Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain Naat Lyrics

ShereKhudaHazratAli.com
=== Huzoor Jante Hain ===

Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga, Huzoor Jante Hain,
Teri Aata Se Khudaya, Huzoor Jante Hain.

Khuda Ko Dekha Nahin Aur Ek Maan Liya,
Ke Jante The Sahaba, Huzoor Jante Hain.

Munafiqoon Ka Aqeeda Woh Gaib Daan Nahin,
Aur Sahabiyoon Ka Aqeeda, Huzoor Jante Hain.

Aie Ilm E Ghaib Ke Munkir Khuda Ko Dekha Hai?
Aur Tujhe Bhi Kehna Padega, Huzoor Jante Hain.

Khabar Bhi Hai? Ke Khabar Sabki Hai Unhein Kab Se,
Ke Jab Na Ab Tha Na Kab Tha, Huzoor Jante Hain.

Kai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe,
Khuda Ne Kitna Nawaza, Huzoor Jante Hain.

Woh Momino Ki To Jaano Se Bhi Kareeb Huye,
Kahan Se Kisne Pukara, Huzoor Jante Hain.

Isiliye To Sulaya Hai Apne Pehlu Mein,
Ke Yaar E Ghar Ka Rutba, Huzoor Jante Hain.

Umar Ne Tan Se Juda Kar Diya Tha Sar Jis Ka,
Woh Apna Hai Ke Paraaya, Huzoor Jante Hain.

Nabi Ka Faisla Na Maan Kar Woh Jaan Se Gaya,
Mizaaj Umar Ka Hai Kaisa, Huzoor Jante Hain.

Wohi Hai Paikar E Sharm O Haiya O Zul Nuraian,
Maqaam Unki Haya Ka, Huzoor Jante Hain.

Hain Jiske Moula Huzoor Uske Hain Ali Moula,
Abu Turab Ka Rutba, Huzoor Jante Hain.

Yeh Khud Shaheed Hain, Bete Nawase Pote Shaheed,
Ali Ki Shaan E Yagana, Huzoor Jante Hain.

Main Unki Baat Karoon Yeh Nahin Meri Auqaat,
Ke Shaan E Fatema Zahra, Huzoor Jante Hain.

Jina Main Kaun Hain Sardaar Nojawano Ke,
Hasan, Hussain Ke Nana, Huzoor Jante Hain.

Malaika Ne Kiya Youn To Sajda Adam Ko,
Dar Asal Kis Ko Tha Sajda, Huzoor Jante Hain.

Kahan Marein Gay Abu Jahal O Utba O Sheiba,
Ke Jang E Badr Ka Naqsha, Huzoor Jante Hain.

Woh Kitna Fasla Tha, Aur Kalaam Tha Kaisa,
Aao Adna Aur Ma Aaoha, Huzoor Jante Hain.

Mile The Raah Mein 9 Bar Kis Liye Musa,
Yeh Deed E Haq Ka Bahana, Huzoor Jante Hain.

Main Chup Khara Hoon Mawaja Pe Sar Jhukaye Huwe,
Sunaoon Kaise Fasana, Huzoor Jante Hain.

Chupa Rahe Hai Lagatar Mere Aibon Ko,
Main Kis Qadar Houn Kameena, Huzoor Jante Hain.

Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya,
Hamein Pata Hai Bus Itna, Huzoor Jante Hain.

Nahi Hai Zaad E Safar Pass Jin Ghulamon Ke,
Unhein Bhi Dar Pe Bulana, Huzoor Jante Hain.

Haran Ne Oonth Ne Chiryoon Ne Ki Yehi Faryaad,
Ke Unke Gham Ka Madawa, Huzoor Jante Hain.

Teri Aata Say Khudaya, Huzoor Jaante Hain.

(Sallallahu Alaihi Wasallam)

Related Naat Sharif Lyrics:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.