Roza Or Ramadan Ke Bare Mein Chand Behad Jaruri Baatein | Roza Q&A

ShereKhudaHazratAli.com
Roza Kis Par Farz Hai?
Ramzan Ke Roze Har Musalmaan Mard O Aurat Aaqil O Baaligh Par Farz Hai. Rozah Farz Hone Ka Inkaar Karne Wala Kafir Hai. Baghair Sharai Majboori K Chodne-Wala Gunahgaar Aur Dozakh Ka Sazawaar Hai.

Bachche Roza Rakh Sakte Ho To Unko Rakhwaya Jaye Aur Mazboot Aur Taaqatwar Ladke Aur Ladkiyon Ko Maar Kar Rakhwaya Jaaye.(Agar Na Rakhein)

Kitne Roze Farz Hai?
Ramadan Ke Poore Mahine Ke Roze Farz Hai.

Ramadan(Ramzan) Ke Roze Kab Farz Hue?
Ramadan Ke Roze 10 Shaban 2 Hijri Mein Farz Huwe.
[Durre Mukhtar Wa Raddul Muhtar, Jild : 3, Safa:330]

Roza Kisko Kehte Hai?
Shari'at Ki Nazar Mein Roze Ka Matlab Hai K Allah Ki Ibadat Ki Niyyat Se Subha Saadiq Se Le Kar Suraj Dubne Tak (Maghrib Tak) Khaane Piine Aur Jimaa Matlab Biwi Se Mulaqat(Hambistari) Se Apne Ko Roke Rakhna.

Roze Farz Hone Ki Wajah Kya Hai?
Al-Quran:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
Aye Logo! Jo Iman Laye Ho Tum Par Roze Issi Tarha Farz Kiye Gaye Hai Jis Tarha Tumse Pehle Ummatiyo Par Farz Kiya Gaya Tha Take Tum Muttaki (Gunaho Se Bachne Wale) Banjao.
[Surah Baqarah Ayat:183]

أَيَّامًا مَعْدُودَاتٍ ۚ فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ عَلَىٰ سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِنْ أَيَّامٍ. أُخَرَ ۚ وَعَلَى الَّذِينَ يُطِيقُونَهُ فِدْيَةٌ طَعَامُ مِسْكِينٍ ۖ فَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَهُوَ خَيْرٌ لَهُ ۚ وَأَنْ تَصُومُوا خَيْرٌ لَكُمْ ۖ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
Ramzan Woh Mahina Hai Jisme Quran Naazil Kiya Gaya. Tum Mein Se Jo Shakhs Is Mahine Ko Paaye Toh Use Chahiye Ki Roza Rakhe. Haan Agar Koi Bimaar Ho Ya Musafir Toh Use Dusre Dino Mein Yeh Geenti Puri Karna Chahiye.
[Surah Baqarah Ayat:184]

Kya Roza Rakhne Se Aadmi Beemar Ho Jata Hai?
Ji Nahi! Balke Hadees e Paak Mein Hai Ke "Roza Rakho Sehat Yaab Ho Jaoge."
[Al Mu'jam Ul Awsat, Al Hadees 8312, Jild 6, Safa 146]

Kya Haiz O Nifaas Wali Awrat Par Bhi Rozah Farz Hai?
Aurat Par Haiz O Nifaas Ki Haalat Mein Rozah Sahih Nahi. Lekin Haiz O Nifaas Wali Aurat Par In Dino(Haiz K Din) K Guzarne K Baad Paak Hone K Baad In Chhute Huwe Rozon Ki Qaza Farz Hai.

Note: Naa Baaligh Par Roza Farz Nahi.

[Kanune Shariat]
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.