BAAZAR AUR RASTO PAR BETHNE KA BAYAN
Bazar aur Rasto Par Bethne Ka Bayan Hadees Shareef Ke Hawalo Ke Sath | Islamic Education..
Hazrat Abu Saeed Khudri (RaziAllahu Ta'ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki Nabi'E Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya :
"Rasto Pe Bethne Se Bacho !
Logo Ne Arz Ki Uske Bina Chara Nahi, Raste Hi Humare Bethne Ki Jagah Hai Jahan Hum BaatChit Karte Hai.
Logo Ne Arz Ki Uske Bina Chara Nahi, Raste Hi Humare Bethne Ki Jagah Hai Jahan Hum BaatChit Karte Hai.
Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Jab Tum Log Nahi Mante Aur Bethna Hi Jaruri Hai To Raste Ko Uska Haqq Do !
Logo Ne Arz Ki Raste Ka Haqq Kya Hai ?
Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Nazar Nichi Rakhna, Taqlif Dene Wali Chiz Ko Hatana, Salam Ka Jawab Dena, Acchi Baato Huqm Dena, Buri Baato Se Rokna."
(Imam Tibrani Ye Hadees Naqal Ki Hai Jisme Itna Jyada Hai Ki Musibatzada Ki Fariyad Sunna Yaani Ki Koi Musibat Me Ho To Madad Karna)
[ Nuzhatul Qari Sharhe Sahih Bukhari Volume : 5 Page : 428 Hadith : 1403 ]
[ads-post]
Note :-
Note :-
Raste Me Bethne Se Manaa Isliye Kiya Gaya Ki Shareef Aurate Kaam Se Jab Bahar Niklegi To Mardo Ko Dekh Kar Sharm Mehsus Karegi Aur Aurat Bad Hai To Shareef Nahi To Wo Mardo Ko Fitne Me Dalegi.
Aur Raste Par Se Insan Ke Dost Wa Dushman Bhi Guzarte Hai To Ho Sakta Hai Ki Dushman Ko Dekh Kar Gussa Ho Jaye Zagda Kare Aur Gaali Galoch Kare Aur Dusro Ko Bhi Uski Wajah Se Sharm Mehsus Ho.
Join the conversation