Maa Fatima Zahra Radiallahu Anha ka Maher or Wasiyyat

ShereKhudaHazratAli.com
Saiyyada Zahera Taiyyaba Taahera

Jaan e Ahmad Ki Raahat pe Laakhon Salaam

3rd Ramazan ul Mubarak Shab e Wisaal Jigar Gosha e Rasool, Jannati Aurton ki Sardaar, Khatoon e Jannat Shehzaadi e Rasool sallallahu alaihi wasallam Hazrat Fatima Zahra Radiallahu Anha hai.

Maa Khaatoon e Jannat Wisaal-e-FATIMA RadiAllahu ta'ala Anha Ka Wakeya :

Fatima zahra maher or wasiyyat, the will of fatima, daughter prophet muhammad, hazrat ali, imam hasan, imam hussain, jannat ul baqi, madina, islam
Old & New Grave Fatima Zahra R.A,
Jannat ul Baqi, Madina
Khatoon-e-Jannat Hazrate FATIMA (RadiyAllahu Anha) Jab Bimaar Hui To Hazrat ALI (RaziAllahu Anhu) Ne Farmaya–“Aye FATIMA ! Meri Yeh Wasiyat Hain Ki Jab RASOOLALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas Pahoncho To Mera Salaam Arz Karna Aur Kehna, Ya RASOOLALLAH ! Main Aapka Mushtaaq Hoon!”
Hazrate FATIMA (RadiyAllahu Anha) Ne Farmaya Ki, “Meri Bhi Ek Wasiyat Hain Ki Jab Mera Inteqaal Ho Jaaye To Mujh Par Cheekh-Chillakar Maatam Mat Karna Aur Mere Noor-e-Chasm HASAN Aur HUSSAIN Ko Maarna Nahi!”

Aye SHER-E-KHUDA ! Wo Dekhiye HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Bahot Se Farishton Ke Sath Tashreef Le Aaye Hain! Ab Main Ja Rahi Hoon! Aur Mere Inteqal Ke Baad Falaan Jagah Maine Ek Kaagaz Ka Tukda Badi Hifaazat Se Rakha Hain! Us Kaagaz Ko Nikaal Kar Mere Kafan Me Rakh Dena Aur Usey Padhna Nahi!

Hazrat e ALI RadiAllahu Anhu Ne Farmaya– “FATIMA ! RASOOLALLAH ka Waasta Dekar Kehta Hoon Ki Mujhe Bata Do Ki Us Kaagaz Me Kya Likha Hain ?”
[ads-post]
Hazrate FATIMA RadiAllahu Anha Ne Farmaya Ki, “Jab Mera Nikah Aapse Hone Laga Tha To HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Mujhse Farmaya- Aye FATIMA ! Main ALI se 400 Miskaal Chaandi Ke Maher par Tumhara Nikaah Karne Laga Hoon!”

Maine Arz Kiya, Ya RASOOLALLAH ! ALI Mujhe Manzoor Hai Lekin Itna Maher Mujhe Manzoor Nahi!

Itne Me JIBRAEEL E AMEEN Ne Haazir Hokar HUZOOR Se Arz Kiya, Ya RASOOLALLAH ! KHUDA Farmata Hain Ki MAIN Jannat Aur Uski Ne'matein FATIMA Ka Maher Mukarrar Karta Hoon!

HUZOOR Ne Mujhe Iski Khabar Di To Main phir Bhi Raazi Na Hui!

HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya– “To Phir Khud Hi Batao Ki Mehar Kya Ho?”

Maine Arz Kiya YA RASOOLALLAH ! Aap Har Waqt Apni Ummat Ke Gam Me Rehte Hain! Main Chaahti Hoon Ki AAP ki Gunahgaar Ummat Ki Bakshish Mera Maher Ho!”

Chunaanche, JIBRAEEL E AMEEN Waapas Gaye Aur phir Yeh Kaagaz Ka Tukda Lekar Aaye Jisme Likha Hai - “MAINE Ummat-e-MUHAMMAD (Sallallahu Alalihi Wasallam) Ki Shafa'at FATIMA Ka Maher Mukarrar Kiya”
- (Jaami-Ul-Moajizaat Misri Pg-62)

Sabak :

HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Sadqe Me Hum Gunahgaaron par ALLAH ka Bada Fazl Wa Karam Hain Ki HUZOOR Ki Saahab-Zaadi Ko Bhi Hum Gunahgaaron Ka Khayaal Raha Aur WOH Hamaari Bakhshish Ka Intezaam Farma Gayi!
Fir Yeh Kehna Ki Un ALLAH Waalon Se Kuch Haasil Nahi Hota, Kis-Qadr Jahaalat Ki Baat Hain!
Yeh Bhi Maaloom Hua Cheek-Chillaar Maatam Nahi Karna Chaahiye!
Is Cheez Se Khud KHAATOON E JANNAT ne Bhi Mana Farmaya Hain!

ALLAH Paak unki chaadar e Paak ka sadqa ata farmaaye aur hamaari khawaateen ko unke pairokaar banaye... Aalam e Islam ko apni hifz o panaah me rakhe..
*Aameen Ya Rabbal Aalameen*

Related Post:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.