Kya Hazrat Muhammad ﷺ ne Apni Zindagi me Kabhi Azan Di Hain ?
Kya Huzur Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi wasallam Apni Zindagi me Kabhi Azan Di Hain, Jhuti Hadees o Ka Khulasa Mukammal Hadees ki Roshni Main..
Kya Huzur Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi wasallam Apni Zindagi me Kabhi Azan Di Hain? | Did the Prophet Muhammad Ever Recite the Adhan (Call to Prayer)?
Azan Ke Bare Me Jhuti Hadees o Ka Khulasa :
Deen Ke Dushmano Ne Ya Zamane Jahiliyat Ne Azan Ke Bare Me Huzur (Sallallahu Alayhi Wa Sallam) Ke Naam Se Banaye Hue Kuch Jhute Hadeeso Ka Khulasa Ham Iss Post Me Karna Chahenge. Lihaza Post Jara Goaur Se Parhiyega !!!
» Jhuti Hadees No.1: Hamaare Nabi-e-Paak Taajdaar-e-Madina (Sallallaahu Alaihe Wa Sallam Ne Kabhi Azaan Nahi Di, Isliye Ke Agar Aap Azaan Dete Toh Puri Kaayenaat Sajda Me Aa Jati, Aur Allah Ko Azaan Bahut Pasand Hai.
» Jhuti Hadees No.2: Sawal : Aisa Konsa Kaam Hai Jis Ke Karne Wale Ko Allah Paak Bohat Pasand Karte Hain. Magar Woh Kaam Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Ne Nahi Kiya?
Answer: Huzooor (Sallalah-O-Alaihe Wassalam) Ne Kabhi Aazaan Nahi Di, Agar Aap (Sallallaahu Alaihe WaSallam) Aazan Dete Toh Kainaat Ki Har Cheez Masjid Me Aa Jati Aur Nizaam-e-Kainaat Tabaah Ho Jata,.!!!
In Jhuti Hadees o Ka Khulasa Kuch Haq Dalilo Me :
Ye Bilkul Man-Gharant, Be Bunyaad Aur Khayaali Pulao Hai. Tahqiq Ye Hai Ke:[ads-post]
1). Hazrat Muhammad (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) Ne Ek Baar Safar Me Khud Azaan Di (Shahaadat Ke Alfaaz Istarah Kahe: Ash-Hadu Anni Rasool’Allaah), Takbir Kahi Aur Namaz Parhayi.
-Fataawa Razwiya: 5/474, 475 (Durre Mukhtaar, Tirmizi, Azziya, Imaam Ibne Hajar Asqalaani Ki Fat-Hul Baari, Imaam Nawawi, Imaam Ibne Hajar Makki Ki Kitab Tohfa Ke Hawaale Se)
2).Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Safar Pe Thay, Namaz Ka Waqt Qareeb Aaya, Baarish Barsi Toh Zameen Geeeli(Gara) Ban Gai, Aap Ne Sawari Par Bethay Hi Azaan Di Phir Iqamat Kahi.
-(Musnad-e-Ahmed, Hadees#17584) (Tirmizi Shareef, Hadees#411)
3). Jab Imam-e-Hasan Ibn-e-Ali (Radhi Allaahu Anhu) Ki Wilaadat Hui Toh Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Un Ke Kaan Me Azaan Di.
-(Tirmizi Shareef, Hadees#1519)
Note: Lihaza Zaman-e-Jahiliyah Ki Bato Me Gumrahi Se Bachne Ke Liye Sahi Ilm-e-Deen Hasil Kare, Aur Auron Ko Bhi Gumrah Hone Se Bachaye.. Allah Ta’ala Tamaam Imanwalo Ko Sahi Ilm-e-Deen Ki Samajh Ataa Farmaye…