Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lyrics Sabri Brothers

ShereKhudaHazratAli.com

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lyrics

Shah-e-Madina Suno Ilteja Khuda Ke Liye
Karam Ho Mujh Pe Habeeb-e-Khuda, Khuda Ke Liye
Huzoor Ghuncha-e-Umeed Ab To Khil Jaaye
Tumhare Dar Ka Gada Hoon To Bheek Mil Jaaye

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaunga Khali

Tumhare Aastane Se Zamana Kya Nahi Pata
Koi Bhi Dar Se Khaali Mangne Wala Nahi Jata

Bhar Do Jholi Meri Sarkar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdare-Madina
Bhar Do Jholi...

Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebon Ke Gham-Khwaar Ho Nabi

Bhar Do Jholi Meri Sarkar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdare-Madina
Bhar Do Jholi...

Hum Hain Ranj-o-Musibat Ke Maare Hue
Sakht Mushkil Mein Hai Gham Se Haare Hue
Ya Nabi Kuch Khudaara Humein Bheek Do
Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Hue

Bhar Do Jholi Meri Sarkar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdare-Madina
Bhar Do Jholi...

Hai Mukhalif Zamana Kidhar Jayen Hum
Haalat-e-Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum
Hum Tumhare Bhikari Hain Ya Mustafa
Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum

Bhar Do Jholi Meri Sarkar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Tajdare-Madina
Bhar Do Jholi...

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaunga Khali
Kuch Nawaso Ka Sadqa Ata Ho
Dar Pe Aaya Hoon Bankar Sawaali

Haq Se Paayi Wo Shaan-e-Kareemi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali
Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr-e-Karam Tum Ne Daali

Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko
Aabroo Deen-e-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Jo Ibn-e-Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbaani-e-Hussain Ka Anjaam Khoob Hai
Qurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne
Deen-e-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne
Bakhshi Hai Jisne Mazhab-e-Islam Ko Hayaat
Jitni Azim Hazrat-e-Shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-e-Karbala Mein Shah-e-Khush Khisaal Ne
Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen-e-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Ye Kahenge Khushi Se
Aa Rahe Hain Woh Dekho Muhammad
Jinke Kandhe Pe Kamli Hai Kaali

Mehshar Ke Roz Pesh-e-Khuda Honge Jis Ghadi
Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali
Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati
Ek Doosre Se Sab Ye Kahenge Khushi Khushi
Aa Rahe Hain Woh Dekho Muhammad
Jinke Kandhe Pe Kamli Hai Kaali

Sar-e-Mehshar Gunahgaaron Se Purshish Jis Ghadi Hogi
Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Padi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi
Ke Aise Mein Muhammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi
Pukaarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron
Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron
Aa Rahe Hain Wo Dekho Muhammad
Jinke Kandhe Pe Kamli Hai Kaali

Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-E-Bilaal Ka
Ek Din Rasool-E-Paak Se Logon Ne Yun Kahaa
Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal
Kahiye Huzoor Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal
Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye
Waqt-E-Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De
Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-E-Sahar Na Di
Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Hui
Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As'haab-E-Baasabaa
Ki Arz Mustafa Se Ay Shah-E-Ambiya
Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa
Jibreel Laaye Aise Mein Payghaam-E-Kibriya
Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam
Yun Jibraeel Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se
Allah Ko Hai Pyar Tumhaare Ghulaam Se
Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-E-Zuljalaal
Hogi Na Subha Dengey Na Jab Tak Azaan Bilaal
Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Arsh Waale Bhi Sunte Thhey Jisko
Kya Azaan Thi Azaan-E-Bilaali

Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein
Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din
Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaoon
Thaam Kar Unke Rauze Ki Jaali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Main Na Jaunga Khali

Sallallahu Alaihi Wasallam

Qawwali Lyrics: Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Lyrics
Qawwal(Singers): Sabri Brothers, Adnan Sami and More.

Related Naat Sharif Aur Manqabat:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.