choti Ghaltiyon Ko Dafna Sako.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  6. Hazrat Ali Bin Abi Talib (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai...
    » Uss Waqt Tak Koi Faisla Na Karo Jab Tak Tumhare Khoon Ki Gardish Aur Dil Ke Dharkan Pur-Sukuun Na Ho Jaye.
    » Jisne Tujhe Tere Aib Bataye Agar Tujhe Aqal Ho Tou Beshak Usne Tujh Par Ehsaan Ki Inteha Kardi.
    » Insan Ka Apne Dushman Se Inteqam Ka Sab Se Accha Tarika Ye Hai Ki Wo Apni Khubiyo Me Izafa Kare.
    » Jo Shakhs Tumhara Ghussa Bardasht Kar Le Aur Sabit Qadam Rahe, Wohi Tumhara Sacha Dost Hai.

  7. Kisi Per Ehsan Karo Tou Uss Ko Chupao Agar Tum Per Koi Ehsan Kare Tou Usey Jahir Karo.
    - Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu

  8. Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hai Ke Gunaho Se Taubah Ka Faida Ye Hai Ki Sazaa Se Najat Milti Hai, Buri Aadato Se Paak Hone Ka Faida Ye Hai Ki Jannat Aur Usme Unche Darjat Milte Hai. Mehboob (Huzoor) Ki Khushi Ke Sath Nazdiki Ka Faida Ye Hai Ki Khusi Ke Sath Allah Ta’ala Ke Didar Ki KhushKhabri Milti Hai, Farishto Ki Ziyarat Ka Mauka Milta Hai, Buzurgi Me Barkat Hoti Hai” 
    – (Tohfa-e-Najat, Part-9 Page-87)

Hazrat Ali Ka Farman Hindi Me

  1. Boori Aadat Ki Taaqat Ka Andaza Tab Hota Hai Jub Usey Chodney Ki Koshish Ki Jaati Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

  2. “Agar Log Subah Ki Namaz Ka Sawaab Aur Fazilat Ko Jaan Len To Raat Ko Iss Darr Se Sona Chhorh De Ke Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Reh Jaye.”
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

  3. Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) Farmate Hai Ke :
    “Jab Tumhe Mehsoos Ho Ke Tumhari Tabiyat Ko Zikr-e-Khuda Se Mohabbat Ho Gayi Hai, Tou Jaan Jao Woh (Allah Ta’ala) Tumhe Pasand Karta Hai”.

  4. (Aye Ibne Aadam!) Zaahir Par Na Ja! Aag Dekhne Me Surkh(Lal) Lagti Hai Par Uska Jalaya Hua Sia Ho Jata Hai, Pus Duniya Bazaahir Khubsurat Aur Uska Jalaya Hua Badd’surat Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

    Beautiful Tomb Image of Great Warrior and Leader Of Islam Hazrat Ali With Top Best Quotations Of Mola Ali in Hindi Urdu
    Hazrat Ali Qol
  5. Jab Tum Sukoon Ki Kami Mehsoos Karo Tou Apne Rabb Ki Bargaah Me Taubah Karo, Kyun Ke Insan Ke Gunaah Hii Hai Jo Dil Ko Bechain Rakhte Hain.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

  6. Hazrat Ali (Radi’Allahu Anhu) Se Pucha Gaya Ke Allah Qayamat Ke Din Ek (1) Hee Waqt Saari Kainaat Se Hisaab Kaise Lega ?
    Hazrate Ali (Radi’Allahu Anhu) Ne Farmaya – Jaise 1 Hee Waqt Me Saari Kainaat Ko Rizq De Raha Hai.

  7. Jiski Nigahain Azad Ho Uss Ka Dil Ranjeeda Hota Hai, Jo Baar Baar Azadaana Nigaah Karta Hai Wo Hamesha Hasrato Me Mubtla Rehta Hai.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

  8. “Soorat” Aur “Seerat” Me Sab Se Bada Farq Yeh He Ke Soorat “Dhoka” Deti He Jab Ke Seerat “Pehchaan” Karaati He.
    - Hazrat Ali Ibn Abi Talib Radiallahu Anhu

Hazrat Ali Ka Koul

  1. Jo ‘Khuda’ Ko Naraaz Kar Ke Logo’n Ki Khush-Nudi Haasil Karna Chaahey Tou ‘Khuda’ Uss Ko Logo’n Par Hi Chod Deta Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  2. Doosron K "Mahel" Mein Gulami Karne Se Behtar Hai K Insan Apni Jhonpdi Main Hukumat Kare.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  3. Insaniyat Bahot Bada Khazana Hai Usey "Libaas" Mein Nahi "Insan" Mein Talash Karo.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  4. Chote chote gunaho se bacho, kyun ke yeh chote chote gunah hi bade bade gunaho ki taraf bulate hain.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  5. Aankh Se Aansoo Ka Jari Na Hona Dil Ki Sakhti Ki Wajah Se Hai, Aur Dil Ki Sakhti Gunaho Ki Wajah Se Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  6. Khauf E Ilahi Gunaho Se Dur Rakhne Ka Achcha Zariya Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  7. Aankhen saitan ki jaal hai. woh bahot jald mutassir ho jati hai aur jaldi hi haar maan leti hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  8. Ae Allah ! Main tujhse dua sirf isliye mangta hoon ke tera hukm hai warna main kaun hota hoon tujhe mashwara denewala ke mere liye kya behtar hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  9. Zindagi ki asal khoobsurti yeh nahi ke tum kitne khush ho balke zindagi ki asal khoobsurti toh yeh hai ke dusre tumse kitna khush hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

Hazrat Ali Ki Naseehat

  1. Khushnaseeb woh nahi jiska naseeb acha hai, balke khushnaseeb woh hai jo apne naseeb par khush hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  2. Jab Tak Tumhare Naseeb Yaawar Hai, Tumhare Aib Dhake Hue Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  3. Jab dua aur koshish se kaam na bane to faisla allah par chod do. woh apne bando ke haq mein behtar faisla karne wala hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  4. Insan kis se mohabbat zyada karta hai ? Aulad ke marne par aadmi ko nind aa jati hai magar maal ke cheen jane par nind nahi aati.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  5. Duniya Main Jo Ameer Hai Aur Khairat Nahi Karte, Aakhirat Main Woh Sabse Zyada Gareeb Honge.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  6. Sharab Ke Nashe Mein Chur To Kuch Der Mein Hosh Me Aajata Hai, Magar Takabbur Aur Gaflat Me Pade Logo Ko Hosh Mein Aane Mein Bahot Der Lagti Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  7. Agar Duniya Fateh Karna Chahte Ho To Apni Awaz Mein Narm Lehza Paida Karo. Iska Asar Talvar Se Zyada Hota Hai.
    - Hazrat Imam Ali Radi Allahu Anhu

  8. Amirul Momineen Moula E Kainat Hazrat Syedna Ali E Murtaza Radiallahu Anhu Farmate He Ke “Agar Allah Ta’ala Ko Ummat E Mohammadi Sallallahu Alayhi Va Sallam Par Azaab Karna Maqsood Hota To Inko Ramzan Aur Surah Ikhlas (Surah Qul Huwallah Sharif) Hargiz Inayat Na Farmata.”
    [Nuzhatul Majaalis]

Maximum Share An Inspirational Hazrat Ali Quotes and Sayings In Hindi | Imam Ali Life Quotes Hindi, Urdu, English | Islamic Messages

Related Inspirational Islamic Quotes :

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.