Shab E Qadr Ki Nishaniyan | Lailatul Qadr Ki Nishaniyan

ShereKhudaHazratAli.com
Shab E Qadr Ki Nishaniyan | Lailatul Qadr Ki Nishaniyan | Signs Of Laylatul Qadr According To Hadith:

Mafhum-E-Hadith:
Hazrate Ubada (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Nabi Kareem ﷺ Ne Farmaya, “Shab E Qadr Ramazan Ke Mahine Ke Aakahri Ashre Mein Hoti Hai Jo Shakhs Is Ka Sawab Hasil Karne Ke Liye Un Mein Qiyam Kare To Allah Is Ke Agle Pichle Sare Gunah Muaf Farma Dega Aur Ye Taaq Raaton Mein Hoti Hai,.
Yani Aakhri Ashre Ki (21,23,25,27,29) Wi Raat.

Aur Farmaya Ke Shab E Qadr Ki Nishani Ye Hai Ke Wo Raat Roshan Aur Chamakdar Hoti Hai,
Is Mein Chand Ki Roshni Bhi Khoob Ujli Hoti Hai,
Wo Raat Pur-Sukun Aur Gehri (Mautadil) Hoti Hai
Ye Raat Na Garm Hoti Hai Na Thandi Hoti Hai,
Is Raat Mein Subah Tak Sitare Tod Kar Nahi Maare Jate,
Is Ki Nishani Ye Bhi Hai Ke Is Ki Subah Ko Jab Sooraj Roshan Hota Hai To Woh Seedha Barabar Nikalta Hai Jaise Chodwee Ka Chaand Hota Hai Aur (Subah Ke Waqt) Is Ki Koi Shuaa (Kiran) Nahi Hoti Aur Is Din Shaitan Ke Liye Sooraj Ke Sath Niklana Mana Hota Hai.”
[Masnad Ahmad, Jild 9 # 2776-Hasan]

Related Articles:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.