Ramadan Hadith Quotes in Roman Urdu, Hindi, English

ShereKhudaHazratAli.com
Ramadan Mubarak Quotes 2018: Many People Look For Ramadan Quotes Near The Month Of Ramadan. And If You Are Also Looking For The Best Ramadan Quotes Then This Article Will Satisfy You. This Article Covers All The Quotes About Ramadan Including The Ramadan Mubarak Quotes In Urdu, Ramadan Mubarak Quotes In English And Ramadan Mubarak Quotes In Hindi. If You Want Ramadan Mubarak Quotes In Arabic Then Let Us Know In The Remarks/Comments. Also, You Will Also Find Ramadan Quotes Images In This Article.

Some People Refer To These Ramzan Mubarak Quotes As Ramadan Quotes, Ramzan Ki Fazilat or Shan E Ramzan.

Hadees Sharif:
Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, "Teen(3) Aadmiyon Ki Dua Radd Nahi Ki Jaati (1) Aadil Hukmaraan (2) Rozedaar Hatta Ke Roza Iftar Karle Aur (3) Mazloom.
[Tirmizi 3598, Hadees Hasan]

Hadees Sharif:
Jannat Mein 8 Darwaze Hain Unme Ek Darwaze Ka Naam Raiyyan Hai, Us Darwaze Se Wahi Jannat Mein Jayega Jo Roza Rakhte Hain.
[Sahih Al Bukhari Shareef, Jild-1, Safa-394, Hadees-3257]

Hadees Sharif:
Jisne Allah Ki Riza Ke Liye Ek Din Ka Roza Rakha Allah Paak Use Jahannam Se Itna Door Kar Dega Jaise Kawwa Jab Bachcha Tha Us Waqt Se Udta Raha Yahan Tak Ki Budha Ho Kar Mara.
[Musnad Imam Ahmad Bin Hambal, Hadees 619]
Note: Kawwa Bahot Lambi Umr Paata Hai 100 Saal Tak Ya Usse Ziyadah, To Wo Apni Umr Me Jitna Udta Hai Bachpan Se Budhape Tak Utne Fasle Par Allah Rozedar Se Jahannam Ko Door Farma Dega.

Hadith:
Ye Mahina (Ramzan Sharif) Sabr Aur Bhalai Ka Hai Aur Sabr Ka Sawab Jannat Hai Aur Is Me Momin Ka Rizq Badha Diya Jata Hai.
[Sahih Ibn-E-Khuzaima 3/1887]

Hadith:
Roza Aur Quran Bande Ki Shafa’at Karenge, Roza Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Khane Aur Khwahishon Se Ise Din Me Rok Diya, Meri Shafa’at Iske Haq Me Qubool Farma, Quran Kahega Aye Rab Mai Ne Ise Raat Me Sone Se Baaz Rakha Meri Shafa’at Iske Haq Me Qubool Farma Dono Ki Shafa’aten Qubool Hogi.
[Musnad, Imam Ahmed bin Hanbal, Jild-2, Safa-586]

Hadith:
Roze Ke 3 Darje Hain,
1-Aam Logo Ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur Jima Se Rokna.
2-Khas Logo Ka Roza Kaan Aankh Zuban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna.
3-Khasul Khas Logo Ka Roza Ki Allah Ke Siwa Apne Ko Sab Se Juda Karna Aur Apni Tamam Tawajjoh Ko Sirf Allah Ki Taraf Lagana.
[Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-966]

Hadees Sharif:
Amirul Momineen Maula E Kainat Hazrat Syedna Ali E Murtaza Radiallahu Anhu Farmate He Ke “Agar Allah Ta’ala Ko Ummat E Mohammadi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Azaab Karna Maqsood Hota To Inko Ramzan Aur Surah Ikhlas (Surah Qul Huwallah) Sharif Hargiz Inayat Na Farmata.”
[Nuzhatul Majaalis]

Roza Ke Masail:
Mafhoom-e-Hadees:
Abu Huraira Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, "Jis Rozedaar Ko Khud-Ba-Khud Qay(Ulti yani vomit) Aaye Iss Par Qaza Nahi Hai Albatta Jo (Jaan Boojh Ker) Qay Karey Woh Qaza Rozey Rakhey.”
[Abu Dawood, Ibn-e-Maja]

Related Article:
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.