Table of Content

Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz

Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz Lyrics - Manqabat e Khwaja Garib Nawaz


Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz
Karo Gareeb Nawazi Mere Gareeb Nawaz

Tumhare Dar Ki Karamat Yeh Baraha Dekhi Humne
Aaye The Gareeb Aur Ho Gaye Gareeb Nawaz

Tumhari Zaat Se Mera Bada Talluq Hai
Ke Mai Gareeb Bada Tum Bade Gareeb Nawaz

Laga Ke Aas Badi Door Se Mai Aaya Hoon
Musafiroon Pe Karam Kijiye Gareeb Nawaz

Huzoor Ashraf-e-Simna Ke Naam Ka Sadka
Hamari Jhooli Ko Bhar Dijiye Gareeb Nawaz

Na Mujh Sa Koi Gada Hai Aur Na Tum Sa Koi Karim
Na Dar Se Uthunga ,Be Kuch Liye Gareeb Nawaz

Zamane Bhar Se Mujhe Kar Diya Gani "Saiyed "
Mai Sadke Jaoon Mere,Jog Ke Gareeb Nawaz
(Rehmatullah Ta'ala Alaih)

Kalam Written By Mohaddise Azam e Hind

Related Naat Sharif Aur Manqabat: