Ishq e Nabi or Tazeem e Nabi Quran aur Hadees Ki Roshni Main

ShereKhudaHazratAli.com
ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴ
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله 

Ishq e Nabi or Tazeem e Nabi Quran aur Hadees Ki Roshni Main


IMAAN KI JAAN MUHABBAT E RASOOL صلى الله عليه وسلم 
Ishq-E-Rasool Aur Tazeem-E-Nabi صلى الله عليه وسلم

Hadees: 
Hazrat E Anas رضي الله عنه Marwi Hai Ke RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya
“Tum Me Se Koi Us Waqt Tak Kamil Momeen Nahi Ho Sakta, Jab Tak Meri zaat Usko Apne Waldain, Aulaad Aur Tamaam Logo Se Zyada Mehboob Na Ho.”
[Bukhari Shareef, Jild – 1, Safa – 7]

“Bajuj Hubbe Muhammad صلى الله عليه وسلم Koi Kamile Imaan Ho Nahi Sakta 
Faqat Khuda Ko Mannewala Musalman Ho Nahi Sakta.” 
(Dr. Muhammad Iqbal) 

Kisi Shayar Ne Kya Khoob Kaha Hai...
“Mutmahan Jaise Jahan Me Koi Insaan Nahi, Sab Kuch Hai Magar Daulate Imaan Nahi, 
SARKAR E DO AALAM صلى الله عليه وسلم Se Jo Muhabbat Na Kare, Lakh Sajde Kare Fir Bhi Musalman Nahi.”

Ishq e Nabi or Tazeem e Nabi Quran aur Hadees Ki Roshni Main, quran aur hadees, quran explorer, prophets and messengers of allah, hadith online, hadith about love, hadees sms, islamic hadees, sharia law rules and punishment, rasool allah,
“Aye Imaanwaalo Apni Aawz Oonchi Naa Karo Us Gaib Batanewaale Nabi صلى الله عليه وسلم Ki Awaaz Se Aur Unke Huzoor Baat Chillakar Naa Kaho Jaise Aapas Me Ek Dusre Ke Saamne Chillate Ho Ki Kaheen Tumahre Aamal Akarat Naa Hojaye Aur Tumhe Khabar Naa Ho.
(Surah Huzraat, Para – 26, Ruku-1, Aayat 02, Tarzuma Kanzul Imaan) 

“Aur Jo ALLAH Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Nafarmani Kare Aur Uski Kul Hado Se Badh Jaye, ALLAH Use Aag Me Dakhil Karega Jisme Hamesha Rahega Aur Uske Liye Kwari(Zillat) Ka Azab Hai.”
(Surah An Nisa, Para – 4, Ruku – 2, Aayat – 14, Tarzuma Kanzul Imaan) 

“Jisne Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Huqm Mana Beshaq Usne ALLAH ka Huqm Mana, Aur Jisne Muh Phera To Humne Tumhe Unke Bachane Ko Na Bheja.”
(Surah An Nisa, Para – 5, Ruku – 11, Aayat – 80, Tarzuma Kanzul Imaan) 

“Aye Mehboob! Tum Farmado Ki Logo Agar Tum ALLAH Ko Dost Rakhte Ho To Mere Farmabardar Ho Jao. ALLAH Tumhe Dost Rakhega Aur Tumhare Gunaah Baksh Dega Aur ALLAH Bakashnewaala Meherbaan Hai.”
(Surah Al Imran, Para – 3, Ruku – 4, Aayat - 31, Tarzuma Kanzul Imaan) 

“Aur Jo Kuch Tumhe Rasool صلى الله عليه وسلم Ataa Farmaye Wah Lo Aur Jinse Mana Farmaye Baaz Raho, Aur ALLAH Se Daro Beshaq ALLAH Ka Azab Sakht Hai.”
(Surah Al Hashr, Para – 28, Ruku – 1, Aayat – 7, Tarzuma Kanzul Imaan) 

“Beshaq Tumhe ALLAH ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Pairvi Behtar Hai.”
(Surah Al Ahzab, Para – 21, Ruku – 2, Aayat – 21, Tarzuma Kanzul Imaan) 

In Tamam Aayate Mubaraka Se Yeh Maloom Hota Hai Ki Halal-O-Haraam Ka Ikhteyaar Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Bhi Hai. Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ita’at Hi ALLAH Ta’ala Ki Ita’at Hai. Aap صلى الله عليه وسلم Ki Mubarak Zindagi Tamaam Insaan Ke Liye Behtareen Uswah(Namuna) Hai. Aur Jo ALLAH Ta’ala Ki Muhabbat Aur ALLAH Ta’ala Ko Raazi Karna Chahta Hai To Zariya Sirf Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Sunnat Ka Aapki Shariat Ka Itteba Hai. Aur Aapki Tariqon Par Chalna Hi Hai.
[ads-post] “Aur ALLAH Ki Sunnat(Dastoor) Jo Pehle Guzar Chuki Aur Tum Hargiz ALLAH Ki Sunnat Ko Badalta Na Paoge.”
(Surah Al Fateh, Para – 26, Ruku – 3, Aayat – 23, Tarzuma Kanzul Imaan) 

Sunnat Tariqa, Adat, Qanoon, Dastoor, Aa’een Ko Kehte Hai, Jaise Lughat Me Aaya Hai, Aur Istelahe Shari’at(Shariat Ki Bol Chal) Me Sunnat Khaas Nabi-E-Kareem Rauf-O-Raheem صلى الله عليه وسلم Ke Tariqe Ko Kehte Hai Aur Uspar Chalne Ki Taqeeq Aap Quran Se Padh Chuke Hai. 

Hadees Shareef No: 1 
Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Ne Dua Farmayi Ki Yaa ALLAH Tu Mujhko Apni Raah Mein Shaheed Hone Ka Sharaf Ataa Farma Aur Mujhko Apne Rasool صلى الله عليه وسلم Ke Shahar Mein Mout Ataa Farmaa
(Bukhari Jild – 2, Safa – 253)

Is Hadees Se Zaahir Hota Hai Ki Hazrate Sayyadna Umar Farooq رضي الله عنه Ka Ishq E Rasool صلى الله عليه وسلم Is Hadd Tak Pahoch Gaya Tha Ki Shahare Rasool صلى الله عليه وسلم Ke Alawa Kisi Aur Jagah Inko Mout Bhi Pasand Na Thi Aur Khuda-E-Ta’ala Ne Inki Dono Khwahishat Puri Farma Di Aur Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Ko Madinah Shareef Mein Hi Shahadat Naseeb Hui Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Rouze Mein Dafn Hone Ka Bhi Sharaf Haasil Hua.

“Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko Madinah Mein
Ameerul Momineen Hazrate Farooqe Aazam Ke Wasste” 

Hadees Shareef No: 2
Hazrate Anas رضي الله عنه Se Marvi Hai Ki Ek Dehaati Aadmi RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Ki Khidmatte Aqdas Mein Haazir Hua Aur Pucha Yaa RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Qayamat Kab Aayegi?
Huzoor صلى الله عليه وسلم Farmaya Tere Liye Kharabi Ho Tune Qayamat Ke Liye Kya Tayyari Ki Hai?
Arz Kiya Huzoor صلى الله عليه وسلم Maine To Tayarri Nahi Ki Lekin Main ALLAH Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم Se Muhabbat Karta Hu. Farmaya To Tum Uske Sath Rahoge Jisse Muhabbat KArte Ho Fir Hum Logo Ne Arz Kiya Ya Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Kya Ye Sab Ke Liye Hai , Farmaya Haan. Raawi Kehte Hai Is Baat Se Hum Behad Khush Hue.
(Bukhari Shareef, Jild – 2, Kitabul Aadab Safa 911) 
(Muslim Shareef, Jild-2, Safa – 331) 

Is HAdees Se Acchi Tarah Se Maloom Hogaya Ki Sahaba E Kiraam Sab Ke Sab Aashiqane Rasool صلى الله عليه وسلم The Isliye Jab Unhone Ye Suna Ki Jo Jisse Mohabbat KArega Wo uske Sath Rahega To Wo Nihayat Khush Huye. Yeh Bhi Maloom Hua Ki Wo Log Muttaqi Parhezgaar Aur Deendar Hone Ke Bawajood Apni Nijaat Ka Zariya Mahaz Aamale Saaliha Ko Nahi Balqi Mohabbate Khuda Wa Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Khayal Karte The. Khulasa Yeh Ki Jo Log Deendar Bante Hai Aur Unhe ALLAH Wa RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Se Muhabbat Wa Ishq Nahi Hai Wo Galat Raaste Par Hai. Han Wo Log Bhi Dhoke Me Hai Jo Khaali Naam Ki Muhabbat Karte Hai Aur Unhe Ahkaame Shariyah Ki Qat’an Fiqr Nahi Haraam Wa Halaal Mein Koi Farq Nah, Namaz Roza Ke Paband Nahi. Gunaho Me Lage Rehte Hai.

“Hashr Mein Nida Hogi Ye Gulaam Kiska Hai 
Mujhko Dekh Kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera” 

Hadees Shareef No: 3
Hazrate Anas رضي الله عنه Farmate Hai Ki Jab RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Ne Sar Ke Baal Mubarak Mundwaye To AAP صلى الله عليه وسلم Ke Baal Mubarak Haasil Karnewalon Mein Sabse Pehle Hazrat Abu Talha رضي الله عنه The.
(Bukhari Shareef, Jild -2 , Safa – 29) 

Hadees Sharif No: 4 
Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Ne Bayan Kiya Ki “Maine Dekha Hajam(Barbar) Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Sar Mubarak Ki Hajamat Bana Raha Tha Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Sahaba Kiraam AAP صلى الله عليه وسلم Ke Ird Gird Ghoom Rahe The Aur Unme Se Har EK Ki Koshish Thi Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Koi Ek Baal Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Inme Se Kisi Na Kisi ke Haath Me Aajaye”
(Sahih Muslim Shareef, Vol – 04, Page – 1812, Kitab – 43 : Kitab Al Fazail Baab – 19. Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Logon Se Karibi Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Tabbarukat Se Barkat, Hadees – 2325) 
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol – 19, Page – 363, Hadees – 12363) 
(Abd Bin Humaid, Vol – 01, Page – 380, Hadees – 1273) 
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra, Vol – 07, Page – 108, Hadees – 13411) 

Is Hadees Ko Padh Kar Andaza Lagaiye Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Sahaba-E-Kiraam Ko Kis Darja Muhabbat Thi Ki AAP صلى الله عليه وسلم Ke Ek Baal Mubarak Ko Qayinaat Ki Saari Doulato Se Zyada Pyara Samajhte. 

SubhanAllah SubhanAllah SubhanAllah 
Magar Afsos! Aaj Ke Logo Ko Shirk O Biddat Ke Siwa Kuch Nahi Sujhta.

“NABI صلى الله عليه وسلم Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon Mein 
Zameen Par Girne Kab Dete Mere SARKAR صلى الله عليه وسلم Ke Gensoo” 

Hadees Sharif No: 5 
Ek Aurat Ne EK Kinarewali Chadar Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Khidmate Aqdas Mein Pesh Ki Aur Arz Kiya Ki Yeh Main Aapke Liye Apne Hath Se Buni Hai To Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Isko Qubool Farma Liya Aur AAP صلى الله عليه وسلم Ko Kisi Zarurat Bhi Thi AAP صلى الله عليه وسلم Iska Tahband Baandh Kar Hum Logo Mein Tashreef Laaye Toh Ek Sahab Ko Wo Nihayat Achi Maloom Hui Aur Unhone Isko Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Maang Liya Sahaba-E-Kiraam Ne Usse Kaha Ki Tumne Accha Na Kiya Huzoor صلى الله عليه وسلم Ko Aaj Kal Iski Zarurat Thi Aur Tumko Maloom Hai Huzoor صلى الله عليه وسلم Maangnewalo Ko Mana Nahi Farmate To Wo Sahab Kehne Lage Ki Maine Wo Chadar Khuda Ki Qasam Pehenne Ke Liye Nahi Li Balqi Isliye Maangi Hai Taaqi Wo Mera Kafan Ho Jaye. Hazrat E Suhail رضي الله عنه Raawi-E-Hadees Farmate Hai Ki Wo Chadar Waqayi Un Sahab Ke Kafan Mein Kaam Aayi
(Bukhari Shareef, Jild – 1, Safa – 170)

“Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna 
Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena 
Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena” 

Hadees Sharif No: 6
Hazrat E Abu Huzaifa رضي الله عنه Kehte Hai Ki Dophar Ke Waqt Huzoor صلى الله عليه وسلم Hamare Paas Tashreef Laaye To AAP صلى الله عليه وسلم Ke Liye Wuzoo Ka Paani Laaya Gaya, AAP صلى الله عليه وسلم Ne Wazoo Farmaya To Log AAP صلى الله عليه وسلم Ke Wazoo Ke Paani Ko Lekar Apne Jismo Par Malne Lage Fir AAP صلى الله عليه وسلم Ne Zuhar Ki 2 Raka’at Namaz Padhi Aur Asr Ki Bhi 2 Rak’at Namaz Padhi Aur AAP صلى الله عليه وسلم Ke Saamne Neza Tha Hazrat E Abu Moosa Ash’ari Farmate Hai Ki Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne EK Pyaala Maanga Jisme Paani Tha Pehle AAP صلى الله عليه وسلم Ne Apna Munh Aur Apne Haatho Ko Usme Dhoya Aur Isme Kulli Farmayi Aur Fir Hum Dono(Hazrate Abu Moosa Ash’asri رضي الله عنه aur Hazrate Bilal رضي الله عنه) Se Farmaya Is Paani Ko Piyo Aur Isko Apne Chehro Aur Seeno Par Daal Do.
(Bukhari Shareef, Jild – 1, Safa – 31) 

Yeh Ek Safar Ka Kissa Tha Jisme Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Zuhar Aur Asr Ki 2 Raka’at Bataur Kasar Ada Farmayi Thi Aur Maqame Ji’arrana Mein Aap صلى الله عليه وسلم Ka Qayaam Tha Aur Bukhari Shareef Mein Dusri Jagah Hai Ki Jab Wuzoo Ka Dhowan Aur Kulli Kiya Hua Paani Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Ataa Farmaya Aur Ye Dono Hazraat Jab Is Paani Ko Bataur Tabarruk Pi Rahe The Aur Apne Chehre Aur Seene Par Daal Rahe The To Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها Jo Kheme Ke Andar Se Yeh Mulahija Farma Rahi Thi Unhone Farmaya Thoda Apni Maa Yani Mere Liye Bhi Bachaye Rakho. 
Hadees Ke Alfaaz Ye Hai 
Ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Ne Parde Ke Picche Se Aawaz Lagayi Ki Thoda Mere Liye Bhi Bachalo To Unhone Thoda Paani Unke Liye Bachaya 
(Bukhari Shareef, Jild – 2, Safa – 620)

“Jinke Talwo Ka Dhowan Hai Aabe Hayat 
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi” 

Hadees Sharif No: 7 
Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه Ka Bayan Hai RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Mere Ghar Mehman Hue Aur Main Balai(Upari) Manzil Rehta Hu Aur Huzoor صلى الله عليه وسلم Nichewali Manzil Mein Ek Baar Raat Mein Bedaar Hua To Ehsas Hua Ki Main Upar Chalta Hu Huzoor صلى الله عليه وسلم Niche Tashreef Farma Hai Is Khayal Se Ek Kone Mein Baith Kar Jaagte Hue Raat Guzari, Subah Ko Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Khidmat Mein Haazir Ho Kar Arz Ki To Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Irshaad Farmaya Ki Nichli Manzil Mein Hume Zyada Aaram Hai Azr Kiya Ya RasoolAllah صلى الله عليه وسلم Lekin Main is Chhat Par Kaise Reh Saktahu Jiske Niche AAP Ho Iske Baad Huzoor صلى الله عليه وسلم Upar Ki Manzil Mein Tashreef Le Gaye Aur Abu Ayyub Nichli Manzil Mein Rehne Lage Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Liye Khana Tayyar Karte Jab Huzoor صلى الله عليه وسلم Khana Tanawul Farma Lete Baad Mein Khud Khate Bache Hue Khane Ke Baare Mein Puchte Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Kidhar Se Khaya Hai Fir Khaas Isi Jagah Se Khate
(Sahih Muslim, Jild – 2, Safa – 183) 

Ye Us Waqt Ka Qissa Hai Jab Huzoor صلى الله عليه وسلم Hijrat Farma Kar Madeena Shareef Tashreef Laye Aur Shuru Mein Aapka Muqaam Hazrate Abu Ayyub Ansari Ke Makaan Mein Hua Tha. Isse Sabaq Lena Chahiye Un Logo(Badd Aqeeda) Ko Jo Sirf Namaz Roza Wa Ibadat Karte Hai Aur Jinki Kitabe Zindagi Me Koi Adab Wa Tazeeme Nabi صلى الله عليه وسلم Nahi Hai.

“Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi 
Najdiyo! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya” 

Hadith Shareef No: 8 
Israel رضي الله عنه Se Riwayat Hai Usman Bin Abdullah Bin Muhab Ne Kaha Mere Aadmiyo Ne Mujhe Paani Katora(Bowl) Leke Umme Salma رضي الله عنها Ke Paas Bheja Hazrat Israel Ne 3 Ungli(Choti Ungli Se Ishara Kiya Jisme Huzoor-E-Akram صلى الله عليه وسلم Ke Kuch Baal Mubarak The) Usman Radi Bin Abdullah رضي الله عنه Bayan Karte Hai Agar Koi Shaks Buri Nazar Ya Dusri Bimariyo Se Mubtela Hota To Pani Ka Katora Leke Umme Salma رضي الله عنها Ke Pass Jata. Umme Salma Ke Paas Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Kuch Baal The Aur Usme Kuch Baal Laal(Red) The.
(Sahih Bukhari, Book – 77, Kitab Al Libas, Baab – 66, Hadees – 5957) 

Sahaba-E-Kiraam Azmaeen Kitna Adab-O-Ehtaram Karte The AAP صلى الله عليه وسلم Ka, Ke Aapke Ek Baal Mubarak Ko Zameen Par Na GirneDe Aur Aapke Baal Mubarak Ko Duniya Ki Tamaam Chizo Se Zyada Mehboob Samze. Aur Umme Salma رضي الله عنها Aur Digar Sahaba-E-Kiraam Ka Bhi Yahi Aqeeda Tha Ki Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Tabarrukat Yani Aapke Baal Mubarak Ke Waseele Se ALLAH Ta’ala Shifa Ata Farmayega.  

SubhanAllah

Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Zouja-E-Mohtarma(Paak Biwi) Hain Jo Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Baal Ka Dhowan Mareezo Ko Pilati Thi Aur Mareez Sheefa Paate The Aur Yeh Sahaba Ka Zamana Tha Lekin Kisi Ne Yeh Nahi Kaha Ki Yeh Shirk-O-Bid’at Aur Naa Jayaz Hai. Yeh Aqeeda Rakhna Agar Shirk-O-Bid’at Hota To Kya Huzoor صلى الله عليه وسلم Sahaba-E-Kiraam Azmaeen Ko Mana Na Farmate. Dar Asl Ye Kisi Musalman Ka Aqeeda Ho Hi Nahi Sakta. Kya Aajke 4 Kitabein Padhe Log Khudko Sahabe-E-Kiraam Aur Ummul Momineen Bibi Umme Salma رضي الله عنها Se Bhi Badh Kar Samazte Hai?

“Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo-E-Mubarak Ko 
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.