Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics Complete Salam

ShereKhudaHazratAli.com
Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rehmatullah Alaih ka likha hua pyara kalaam Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics. Yeh woh Salam he jo aaj puri duniya mein sabse zyada padha jata hai.

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics - Complete Salam written by Kalam E Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi R.A | Full Salato Salam Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Mehre Charkhe Nubuwwat Pe Roshan Durood
Ghul E Baagh E Risaalat Pe Laakhon Salaam

Shahre Yaare Iram Tajdar E Haram
Nou Bahaare Shafa'at Pe Lakhon Salam

Shab e Ashra Ke Dulha Pe Daa'im Durood
Nausha E Bazme Jannat Pe lakhon Salaam

Door o Nazdeek Ke Sunne Wale Woh Kaan
Kaan e Laal e Karaamat Pe Lakho Salaam

Jis Ke Maathe Safa'at Ka Sehra Raha
Us Jabeen E Sa'adat Pe Lakhon Salaam

Jis Ke Sajde Ko Mehraab e Kaba Jhuki
Unn Bhavo Ki Latafat Pe Lakhon Salam

Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aagaya
Us Nigah e Inaayat Pe Lakhon Salaam

Jis Se Taarek Dil Jagmagaane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Lakhon Salam

Wo Zabaa(n) Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Taski Se Rote Hue Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Lakhon Salam

Jisko Baare Do Aalam Ki Parwah Nahi
Aise Baazoo Ki Quwwat Pe Lakhon Salam

Kul Jahan Milk Aur Jau Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Lakhon Salam

Jis Suhaani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand
Us Dil Afroz Saa’at Pe Lakhon Salam

Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Lakho Salam

Kisko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koyi
Aankh Waalo Ki Himmat Pe Laakhon Salaam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Uss Batool E Jigar Paara E Mustafa
Jumla Aara E Iffat Pe Lakhon Salam

Syeda Zahira Tayyaba Tahira
Jaan E Ahmad Ki Raahat Pe Laakhon Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubarak Jama’at Pe Lakhon Salam

Jin Ke Dushman Pe Laanat Hai Allah Ki
Un Sab Ahle Mohabbat Pe Lakhon Salam

Woh Umar Jis Ke Aada Pe Shaida Sakar
Uss Khuda Dost Hazrat Pe Laakhon Salaam

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Ghous E Azam Imam Ut Tuqa Wannuqa
Jalwa E Shan E Qudrat Pe Lakhon Salam

Shere Shamsheer-Jan Shah e Khaibar Shikan
Partave Dost Qudrat Pe Lakhon Salam

Jis Ki Mimbar Bani Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karamat Pe Lakhon Salam

Hazrat E Hamza Shere Khuda Wa Rasool
Zeenat E Qaadriyat Pe Laakhon Salaam

Be Azaabo Aetaabo Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat Pe Laakhon Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Bhai Bahen
Ahle Waldo Asirat Pe Lakhon Salam

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shauqat Pe Lakhon Salaam

Arsh Ki Zebo Zeenat Pe Arshi Durood
Farsh Ki Teebo Nuzhat Pe laakhon Salaam

Noor E Ain E Latafat Pe Altaf Durood
Zaibo Zaine Najaafat Pe Laakhon Salaam

Sarve Naaz E Kidam Magze Raaze Hikam
Yakka Taaze Fazilat Pe Laakhon Salaam

Nukta e Sirre Wahdat Pe Yakta Durood
Markaze Daure Kasrat Pe Laakho Salaam

Sahibe Raj'ate Shamso Saqqul Qamar
Naib e Daste Qudrat Pe Laakho Salaam

Jiske Zere Liwa Aadam o Man Siva
Uss Saza e Siyadat Pe Laakhon Salaam

Arsh Ta Farsh Hai Jiske Zere Nagee(n)
Uski Qaahir Riyaasat Pe Laakhon Salaam

Asle Har Bud o Behbood Takhme Wajood
Qasim e Kanze Ne'mat Pe Laakhon Salaam

Fathe Baab e Nubuvvat Pe Behad Durood
Khatme Daur e Risalat Pe Laakhon Salaam

Sharke Anwaare Qudrat Pe Noori Durood
Fat-he Az Haare Qurbat Pe Laakho Salaam

Be-Saheemo Qasimo Adeelo Maseel
Jouhar e Farde Izzat Pe Laakho(n) Salaam

Sirre Ghaib e Hidaayat Pe Ghaibi Durood
Itre Jaibe Nihaayat Pe Laakho Salaam

Maahe Lahoote Khilwat Pe Lakhon Durood
Shahe Naasoot E Jalwat Pe Lakhon Salam

Kanze Har Bekaso Benawa Par Durood
Hirze Har Rafta Taaqat Pe Laakhon Salaam

Partawe Isme Zaate Ahad Par Durood
Nuskhaye Jaami-iyyat Pe Laakhon Salaam

Matlaye Har Sa’aadat Pe As’ad Durood
Maqtaye Har Siyaadat Pe Laakhon Salaam

Hum Garibo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeero Ke Sarwat Pe Lakhon Salam

Farhate Jaane Momin Pe Behad Durood
Gaize Qalbe Jalaalat Pe Laakhon Salaam

Sababe Har Sabab Muntahaye Talab
Illate Jumla Illat Pe Laakhon Salaam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe
Us Sare Taaje Rif’at Pe Lakhon Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyan
Un Labon Ki Nazakat Pe Lakhon Salam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Woh Dahan Jiski Har Baat, Wahi-Aye Khuda
Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Lakhon Salam

Noor Ke Chasme Lehraye, Dariya Bahe
Ungliyo Ki Karamat Pe Lakhon Salam

Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Lakhon Salam

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakhon Durood
Mujhse Bebas Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam

Sham-e Bazme ‘DanaHu’ Mai Gham Kun Ana
Sharhe Matne Huwiyyat Pe Laakhon Salaam

Intihaaye Duyi Ibtidaaye Yaki
Jam’ay Tafreeqo Kasrat Pe Laakhon Salaam

Kasrate Baa’de Qillat Pe Aksar Durood
Izzate Baa’de Zillat Pe Laakhon Salaam

Rabbe Aa’la Ki Ne’mat Pe Aa’la Durood
Haq Ta’ala Ki Minnat Pe Laakhon Salaam

Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Lakhon Salam

Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haan RAZA!
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam
Sham-E Bazme Hidayat Pe Lakhon Salam
(Sallallahu Alaihi Wasallam)

Salato Salam Lyrics: Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Lyrics
Salam Written By: Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi Rehmatullah Alaih
Naat Khawan: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri, Hafiz Kamran Qadri, Hafiz Tahir Qadri, Hooria Faheem and more...

Related Salat o Salam Lyrics:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.